Aaj aap ke liye moonincloud par nails ko different designs karnay ka tutorial paish kiya ja raha hai, ye intihai easy method main aap ko samjhaya jaye ga nail pictures ke sath. Is design main sirf aik layer color use kiya jaye ga base bananay ke liye.
Ab aap aik tape lain aur us ko us design ke hisab se cut kar lain aur is pic no 2 main jis tarah tape lagi hoi hai isi tarah laga hain aur. Ab ye dekh lain ke tape ke neechay koi jagah empty na ho yani tape sahi tarah se lagi ho kahin se us ke neechay color janay na paye.
Ab aeyay step 3 ki tarah. Tape ko nail par laganey ke baad ab aap jo uper color karna chahain woh colour kar dain. Aur ab jese hi saray nail par color ho jaye tou foran hi ehtyaat se tape utar lain, aur aik waqt main aik hi nail par color kar ke tape utari jaye warna tape dair se nail polish dry ho janay ke baad utarnay ki surat main sara design kharab ho jaye ga.
Ye hai 4th aur final step. jese hi tape utray gi "Nail Tape Art" design ready ho ga.
Is design ko banane ke liye jo cheezain use hon gi un main aam use honay wali tape hai jisay hum stationary tape kehtay hain.
Nails par ye latest 2013 ka designs bananey se pehle aap jis jis nail par design banana chahain us hisab se pehle hi tape ko cut kar ke rakh lain.
Jub aap tape ko utarain tou tape ki layers ko ya hison ko aik aik kar ke utarain aik sath sari tape na utarain aur jo sub se uper hai woh hisa pehle remove kar lain isi tarah dusray nails ke liye bhi yehi steps dohrayain.
No comments:
Post a Comment