Changa Manga Travel Guide In Urdu Pictures Forests Jungles Pakistan

  Admin      
 Jungle Main Mangle Manana Hai Tou Changa Manga Chaliye
Lahore Se Khuch Door Ye International Mayaar Ka Hamil Pakistani Artificial Jungle Tawajja Ka Markaz Hai
 Changa Manga Ki Sair
 History Of Changa Manga

 Park pic
Garden Wallpaper
 Boat
 Jungle Forests in Pakistan
 Travel Destinations In Pakistan
 Pakistani Landscape
 Places To Visit In Pakistan
 Picnic Places In Pakistan Punjab
 Park Garden
 HD Picure of changa manga travel place

 Changa Manga Screensaver
 Bridge and Lake
 Tourism Place
 Travel Places Wallpapers
 Lakes Photos Of Pakistan
 Artificial Forest Of Pakistan
 Changa Manga Wallpapers
 Canal
 Changa Manga Pictures
Changa Manga Images
Youn tou qudrat ne Pakistan ko bepanah husn ki dolat se nawaza hai. Subah Sindh main darya e sindh ka kinara ho ya Makli ki historical places, Thar ka sehra (desert of thar sindh) main ubhray howe suraj ka husn ho ya Arabic sea main doobtay howe chand ka manzar ho, Balochistan ke surmai mountains hon ya Henna lake ka shafaaf pani, Khyber Pakhtunkhwa ke darray hon ya pahari silsilay, Punjab ke province ke maidani alaqon ki haryali ho ya paanch daryaon ke sangham ka milaap ya phir subah Gilgit baltistan ke barfeelay abshar (frozen icy waterfalls of gilgit baltistan) aur Kashmir valley ke beautiful scenes, gharz ye ke Qudrat ne Pakistan ko har cheez har naimat dil khool kar ata ki hai. Ab ye hum insanon par hai ke hum un pakistan ki beautiful places ki kis tarah se qadar kartay hain.
History Of Changa Manga In Urdu Roman
     Subah Punjab ke sadar muqam Lahore se 75 km ke distance par international hasiyat ka hamil artificial jungle Changa Manga ke name se mosoom hai jisay dunya ka sub se bara masnui jungle karar diya jata hai. (biggest artificial jungle in the world) jis ka raqba 12510 aikar par muheet hai. Is jungle ko 1886 lagana shuru kiya gaya tha. Is ka shumar qadeem tareen nehri janglon main kiya jata hai. Is ka maqsad Railway engines ke liye fuel faraham karna tha. 1888 tak jungle ke kafi hisay main sheesham ke darakht aur khuch arsa baad toot aur baans ke trees bhi lagaye gaye. Shuru shuru main jungle mainarzi  kunwain khood kar jungle ko pani faraham kiya gaya.
       1936 main Asia aur China se hijrat kar ke anay walay parindon ko ke yahan khaas toor par darakht lagaye gaye thay. 1960 main isay koomi bagh bana diya gaya. Tourists ki enjoyment ke liye Mehtabi Jheel, Chirya Ghar, Boats, Swimming Poll, Lakri se banaye hut, Mehtab mehal, Jhoola pul, cricket ground, children park ke ilawa deegar buildings bhi banayi gayien jin main rest house wagera shamil hain.
       Is jungle main hiran, niel gaye, moor aur dusray animals paye jatay hain jin ka shikar mamnu hai. Sub se interesting yahan bhaap se chalnay walay woh Railway Engine hain jo ab kahin aur nahin nazar atay aur jin ka istmal ab kahin nahin hota ye sirf Changa Manga main chal rahay hain. Forest Park ka area 153 ayker hai. Park main beautiful cafeteria bhi hai. Yahan ka mahol aam jungle ke mahol se zara mukhtalif hai kyoun keh usay aik planning ke teht banaya gaya hai. Changa Manga ke rest house main raat guzarnay ka apna hi maza hai. Adventure pasand tourists ke liye ye jungle main mangal se kam nahin hai. Nadar aur dalair kisam ke insan raat ko jungle ki sair karnay nikal jatay hain. Youn woh apne toor par pur khatar meham saranjam detay hain. Jahan kayi muqamaat par mukhtalif janwaron ki awazain un ke kadam rook deti hain. Jungle ki sair karnay ke liye subah saweray ka waqt intihai munasib hai. Jahan qudarti mahol ko dekh kar insan apne Rub ka shukar ada karta hai ke us ne humain kesi kesi naimaton se nawaza hai. Lahore se bahir rehnay walay jub bhi Lahore ki sair ka programe banayain tou apne schedule main changa manga ko sar fehrist rakhain warna aap haseen qudarti junglaat ke nazaron se mehroom rahain gey.
logoblog

No comments:

Post a Comment