Punjab University Lahore BA Result 2013 | PU BA Supplementary Result

  Admin      
Taleem ke bina shakhsiyat na'mukamal hai aik kamyab society sirf taleem ke balbotay par hi taraqi karti hai.
Mutaliya karna aik fun hai jo students is fun se agah hain woh kam mehnat se zayada numbers hasil kar laitay hain. Hamaray haan aksar students is fun se agah nahin jis ki wajah se zayada mehnat ke bawajod us ki taleemi qabliyat tasalli bakhs nahin hoti. Agar aap mutaliya ke asolon se agah ho jayain tou aap bhi kam mehnat se zayada number hasil kar saktay hain.
Study kartay waqt ke aap pursakon, pur aitmaad aur alert rahain aur mutaliya karnay ke liye bharpur tawajah ke sath purjosh hon. Jub insan pursakon hota hai tou mutaliya ki raftar bohat bhar jati hai. Zehni dabao ki surat main fard ki tawajja mutasir hoti hai aur khuch samajh nahin ata, is se yaadasht bhi mutasir hoti hai aur ghanton parhnay ke baad bhi fard khuch hasil nahin karta.
 Pichlay saal 2012 ke B.A / Bsc ke imtihanaat main kul 143750 umeedwaron ne shirkat ki thi jis main bhari raqam istmaal kar ke numbers ki lists change kar di gayi thien aur fail students ko pass karnay ka inakshaaf howa tha. Waqiya ki itla milnay par university ki intizamiya necomputer section ka record qabzay main lay kar tehqeeqaat shuru kar dien is waqaya ke baad B.A ka result ko ke 1 august ko ana tha takheer ka shikar ho gaya. Magar is baar 2013 main umeed ki jati hai ke koi aisa waqaya paish nahin aye ga aur result apne asal waqt par aye ga. Is baar 2013 main daidh lakh se zayada students imtihanaat main shirkat karain gey. B.A punjab university lahore papers 2013 date sheet jese hi university ki taraf se release ki jaye ga aap ke liye yahan par post kar di jaye gi aik andazay ke mutabiq April 2013 main ye imtihanaat shuru hon gey aur in ka result is baar bhi August ke month main aye ga. Is ke ilawa PU BA/BSc Supplementary Result 2013 november ke akhri haftay main ya phir december ke pehle week main aye ga aur ye imtihanaat october main liye jayain gey. Is ke ilawa aap yahan online result check bhi kar saktay hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment