4 Homemade Face Scrub Beauty Tips For Indian & Pakistani Girls

  Admin      
 Face Scrub Recipe Se Skin Nikharain
best Face scrub for men and women
Chehray ke nikhar aur jild ki freshness ke liye scrub karna zaroori hoti hai. Scrubbing ke amal se skin par mojod murda khulyon ka comlete khatma ho jata hai aur doran khoon barhta hai. Jis ki wajah se jild kudarti khubsurati si khil uthti hai. Face scrub ko use karnay ka best method ye hai ke scrub ko ungli ki madad se puray chehre par phila dain jub ye khushk hota mehsos ho tou usay halkay hath se ragar kar saaf karain aur chehra neem garam pani se wash kar lain. Normal, dry aur oily skin par qudarti beauty aur dilkashi ujagar karnay ke liye madraja zail face scrub use karain.

1: For Normail Skin Use This Face Scrub: 
Aam Jild Ke Liye Ye Wala Chehre Ka Scrub Imtmaal Karain:
Jou ka atta 1 chaye ka chamach
lemon ka rus 2 chaye ke chamach
milk 1 chaye ka chamach
tamaam ajza ko achi tarah se mix kar ke paste bana lain. Is paste ko puray face par lagayain aur 15 minutes ke liye isay face par laga rehnay dain. Is ke baad halkay hath se ragar kar saaf karain aur neem garam pani se chehra dho lain.

2: For Dry Skin Use This Face Scrub Recipe:
Khushk Chehre Ke Liye:
Roghan badam: aik khanay ka chamach
Nourishing cream: 2 khanay ke chamach
dono ajza ko mila kar itna phaintain ke paste ban jaye. Is paste ko puray chehray par lagayain. Jub paste dry honay lagay tou usay halkay hand se ragrain. Pehle face ko neen garam pani se wash karain phir akhir main thanday pani se dho lain.
3: Urdu Face Scrub Recipe For Oily Face:
Roghni Chehray Ke Liye Face Scrub Laganay Ka Method:

Yeast: 1 khanay ka chamach
Lemon ka rus: 1 chaye ka chamach
Dahee:  Daidh chaye ka chamach (1 1/20)
Gajar ka rus: 1 chaye ka chamach
Roghan zaitoon / badam 1 chaye ka chamach
Tamam ajza ko mila kar paste bana lain. Paist ko chehray par laga kar 15 min ke liye rehnay dain. Is ke baad halka garam pani lain aur chehra dho lain. Agar skin amoomi se zayada roghni ho tou oil ka istmal zaroori nahin. Mahason se mutasra skin par is scrub ke istmal se gurez karain kyoun ke is tarah skin infection ho sakta hai.
4: Dagh Dhabon Wali Skin Ke Liye:
Egg - Anday ki zardi: 2 adad
Roghane badaam/ zaitoon: 1 cup
Banana (Kaila): 1 adad
Lemom ka rus: chand qatray (few drops)
Anday ki zardi aur oil ko itna phaintain ke dono yakjan ho jayain. Kailay ko mesh kar ke mixture main shamil kar dain. Phir is mixture ko neck aur face par lagayain. 3 min ke liye rehnay dain phir jub dry ho jaye tou chehra cold water (thanday pani) se dho lain.
Chehre ki shadabi aur khubsurati ke liye lazmi hai. Face scrub skin care ke liye best zariya hai. Ye jild ko na sirf daagh dhabon aur keel mahason se bachatay hain balkeh chehre ko shaguftgi ka ehsas bhi bakhstay hain. Ye saray face scrub homemade hain in ko use karnay se skin mujhar asraat se mehfoz rehti hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment