How To Make Apple Pie With Vanilla Sauce Recipe In Urdu

  Admin      
Homemade Apple Pie Recipe In Urdu
Apple Pie Food Cooking Recipe In Hindi
Dau Ke Liye Ingredients:
Maidah 300gram
Namak: 1 chutki
Cheeni 100 gram
Egg (Anda): 1 adad
Butter (Makhan): 200 gram
Filling Ke Ajza:
Apple: 1 kg (Saib khatta laina hai kyoun keh isi se sahi taste niklay ga is apple urdu recipe ka)
Lemon Ka Juice: 2 khanay ke chamchay
Cheeni 50 garam
Daar Cheeni Powder: Adha chaye ka chamcha
Aata khushki ke liye:
Makhan dish par laganay ke liye:
1 anday ki zardi
Vanilla Sauce Ke Ajza:
Doodh 50 ml
Vanilla Custard Powder: 1 khanay ka chamcha
Anday 2 adad (zardiyabn)
Cheeni 3 khanay ke chamach
Corn Flour: 1 chaye ka chamcha
Vanilla Essence: few drops (chand qatray)
Apple Pie Banane Ka Tarika:
Dau bananay ke liye maiday main cheeni aur namak mix karain. Darmyan main garha bana kar us main anda daal dain. Makhan ko pighla kar kinaron par dalain. Phir in tamam azja ko churi ke zariye teezi se mix karain. Aur phir hathon ki madad se achi tarah goondh kar dou bana lain. Gool pairay ki shakal de kar plastic main lapaitain aur adhay ghantay ke liye fridge main rakh dain. Ab oven ko 180 degree par pre heat kar lain.
Filling ke saibon (apples) ko kheel kar un ki kashain bana lain. Ab un par cheezi, lemon juice aur dar cheeni daal kar mix karain. Dau ke 2 barabar hisay kar ke 1 hisay ko baking dish ke size se zara bailain. Phir baking dish ko chikna kar ke dau ke bailay howe hisay ko baking dish main rakhain aur set kar ke us ke uper saib ka amezah dalain. Ab dusray hisay ki roti bail kar amaizay ke uper dhak dain aur neechay wali roti ke barhay howe kinaron ko mor kar kantay ki madad se achi tarah daba dain takay tamam maida andar seel ho jaye. Ab anday ki zardi brush ke zariye pie ke uper lagayain aur pre heat oven main taqreeban 50 minute tak bake karain. Golden brown ho jaye tou nikal lain.
Pie bake honay ke darmyan vanilla sauce tayar kar lain. Is ke liye doodh ko boil kar ke us main custard powder shamil kar lain (custard powder ko thanday doodh main ghool kar ublay howe doodh main mix karain) aur barabar chamcha chalati rahain. Munasib garha honay par neechay utaar lain. 1 alehda payalay main anday ki zardi, corn flour aur cheeni (sugar) mix karain. Phir doodh aur custard ka amaizah thora thora kar ke us main shamil karain aur musalsal chamcha chala kar us main mix karti rahain. Is ke baad saray amaizay ko dobara pan main dalain aur halki aanch par zara dair paka kar mazeed garha kar lain magar boil na honay dain. Neechay utaar kar thanda karain. Apple pie ko oven se nikal kar us ke slice karain aur uper se vanilla se shamil kar ke serve karain.
logoblog

No comments:

Post a Comment