Benefits Surah Al-Kahf Fazilat Wazifa Hadees Ki Roshni Main

  Admin      
Surah Kahf Ke Fazail

Har jumma ki raat yani friday night main ya din main Surah Kahf zaroor parha karain. Is ki ye fazilatain hain.
Hadith About Surah Al-Kahf:
"Jo shuks jummah ke din Surah Kahf parh laita hai us ke liye us jumma se anay walay jumma ke darmyan (pura hafta) aik noor roshan rahay ga."
Surah Kahf ke baray main aik aur hadees sharif main aya hai:
"Jo shukhs jumma ki raat Surah Kahf parh laita hai, us ke liye us ki jagah aur bayt al atiq (Khana Kaaba) ke darmyan aik noor roshni bakhsta rehta hai.
 Aik riwayat main hai ke jis shukhs ne Surah Kahf jis tarah utri hai usi tarah (sahi tareeq) par parh li tou us ki jagah aur makkah ke darmyan woh aik zaya pash (roshni bakhairnay wala) noor banti rehti hai aur jo shukhs is ki akhri 10 ayatain parhta rahay ga agar dijjal (us ki zindagi main) namudar ho gaya tou woh us shukhs par musallat na ho sakay ga." (Dijjal ke fitna se mehfoz rahay ga)
Aik aur riwayat main ye aya hai ke jis ne is Surat ki awwal 10 ayatain aur dusri riwayat main hai ke akhri 10 ayatain yaad kar lien (aur hamesha parhta raha) woh dijjal ke fitna se mehfoz rahay ga.

Aik hadees main aya hai:
"Jo shukhs dijjal ko paa lay (yani us ke samnay nikal aye) us ko chahiye ke woh Surah Kahf ki ibtidayi 10 ayatain us ke munh par parh de. "Is liye ke ye ayatain parhnay walay ko us ke fitna se panah denay wali hain."
Isi tarah apne bachay aur bachiyon ko Surah Kahf zubani yaad karnay ki targheeb dain.
logoblog

No comments:

Post a Comment