6 Beautiful Ramadan Duain Ramzan Wazaif Dua Ibadat Pics

  Admin      
Dil ke sakoon taskeen ke liye khushi ka hona bohat zaroori hai aur khushyon ka taluq insan ki duaon se bohat gehra hai, dua woh naimat hai jis ko koi cheen nahin sakta ye insan ke dil main hoti hai us ki ankhon main hoti hai us ke hathon main hoti hai us ke zuban par hoti hai. Dua na hoti tou ye dunya bari berung si hoti. Dua ki fazeelat ke baray main agar bayan kiya jaye tou na janay kitni kitabain likhni par jayain. Mukhtalif auqaat ki mukhtalif duain hain, jesay ramzan ke liye, shab-e-qadar ke liye, aftari, sehri, sonay ke liye, hajat ke liye, shadi ke liye, hifazat, rizq, chand dekhtay howe parhnay ke liye, uthnay jagnay sonay khanay peenay tak ki duain bhi hain jin ki barkaton se kabuliyat se insan na sirf dunya main kamyab hota hai balkeh akhrat main Khuda ki adalat main bhi surkharoo hota hai, aap apne liye dua karnay ke sath sath dusron ko bhi apne lafzon main shamil kar liya karain aur phir sari baat tou niyat ki hai jesi niyat hogi wesa hai insan hasil karay ga, is liye ye bohat zaroori hai ke sachay dil ke sath sajdon main, barishon main, ibadat ki raton main, rozon main, namazon  ke baad, raat ke akhri pehar main, suraj nikalnay se pehle, friday ko asar se maghrib ke bheech ka waqt dua aisa qeemti waqt hai ke un lamhon main aik lamha aisa ata hai jub insan jo dua maingay woh kabol ho jati hai. Par bohat se log aisay hain jo duain tou mangtay hain par dua kabol na honay par un ke lafz ye hotay hain ke dua hi kabol nahin hoi par woh is baat par ghoor nahin kartay keh woh namaz parhtay bhi hain ke nahin, aur woh log jo namaz parhtay hain aur un ki dua kabol nahin ho rahi tou ye insan ko yaad rakhna chahiye ke hum jo dua mangtay hain tou woh is wajah se mangtay hain ke jis cheez ki hamain talab hoti hai humain lagta hai ke woh cheez hamaray liye achi hai par hamain ye yaad rakhna chahiye ke hum insan Khuda ki makhlooq hain aur sara ilm sirf Allah ke paas hai woh behtar janta hai ke hamaray liye kya acha hai aur kya bura hai. Is liye har haal main Allah ka shukar ada kartay rehna chahiye aur ye zaroor yaad rakhain ke Khuda ki zaat se kabhi mayoos na hon, Meri dua hai dil se dua hai ke Allah aap ki jaez hajat zaroor puri karay Ameen.
Dua Moon Sighting Ramadan In English Rabic Urdu
 30 Duain Ramzan main parhnay ke liye
 Ramzan Ke Wazaif
 Dua e Taraweeh
Ramzan ke 3 Ashron Ki Dua
Pray yani dua insan ko zameen se utha kar asman tak lay jati hai is liye apne sath sath dusron ke liye hidayat aur sahi rastay ki dua bhi zaroor karain aur mujhe bhi apni pyari duaon main zaroor shamil karain shukriya.
logoblog

No comments:

Post a Comment