How To Write Urdu Novel Writing Tips Method Book Tarika

  Admin      
Agar aap ko likhnay ka shooq hai agar aap samajhtay hain ke aap main woh qualities hain jo aik writer main hoti hain yani agar aap apna koi urdu novels jese romantic urdu novels, action adventure, jasoosi, khaufnak kahani yani horror thriller urdu novels ya apni aap beeti ya childrens ki stories ya afsanay ya drama ya koi islamic book likhna chahtay hain aur us ke baray main basic guide online hasil karna chahtay hain tou ye post aap ke liye kafi informative hai.
How To Write Urdu Novel Tips Ideas Methods:
Kitab Book Likhne Ka Tareeqa:
Kisi bhi novel ko likhnay ke liye zehan main start se lay kar end tak ki sari story waziha honi chahiye. Is liye kahani likhnay ke liye pehle sari kahani soch li jaye aur kahani likhnay ke liye plot, characters, dialogue, manzar nagari. Dialogues main jitni jaan ho gi utna hi novel parhnay walay ke dil tak utray ga, agar aap jan'na chahain ke dialogues kis tarah ke honay chahiye, kese honay chahiyain tou isi blog par aik post sirf isi liye mojod hai.
Start Writing Urdu Book:
Jub novel likhna start karain tou story ka end zehan main rakh kar likhna shuru karain. Agar story ka end aap ke zehan main ho ga tou aap sari story likhtay waqt zayada asani mehsos karain gey, plot main dialogues main characters ke baray main. Kahani main aik dunya abad karain, novel main geography takhleeq karain jesay, government, shehar, qasbay, village etc.
Jub novel ke baray main koi idea zehan main aye tou usay aik copy main likh main, Agar sari kahani pehle soch kar phir likhna start kiya jaye tou sirf tab hi aap kahani ke end tak pohanch saktay hain aur is ka aik aur fayedah ye bhi hai ke aap ke liye dialogue novels ke jesay jesay aap likhtay jayain gey bantay jayain gey, Jo khuch bhi aap likh rahay hon us main doob kar likhain.
Manzar Nigari:
Novel main manzar nigari jitni khubsurat ho gi utra hi kahani parhnay ka maza aye ga, misal ke toor par is line par ghoor karain khuch is tarah ki manzar kashi aap apne urdu novel main karain.
"Sarak par barish ke qatray aaj khuch alag tor hi utar rahay thay, Suraj bhi pichlay 2 ghanton se badlon ne chupa rakha tha, hawa itni teez thi ke kamray ki khirki baar baar khulti aur band hoti ja rahi thi. Main bhi usi kirki ke paas aa baitha  tha aaj na bahir hawaon main koi parinda tha aur na suraj ki kirnain door door tak asman se zameen par utarti hoi barish ke qatray aur un ka haseen cham cham ka shoor tha, main kafi dair tak ye nazara ankhon main qaid karta raha."
Manzar is tarah create karain ke usay parh kar haqeeqat ka gumaan ho aur aisa mehsos ho jesa aik alag hi dunya aap ke lafzon se aap ke novel ke safhon par abad ho chuki hai.
Agar aap apna urdu novel likh rahay hain ya likh rahi hain aur is baray main khuch aur agahi ya help ki zaroorat ho tou aap comment kar dain isi post ke neechay.
Urdu Novel Book Covers Idea
Wallpaper Urdu Shayari Urdu Poetry Idea Picture
Urdu Kahani Likhnay Ke Liye Zaroori Cheezain aur Methods:
Great novel Plot, ideas, unique story, awesome urdu dialogues, powerful characters, urdu quotes, novel se mutaliq history se agahi, likhnay se pehle khuch novels parh lain takay aap ko idea ho jaye urdu book write karnay ka, kahani main shayari ka istmal karain jahan jahan zaroorat ho.
Kahani likhnay ke liye aap ke paas 2 tarikay hain:
(you have two methods to write a urdu novel)
1: Qalam aur Kaghaz Ke Zariye Se Kahani Likhi Jaye:
 Ye tareeka aaj tak tab se use kiya ja raha hai jub se qalam aur kaghaz par likhnay ka amal shuru howa tha is method main kahani likhnay ke liye 1 pen aur khuch papers darkar hotay hain jin par kahani ko likha jata hai aur jo ideas zehan main kahani se related atay hain un ko alag se likh liya jata hai jo kahani likhnay ke doraan madadgar sabit hotay hain.
2: Computer, Notebook, Laptop Par Kahani Likhi Jaye:
Ye hai kahani likhnay ka jadeed tarika yani (modern method of writing novel) is tareeqay ke zariye se aap apne laptop ya computer par notepad main ya wordpad main kahani likh saktay hain roman urdu novel ki language main aur jub kahani likh lain tou unhi paragraphs aur saray pages ko aap urdu main likh saktay hain aur ye tareeqa sirf tab use karain jub aap khud apna urdu novel publish karna chahtay hon. Notepad main apna novel likhnay ka aik ye benefit bhi hai ke is tarah aap bina waqt zaya kiya jo bhi tabdeeli plot main ya lines main karna chahtay hon asani se change kar saktay hain aur internet ke zariye novel se mutaliq search kar ke malumaat hasil kar saktay hain aur aap ka dhihan hatay ga bhi nahin. Novel likhne ke liye ye zaroori hai ke aap apni kahani ke kirdaron aur us ke lafzon main kho kar likhain aur dil se likhain kyoun keh jo baat dil se kahi jaye chahay woh simple hi kyoun na ho hamesha dil tak utarti hai aur jo cheez simple na ho par dil na na utray tou us ka bhi koi fayeda nahin hai.
ye hain 2 urdu novel writing methods ab aap ko ye faisla khud karna hai ke in dono methods main se kon sa tarika aap ke liye zayada asani ka baes hai.

Hire Us For Your Book:
Jaise ke maine uper kahani likhne ka tareeqa tafseel se bataya hai is ke bawajood bhi agar aap samajhte hain ke aap acha novel nahin likh sakain gey tou is ke liye main aur meri team aap ka ye kaam kar sakte hain.
Agar aap ne apna novel likh liya howa hai aur aap apne lafzon ko kitab ki surat main lana chahtay hain tou aap khud bhi apni kitab ghar baithay hi publish kar saktay hain yani self-publishig ke zariye se.

Kis tarah se khud book chaap saktay hai ye jannay ke liye is post se "Kitab publish karnay ka tareeqa" rehnumai hasil karain aur is tarah aap ka woh kharcha bach jata hai jo book composing karnay aur publish karnay ki surat main ata hai jo ke hazaron pakistani rupees main hai.

Your Life Story: Your Own Urdu Novel Book:
Agar aap apni zindagi ki kahani ko aik kitab mein shandar andaz mein mehfooz karna chahte hain aur apne doston ko ya apne kisi special ko apni kitab parhana ya tohfa mein dena chahte hain tou aap hamari urdu writing service hasil kar saktay hain. Agar aap ko novel ache andaz mein nahin likhna ata ya aap professional urdu writer nahin hain tou aap hum se apni kahani ya urdu novel likhwa saktay hain. Is ke liye aap humain apni kahani batayien hum usay intihai ache andaz mein likhain gey ke aap tareef karne par majboor ho jayain gey.

Aap hum se jo apni novel story likhwayain gey un mein ye chezain shamil hon gi.
1: Khubsurat Manzar Nigari (jisay parh kar log aap ki kitab ko bohat pasand karain gey.)
2: Zabardast Mukalmay (jis se aap ki kahani mein aur dilchaspi paida ho gi.)
3: Kahani Aap Ki Farmaesh Ke Mutabiq (apni kahani mein aap jis tarah ki changes karwana chahte hain woh sub ki jayain gi)
4: Aap ki kahani ko free mein online hum publish karain gey.
5: Aap ke novel mein shayari ka bhi istemal kiya jaye ga.
6: Aap ki kahani mein aisay quotes aur thoughts hon gey jis ko har koi likh aur soch nahin sakta.
Check Our Work Sample: Hamare Kaam Ka Sample Dekhain:
Agar aap mere likhay hue novels aur is se mutaliq khuch samples parhna chahian tou aap ke liye khuch urdu writing samples paish kiye ja rahe hain.
Urdu Novel Sample 1
Urdu Novel Sample 2
Poetry Samples 3
All Writing Samples:

Jub aap hum se apni kitab, novel likhwane ke liye rabta karain gey tab aap ko aur bhi samples bhejay jayain gey aur aap ka novel best urdu novels mein se aik ho ga. Agar hamare writing samples aap ko pasand aye hain aur aap hum se apni life story/novel likhwana chahain tou rabta karain.
logoblog

53 comments:

  1. ma nay kai bar apnay masoom khayalo ko noval ki sorat dainay ki nakam koshes ki ha .
    mjy kaya jatan karany paray gay k kam iz kam ik noval kikh kar apni zat say khush ho jao ////,,,,?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Novel likhne se pehle apne novel ka plot kahani puri soch lain aur phir likhain kyoun keh jub tak kahani puri zehan main clear nahin ho gi tab tak aap novel complete nahin kar saktay is liye pehle story characters waqiyat wagera soch lain phir likhain.

