Khawab Nama 2022 Khawab ki Tabeer Dream Meaning Janain

  Admin      
Chuntiyon Ko Ghar Atay Dekhna: Maal kaseer hath anay ki daleel hai.
Chashma Dekhna: Khair o Barkat aur naimat par daleel hai.
Chat Ko Apne Uper Giri Dekhna: Kisi bazurg se takleef pohanchnay ki nishani hai ya koi bazurg safar se wapas aye ga.
Chandi Ka Dekhna: Maal halal par daleel hai.
Chandi ki Anguthi pehenna: Apni hi layaqat ke mawafiq izzat aur bazurgi milay ya kisi aurat haseena se aqat ho ya farzand paida ho.
Chiragh Roshan Dekhna: Darazi umar aur tandrusti se daleel hai agar ghair shadi shuda hai tou shadi ki bhi daleel hai aur muflis ho tou tawangari aur bekar ho tou bakar honay se bhi daleel hai.
Chand Dekhna: To see moon in dream: Bazurgi aur aqalmandi ki khawa hakeem aur hikmat ya Larki milay ya aulad se bhi daleel hai.
Chand Gehen Dekhna: Ghala ki garani ho ya aurat ka iskat e hamal ho ya rozi tang ho ya hakam waqt par koi tangi aye.
Chandni Khuli Dekhna: Shaf'at aur dolat milay, izzat se zindagi basar ho, afzuni naimat aur daulat ho.
Chand Ko Aghosh Main Laina: Aulad paida honay ki basharat hai.
Chand Ko Apne Paas Atay Dekhna: Larka paida ho ya kahin ka hakam waqt ho.
Chuha Dekhna: Rat: Mouse: Aurat badseerat aur badsurat paye, tamam umar ranj uthaye.
Chokhat Choomna: Aurat ka tabeh ho rah se bayrah ho ya kisi ki mohabbat main zaleel o khawaar ho.
Chaal Darakht Ki Khana: Aflasi ki daleel hai.
Chadar Dekhna: Naik bibi hath aye.
Chatt Dekhna: Rutba buland ho, sahib daulat ho.
Chawal Dekhna: Rise: Baad chanday masibat rahat hasil ho.
Chotay Chotay Parindon Ko Dekhna: Khush dili ki daleel hai.
Cheenkna: Jis matlab main shak parr jaye beshak shuba puri ho.
Chagal Dekhna: Sahib khawab ke liye behtar hai.
Chari Dekhna: Dushman khud mara jaye.
Chati Dekhna (Seena): Shadi ho, kasrat aulad larkiyon ki ho.
Cheetay Ka Muqabil se bhagtay dekhna: Tiger: Fatah maqsad aur maqsad hasil hone ki daleel hai.
Chuhay ko dekhna ke koi cheez ghar ki khata hai: Tou sahib khawab ki umer ke nuqsan ki daleel hai.
Chakor Ka Dekhna: Larki khubsurat aur parsa par daleel hai ke hath aye gi.
Cheel Dekhna: Darazi bimari ho.
Chach Dekhna: Fikar paida honay ki daleel hai.
Chooti hona darhi ka: Izzat abru kam honay ki daleel hai.
Hay Se Shuru Honay Wale Khawab
Hooz Ka Dekhna: Khair, barkat aur naimat ho.
Hamaam Main Ghusal Karna: Fikar aur ghum se riha ho.
Hamam Bila Pani Ke Dekhna: Auraton se takleef pohanchay.
Halal janwaron ka doodh peena koi janwar halal howe: Rozi halal aur tareqq pasandidah naik kamon par daleel hai aur jin janwaron ka gosht haram hai us ka doodh peena bimari aur fikar ki daleel hai.
Haram Sharif Dekhna Khana Kaba: Ham chashmon main tauqeer izzat ho.
Haiz se pak ho kar ghusal karna: Koi gunah sarzad ho.
Hamam Banana: Dushman tabah hon aur aurat naik hath aye.
Halal Kartay Dekhna Janwar ko ya Janwaron ko: Hakam waqt se nafa ki umeed hai ya kar-e-khair karnay ki umeed hai.
Halwa Khana: Jahalat se door ho. Rahat hasol ho.
Hajamat Banwana: Khandan main koi afat aye.
Hisar yani qilay ka dekhna: Agar koi shukhs qilah main mehsor ho tou sardar qoom ya maye yaron se hum aghosh ho ya deen ka muhafiz ho.
Hamam Main paishap Karna:  Mareez ho ya koi sakhti uthaye.
Hajam ko dekhna: Maldar ke liye acha nahin hai.
Hamaar yani gadha khawab main dekhna: donkey in dream: Agar gadhay par sawar dekhay aur gadhe ko apne qabzay main daikhay tou us ki koshish kamyab hai jo woh kar raha hai aur tabeer maal-o-zar se bhi hai.
Gadhay Par Sawar dekhna:  Khair aur barkat ho.
Gadhay se girna: Pasti darja ki daleel hai.
Hamar ka gosht khana: maal haram aur khabees hasil hone ki daleel hai.
Hamar ka doodh peena: Marz shadeed main mubtala ho aur baaz ne sehat se tabeer di hai.
logoblog

1 comment:

  1. khwaab mei chudail ko marna or nagin ke dasne k bawjood asr na hone ki tabir kya ho skti ha?

    ReplyDelete