Murree City Hills Station Winter Travel Urdu Information

  Admin      
Murree Shehar Ki Urdu Zuban Main Malomaat
Murree aik bohat hi mashoor jagah hai. Punjab ke subay main jannat nuama wadi angreezon ke door se abad hona shuru hoi aur angreez ke door ki bohat sari nishaniyan yahan aaj bhi milti hain jin main phalon ke darakht wagera shamil hain. Galyat ke alaqay main jitnay resorts atay hain un main se aik bara resort murree bhi hai. Khubsurat paharon wali ye haseen jagah satah samandar se taqreeban 6900 feet buland hai. Yahan snowfall ka suntay hi tourists na sirf punjab ke degar shehron balkeh pure Pakistan se yahan sardiyon ke mausam se lutf andooz honay atay hain yahan ki sub se mashoor place murree mall road hai jahan par khanay peenay ki shops, kapray, medical shops, aur rehnay ke liye is ke ird gird bohat saray hotels bhi mojod hain. Is nice picnic place ka dusra name malka-e-kohsar hai. Baraf bari ke shokeen log yahan december se march tak ke days main atay hain kyoun keh yehi din hotay hain jub yahan snowfall hoti hai.
Husn-e-Murree Ki Pictures
Bhurban Mountains


                                                Murree ke paharon par chayi koi dhundh fog
                                              
                                                             Murree chair lift picture
                                                     mall road se murree city ka nazara
 horses
     winter view
 murree snowfall wallpaper
 safaid barf se dhaki hoi sunsan sarak
 mausam-e-garma summer days of murree
 murree ki sarkon par raaj karti baraf par chalti hoi bus
 murree mall road bazar image
chair lift of muree
heaven ka manzar paish karta howa nazara
Insan aaj ki teez aur busy life main itna kho chuka hai ke qainaat ki haseen khubsurati se bohat door ho gaya hai. Mausamon ka insan ki zindagi se bohat gehra taluq hota hai aur aisay hi muree ki sardiyon ke manazir jesi aik khubsurat ghazal jo ke kisi ne intihai dalkash andaz main likhi hai isay parh kar insan ko aisa hi mehsos hota hai jese woh asman se girti hoi barf par apne qadmon ke nishan chorta howa agey ko bharta ja raha hai. is murree poetry shayari ko yahan par upload karnay ke liye writer se ijazat li gayi hai.
Murree main guzaray lamhon ko qaid karnay ke liye malka e kohsar ke mall road se rent par movie camera bhi mil jatay hain magar un ka result bohat kharab hota hai. Garmiyon main bhi ye jagah tahndi mehsos hoti hai aur summer nights main yahan garam clothes ki zaroorat rehti hai. Yahan ka mausam aisa hai ke kisi bhi waqt yahan badal ajatay hain aur barish shuru ho jati hai. Lahore se murree ka distance taqreeban 7 hours ka hai. Yahan pohanchnay ke liye islamabad aur pinda ka rasta bhi apnaya ja sakta hai. Is jagah se agey 2 se 3 ghanton ka safar teh kar ke azad kashmir ka area shuru hota hai jo keh murree se kahin zayada khubsurat hai. Asman par badal sitaron ko chupa bhi lain tab bhi yahan sitaray chamaktay nazar atay hain yani Muree ke paharon par banay houses raat main sitaron ka manzar paish kartay hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment