Bali Indonesia Travel Guide in Urdu Tourism Photos Wallpapers

  Admin      
 Bali Indonesia Ki Sair

Indonesia Travel Wallpapers Pictures

Behra Hind ke hararat walay paniyon main lipta jazeera bali youn to indonesia ke 17000 islands (jazeeron) main se aik hai, taham apni benazir khubsurati aur jannat ka gumaan deti haryali ki wajah se ye qudarti toor par apne tamaam parosi jazeeron (neighbour islands) se mumtaz aur munfarid hai. Dahaiyon par mushtamil taraqiyati kamon ne bali ke husn main mazeed  char chand laga diye hain. Yehi wajah hai ke tourists ke jhundh ke jhundh khana badosh panchiyon ki tarah dunya ke konay konay se bali ki taraf khinchay chalay atay hain. 1998 se bali bar-e-azam asia main "no 1 island in the world" ke darjay par qabiz hai. Yahan ke resorts asia ki rawayati saqafat ka aayeena hain. Sirf yehi nahin yahan aap ko muqami hunar mandi aur sadyon qadeen tameeraat ke shahkar bhi dekhnay ko milain gey. Night clubs, safari, surfing smait aap ki dilchaspi ki kon si aisi cheez hai jo bali main nahin milti. Yahan woh sub khuch hai jo batoor tourist aap ke zehan main ho sakta hai. Bali main indonesia ke riwayati khanay kha kar tou aap ko maza ajaye ga. Naiz yahan aap mashriq baeed ki rawayati duaon se bhi istafada kar saktay hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment