7 Mobile Night Winter Wallpapers Snow Forest Pictures

  Admin      
Winter season jitna udas mausam hai utna hi romantic season bhi hai. Sardiyon ki morning hoti hai tou thandi thandi hawayain chalna churu ho jati hai aur khushgawar sardi mehsos hoti hai. Kabhi halki khushq hawain chalna churu ho jati hai tou kabhi teez sansanati hawayain jism main cubhti hoi mehsos hoti hain. Sardiyon ki raat ati hai tou sardi aur bhi bhar jati hai. Apne aap ko aur apni family ko sardiyon ke khushq thapairon se bachanay ke liye ahtayati tadabeer ikhtyar nahin karain gey tou sard mausam ki sitam garifi ka shikar ho jayain gey. Kabhi sardi tou kabhi garmi is tara ke badaltay mausam dekhnay main tou kafi haseen lagtay hain magar ye mausam har insan par alag hi andaz se utartay hain koi kahin khush hota hai aur koi kahin sardi ki tarah hi apni taqdeer ko jami hoi pata hai. Mausamon ka asar insan par bohat gehra hota hai. Mausam-e-sarma main sub se zayada nazlay ki shikayat aam hoti hai.
Sardiyon ka mausam shuru hotay hi raat main corn soup, coffee aur desi murghi ke andon ka istmal bhar jata hai, Sardiyon main sehatmand rehnay ke liye achi diet ka istmal kiya jaye tou is season ka lutf aur bhi dubala ho jata hai.
 Winter ke ki season ki khuch amazing pictures aaj aap ke liye post ki ja rahi hain ye sari pics hd winter images hain.
 Winter Trees Wallpaper
Frozen Winter Ice Snow on Mountains Wallpaper
 River and Snow Picture
 Beautiful Winter Wallpaper
 Best Winter Sunset Wallpaper
Snow Sunrise Winter Forest HD Wallpaper
 Winter Night Wallpaper For iphone samsung and other Mobile Phones
Sardiyon ki amad hotay hi bohat saray aisay tourists jo un places par abad hain jahan baraf bari nahin hoti woh apne apne mulkon ki sard jagahon par picnic mananay aur mausam se luft andoz honay ke liye pohanch jatay hain. Asmaan se girti hoi barf jub paharon par chadar daal kar lipat jati hai tab har cheez ka rung safaid ho jata hai. Darakhton ki tehniyan baraf ke bojh se neechay ko jhuk jati hain door door tak baraf ki safaid pariyan apna jahan abad kar ke sardiyon ka mausam guzarnay paharon ki neeli aur sabz rangat chupa deti hain. Bila shuba winter ka weather bohat haseen hota hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment