Quran Parhne Ka Tarika Ibadat Fazilat Recitation Methods

  Admin      
 Question: Holy Quran Sharif parhnay ka tareeqa kya hai?
Answer:  Koi shukhs kisi se farmaesh karay ke ke Quran sharif ka koi hisa humain sunao tou sahi. Tou aysi surat main woh shukhs jis se is tarah ki farmaesh ki gayi ho tou bohat bana sanwar kar parhta hai. Isi tarah jub Qurah Shareef ki tilawat karnay ka irada ho tou dil main ye soch liya jaye ke Allah Ta'ala ne hum se ye farmaesh ki hai ke hum ko thora sa Quran shareef tou sunao aur ye samajhna chahiye ke Allah Ta'ala bohat tawajah se us ka Quran sharif parhna sunn raha hai aur ye khayal karna chahiye ke jub kisi admi ke kehnay se bana sanwar kar parhtay hain tou Khaliq e qaenat Allah Rub ul izzat  ke farmanay se jo parh rahay hain tou us ko khoob hi bana sanwar kar aur sambhal sambhal kar parhna chahiye. Ye sub batain soch kar Quran parhna shuru kiya jaye aur jub tak parhain ye sub batain zehan main rehni chahiyain. Is tareeqay se Quran sahi aur saaf bhi parha jaye ga aur dil bhi us taraf matwaja rahay ga. Aur Quran Majid parhnay main dil bhi laga rahay ga.
Tilawat ke 4 Adab Zahiri:
1: Nihayat adab aur ahtram se wazu kar ke qibla ki taraf munh kar ke baithay.
2: Parhnay main jaldi na karay tarteel-o-tajweed se parhay.
3: Ronay ki koshish karay chahay beh takaluf hi kyoun na ho.
4: Ayat e Rehmat par dua e maghfirat o rehmat mangay aur Ayat e Azab par Allah se panah chahay.

logoblog

No comments:

Post a Comment