      Delete
  2. assallam alekum
    ap ki post to boht zabrdast hai, main 2 novels likh raha hun ek world war 2 or dusra 9/11 k attacks k hawale se... main in k bare main books dhoond dhoond kr thak gya ap plz meri help kare, mujhe ye janna hai k world war 2 main franc k kon kon se cities main jung hui thi or kitne log is ka shikar hue the, or 2nd novel main yea janna hai k 9/11 k bad muslims par kia guzri thi?

    ReplyDelete
    Replies
    1. 3 june 1940 ko france par humla howa tha germani ke tayaron se aur 6 june ko wahan ke logon ke bataya ke 2000 dushman ke tanks se hazaron faransisi fauji halak howe aur fooj bikhar gayi youn usay shikast hoi, aur ap ke second novel k liye ye k Musalmanon ko us waqaya ke baad sari dunya main shak ki nazar se dekha jata tha jis ka asar ab bhi hai aur kafi begunah logon ki zindagiyan kharab hoi...

      Delete
  3. App ney manzar nigari bohat achay paraye main bean key hay bohat acha laga shukria

    ReplyDelete
    Replies
    1. manzar nigari pasand karne ke liye shukriya :)

      Delete
  4. assalam o alaekum
    aap ne bataya tha k self publishing k zarye say hum ghar baithay book publish karwa saktay hain. oss k liye plz koi link dain k hum kin kin say contact karain or about kitni cost aa jati hai aik novel ko publish karwanay main. or oss k liye deebacha wagaira kaisay likhwaya jaye ga?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Asalam O Alikum matlab ap yeh keh rahe hain k ise ap page pe likh k bhi publish kar sakte chaye Digest ho ya book mai publish karwana ho ?

      Delete
  5. ek laki ki mohabbat k 8 saal kaisay guzray wo batana chahti hn mai aj b wo kisi ka intezar kr rai hy

    ReplyDelete
  6. v nice suggestion thnx to tell us

    ReplyDelete
  7. apne start main mention kia k agar ap k likhny ki salahiyat hai tu likh sakhty hain......aur agar likhny ki salahyat na ho aur begganers ho aur first time likh rhy hun tuh os k lye kaise novel likhny ka idea hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. new urdu writers ke liye apni pehli umda tehreer likhne ki suggestion ye hai ke woh sub se pehle ye kaam karain ke jub novel likhnay lagain tou pen utha kar foran hi na likhna start karain balkeh start se end tak apne zehan mein story bana lain novel mein jo characters bhi pehle hi bana lain aur jub sari story puri aap ke brain mein ban jaye tou phir writing start karain aur aik important baat ke manzar nigari bhi beautiful andaz mein bayan karain un mein aap barish ka barasna, suraj ki kirnon ka zikar, parindon ka hawaon mein urna wagera wagera karain is se aap ke novel mein aik ronaq si par jaye gi aur parhne mein interest aur parh jaye ga.... for example manzar nigari ye hai "December ki akhri sham bhi ahista ahista alwida ho rahi thi, sham ke saye aaj mujhe khuch zayada udas andaz mein utar rahe thay... Magar us ki talash mein mujh par shamain tou najanay kab ki utar chuki thien." Ye thi example umeed hai jub new writers is tip ke sath likhna shuru karain gey tou unhain novel writing easy lage ga.

      Delete
  8. novel likhny k liye sab se achi kesi story ho i.e romantic , tragedy.....?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Donon hi behtar hain asal baat ye hai ke aap ki kahani zabardast honi chahiye khuch youn ke novel read kartay waqt interest barqarar rahe phir chahe novel ki koi bhi theme ho parhne walon ke dil tak zaroor utray gi.

      Delete
  9. sir main apne father ki zindagi k bare main likhna chahta ho

    ReplyDelete
  10. hello.muja story likhna ka bhot shoq ha or ma na bhot se story soch kar rkh ha per samj nai ata ka ma novel ko kaha sa star karo plz mja aisa novel ka naam btaha jis sa par kar mja samj a ja ha

    ReplyDelete
  11. may nay novel likh li hai but mujay samaj nahi araha k naming kis tharah karoon app meri help karogay?

    ReplyDelete
  12. mae ne ak novel likha hae or us ko publishr ksy krwoo ghar bethy plz koi acha sa tariqa batay

    ReplyDelete
  13. Asalamu Alaikum,,Thanks For Such Nice Info,,Plz Can U Tell How Many Words We Can Put In A Novel Or Story ,,,n If Want To Write Any Column Can U Guide Me Or Help For Post ,,? N I am Already A Thesis Writer ,,Its Would Be Just Like That ?

    ReplyDelete
  14. main novel likhna chah rhe hun r main start bhe kar chuki hun.. apki in post r comments ko parh k mujhe bht acha lga... ma INSHA ALLAH pana novel likhun ge ma poetry bhi karti hun

    ReplyDelete
  15. Mein apna phela novel likh rahi hun. Laikin mein chahti hun mere publish karanay se phele wo novel koi thouroughly read karle. Kia internet pe koi ese log hotay hain jo pro reading karlen?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap khud apna novel parhain aur agar aap ne hathon ki jagah dil se likha hai tou aap ka novel zaroor acha ho ga kisi ko parhanay ki zaroorat nahin

      Delete
  16. salam.... or agr koi apni khd ki zindagi pr kitab likhna chahy tou wo kse likhy.....????

    ReplyDelete
  17. likhne ke time language kon si use krna behter he??
    i mean aisi wali urdu ( URDU )ya pher ( اوردو) ????

    ReplyDelete
  18. likhne ke time language kon si use krna behter he??
    i mean aisi wali urdu ( URDU )ya pher ( اوردو) ????

    ReplyDelete
  19. sir plz help me
    mein sincerity py likna chati hun

    ReplyDelete
  20. manzar nigari to mn kar lon gi pr characterz smbhalna mushkil hota hy mery lye k kis ki baat kb ki jay plz ap help kr dein. thanx

    ReplyDelete
  21. asslamoalaikum..
    mjy bss yeh smj nahi aati mai start kesay kru or end kahan kru.. plzz ap thori help krdain...

    ReplyDelete
  22. ASLAM O ALAIKUM... mai ny aapki post read ki buht informative hai... mje likhny ka buht shok hai r mai apna pehla novel start kr chuki hon mgr koi help krny k liye nai hai... kia aap meri help kro gy plz??

    ReplyDelete
  23. g main already fb par aap ki help kar raha hon

    ReplyDelete
  24. A.O.A !
    Sir, mai apna pehla novel start kar chuka hun ap ki post se bohat help mili us ke liya Thanx..
    par sir muje manzar nigari mai help chahiya us ke pary mai agr koi post hai to link kar dain Plz.. or character ko likhtay hua ( physically ) kaise explain karna hai....Plzzz Help me!
    Reply Must Plzzzzz....

    ReplyDelete
    Replies
    1. W.A! aap mujhse mere fb page par contact karain mujhe message kar ke urdu quotes ke page par

      Delete
  25. Hi,

    Kindly let me know how I can contact you on Fb or via email.

    Thanks for taking time to read my message.

    Kind Regards,

    QA

    ReplyDelete
  26. aap ko jo urdu quotes ka fb page nazar araha hai us par ja kar message kar saktay hain

    ReplyDelete
  27. kya seedhe kisi kitab ka likhna shuru kardena chaahiye ... ya tamheed bhi zaroori hai ... kisi doosre mufakkir ya adabi shakhsiyat se tabsira karwana bhi zaroori hota hai

    ReplyDelete
  28. Main apne dost ki zindgi ko Alfaz mein band kr rha hon .Mujhy wo Andaz e bayan btayein k Alfaz ko Kahani mein Dhaal sakon un ka ridham ban saky. Sari kahani mere samny hy . main apny dost ko or us ki dost ko kin Alfaaz mein bayan kro Jin ki kahani hy.. Umeed e karam hy ap sy k ap meri mushkil ko asan farmaa dijye .

    ReplyDelete
  29. G mei aak novel likhna chata hun per smjh nhy aa rhy kase likho?
    mei apni zindgy pe likhna chata hun wase mei daily dairy b likhta hun.
    per kuch smjh nhy aa rhy k kia karo kAHA se start koro And haan mare paas aak name hei jiss pe me likhna chata hun hun HOLD MY HAND aap mari koi help karo k mei is pe kuch likho kase likho i mean kuch smjh nhy aa rhy kia karo

    ReplyDelete
  30. mjhe is post se kafi madad mili and me apna novel likh raha hun jo islam aur science ka combination hoga thanks to author of this post dua krega k me apna khud ka novel likhne me kamyab hojaun.

    ReplyDelete
  31. mjy apka fb page nei mil ra vo ksy mily ga plz bta dyn

    ReplyDelete
  32. aslam o alikum
    sir mujhy start se end tak ki story maloom hai pr mujhy manzar nigari ni ati plz is bary main meri help kryn uper apki guid lines pr k bohat hosla hua hai
    and sir apka f.b page ka kia name hai?

    ReplyDelete
  33. as salam alikum
    main nay qareeb tkreebn sara novel likh lia hai siwaye 4 ya 5 chapters k lakin mujhy aik bara masla araha hai k main nay sara novel roman urdu main likha hai laptop pay, jis k liyee ab mujhy wo inpage pay kerwany k liyee masla horaha hai aik bnday say mila tha to wo jnb keh rahy thay k pehlay isay urdu ki writing main kerwao phir type hoga...ab itna ziada material urdu main likhna aik mushkil masla hai.
    kia koi aisa inpage use kernay wala mill sakta hai k wo roman perh k jaisay k text message hoty hein mujhy in page main urdu main likh day main pay kerdn ga.
    or apna koi fb account link ya page link account day dain. ya kisi taran mujh say contact kerlain meray mail id pay

    naeem_1994@ymail.com
    shukria ka moka dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walaikum us Salam we have many people who can write your roman urdu novel in urdu language. Naeem Ali Aap mujhse mere facebook account par contact kar lain, page ka link main send kar raha hon.

      https://www.facebook.com/pages/Urdu-Quotes-The-Inspiration-For-Life/154656581230504

      Delete
    2. Aap ko aap ka novel roman urdu se urdu language mein likh kar de diya gya hai agar aap mutmaen hain tou apni raye ka izhar zaroor karain.

      Delete
  34. A.O.A Sir
    Sir Main Novel Start to Kar leta hun Likh Bhi Ache Tareeke se leta hun Manzar Nigari etc. sub Kuch best Tareeke se But Sir Mujh Se Noval ka End Ni hota
    plz Help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sari kahani start se akheer tak apne zehan mein bana lo us ke baad us ko phir socho ke jo kahani banai hai woh achi hai aur jub sub clear ho then likhna shuru kar do agar mukalmay aur manzar nigari par aboor hai tou bohat behtareen andaz mein kahani likh lo gey.

      Delete
  35. me apse apna novel likhwana chahta hun, mere pas kahani mojod hy lekin me manzar nigari or dialouges sahi trah se nahi likh pata

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ok main aap ka novel likh doun ga par aap ko mujhe batana ho ga ke kitne chapters aur safhat ka novel likhwana chahte ho is ke ilawa khuch details bhi chahiyain aap nechay diye hue email address par mujhe message karo.

      buyurdu18@gmail.com

      Delete
  36. Salam Sir..
    Mujhey Aap Sey Choti c Help Chahiye.. Mujhey Novel Likhna Hai, Novel Likhney ke Liye Mujhey Koi Software Download Karna Parega Yaa Phir Koi Online Site Search karni Paregi.. I'm Verry Thankfull To You Ager Aap Mere Question Kaa Answer Dei Daingey.. :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. W.A novel likhnay kay liye kisi software ki zaroorat nahin bas 1 pen aur copy ki zaroorat hai aur jis topic par likhna hai us ke bare mein information aap zaroor online search kar sakti hain is ke ilawa kahani strong ho tab hi likhna shuru karain

      Delete
  37. Sir mn pori book likh cuka nun poetry ki publish karwany ka tareka bta den.... Our iski cost k bary mn plz...

    ReplyDelete
    Replies
    1. agar online publish karni hai tou ye main apni website par kar sakta hon

      Delete