How To Make Homemade Mayonnaise Recipe in Urdu Pakwan

  Admin      
Youn tou Mayonnaise bazar main aam dastyaab hai, lekin agar aap apne hath se sari cheezain tayar karnay ki shooqeen hain tou ghar main bani hoi fresh Mayonnaise ka koi badal nahin.
Aap ke liye Mayonnaise banane ka tarika hazir hai:
Ajza:
Andey ki zardiyan 2 lay lain aap phir aap olive oil 250 gram, mustard powder adha khanay ka chamcha, Safaid sirka 2 khanay ke chamchay, Namak1 khanay ka chamcha.
Method:
Anday ki zardiyan, mustard powder aur namak mix kar lain. Is amaizay main chand qatray oil daal kar electronic mixer ke zariye achi tarah se phaintain, phir ginti ke 1 ya 2 qatray oil dalain aur phaintain. Is amal ko baar baar dohrayain lekin yaad rahay ke aik waqt main 1 ya 2 qatre shamil karain aur usay achi tarah blend kar lain. Par ye baat bhi aap jaan lain ke agar aap oil dalnay main jaldi karain gi tou oil sahi toor par us main blend nahin ho paye ga aur baad main Mayonnaise phat kar kharab ho jaye gi. Jub amaiza paste ki tarah garha ho jaye tou is main sirkah shamil kar dain aur phir baqi oil bhi is main mila dain aur aik baar phir achi tarah phaint lain aap ki Mayonnaise ready hain.
Agar aap khanay peenay ki aur bhi recipes banana seekhna chahti hain isi blog par tou aap urdu recipes main se latest delicious pakwan roman urdu language main banana seekh sakti hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment