Benefits Ya Muhaiminu Fazilat Ya Muhaimino Wird Amal

  Admin      
Allah ki zaat hum sub ki nighebaan ha. Ulma ka qol hai ke Ya Muhaimin ka meaning asal main apni zaat main chupana hai kyoun keh Allah apni makhloq ki rozi ki nighaybani farmata hai. Dusron ke khauf se apni rehmat main chupa kar mamoon karta hai. Phir kisi ka haq zaya nahin honay deta aur is ke ilawa woh har qisam ke khoof ko door karta hai. Is liye Woh zaat apne bandon ke liye Muhaimin hai. Ye Ism taseer main jamali hai aur is ke adad 145 hain. is ki fazeelat barkatain benefits khawas mandraja zail hain.
Israr-e-Elahi ka zahir hona:
Jo shukhs Ya Muhaiminu ko kasrat se parhta rahay taweel arsay tak tou us par israr-e-Elahi ka zahoor ho ga.
Jaan Ki Hifazat Ka Amal:
Ya Muhaiminu jaan ki zindagi ki hifazat ke liye bohat mosar hai is liyzindagi ke khauf main Ya Muhaimin ka wird bohat mufeed hai. Isay parhnay wala Allah ki rehmat se zinda aur sahi salamat rahay ga. Aisay hi behri safar main jub jahaz behri safar main phans jaye taufan main tou is ism ko parhnay se Allah Ta'ala karam farmata hai aur sahi salamat kinaray par pohanchanay ke asbab paida karta hai. Aisay hi safar main isay parhnay se hadsaat se hifazat rehti hai. Agar kisi shehar main koi wabai marz phoot paray tou isay parhnay se jani toor par mehfooz rahay ga.
Dunya Ki Afaton Se Hifazat:
Insani zindagi aksar dunyawi khasaron aur afaton se do chaar rehti hai, in afaton aur musibaton se bachnay ke liye is ism ka wird bohat akseer hai. Jo shukhs Ya Muhaimino ko parhnay ka mamool bana laita hai woh Insha'Allah dunya ki musibaton se mehfoz rahay ga.
Taskheer Dunya Ka Wazifa:
Is ism main dunya taskheer karnay ki bhibohat taseer hai, isay hamesha parhnay se dushman dar aur khoof mehsoos kartay hain aur is ka roob har shukhs ke dil par baith jata hai. Us ke samnay sakht se sakht dil bhi moon ho jatay hain us ka roob dabdaba haibat aur azmat dusron par chayi rehti hai aik bazurg ka qol hai ke agar koi insan subah ki namaz ke baad rozana ghusal karay aur us ke baad baghair baat cheet kiye Ya Muhaimino ko 18496 martaba 40 din tak parhay. Insha'Allah bepanah taskheer paida ho gi. Usay har koi milnay wala us par fariftah ho ga.
logoblog

No comments:

Post a Comment