Read Online Khwaab nama of Hazrat Yousaf Khwabon Ki Tabeer

  Admin      
Khawan Khanay Se Bhara Dekhna: Aish hasil hone par aur lambi zindagi ki daleel hai.
Machar Dekhna Khawab Main: mosquito: Safar (journey) ki daleel hai.
Khaak Dekhna (Mitti): Soil dream interpretation: Maal bohat milnay ki daleel hai ya tou muash ki takleef uthanay ki nishani hai.
Khak Par Chalna: Daulatmand honay ki nishani hai.
Khameer Ka Dekhna: Sakhi ho fuqra ko fayeda pohanchay, aulad zayada ho.
Khachar Ka Doodh Pina: Tangi muash ho yani financial problem ho.
Khatna karna ya karte dekhna: Gunahon se pak ho aur rupaya aur naimat se khush ho.
Khargosh Dekhna: Rabbit: Hare: Aurat (Women) milay.
Khachar ka gosht khana: kharab aurat ka maal hath aye aur beja kharch ho jaye.
Khachar ghair par sawar hotay dekhna: Malik khachar ki aurat se khayanat karna.
Kharbuza Khana: Kharzuja: Dolay milay par jaldi kharch honay ki bhi sabeel hai.
Khurma Khana: Haji honay ki tabeer hai aur jo dua kare qabol honay ki bhi umeed hai.
Khoon apne jism se bina zakham ke nikalte dekhna: Agar kisi ne dekha ke jism se khoon ya peep jari hai aur tamam badal aluda ho gaya hai tou maal haram milay ki daleel hai. Jis hesiyat se khoon ya peep jari thi yani kami baishi.
Khush Dekhna Khud Ko: Preshani  ki nishani hai aur ranj aur gham ka dekhna nahayat shadmani hai.

Daal Se Shuru Honay Wale Khawab

Daant Girtay Dekhna: Teeth: Rahat aur aram aur umar daraz ho.
Daant Sonay Chandi ke dekhna: Bimari ki ilamat hai.
Darakht Besamar Dekhna: Zaleel khawari ki daleel hai.
Darakht Phoolon Ka Dekhna: Flower Tree: Money, Paisa milay aur ayesh hasil ho.
Darakht Parh Charhte Dekhna: climbing on tree: Rutba buland paye ya hakam se fayeda uthane ki daleel hai.
Darya Se Paar Hote Dekhna: Tehseel ilm se faraghat paye, ranj badal kar rahat paye.
Darya Main Doobte Dekhna: River: Naik kamon se kinara kare, bure kaam karay.
Doodh Aurat Ka Peena: Agar mankuha hai ulfat barhe aur agar ghair hai tou fayeda pohanchay.
Dev Dekhna: (jin): Agar badshakal hai ranj uthaye aur agar khush ru hai tou unchay martaba aur ilm marfat bharh jaye.
Dakhtar Paida Hote Dekhna: Agar ye khawab aurat dekhay pasar ki daleel hai aur agar mard dekhay dakhtar ki daleel hai.
Dahi Dekhna: Safar ki daleel hai lekin tandrust wapas anay ki daleel hai.
Dozakh Ke Azab main giraftar dekhna: Joru, biwi badsurat badserat milay, nahayat tang kare.
Doodh un janwaron ka peena jin ka khana halal hai: Rozi milay aur is ke baraks takleef paye.
Dozakh se bahir nikalna: Deendari aur parheezgari ki daleel hai ya safar se wapas ho ga andar dekha hai tou gunahon se tauba kare dunyadar safar kare.
Dozakh ke ranj-o-bala main mubtala dekhna: Dunya main preshan ho.
Dalal ko dekhna: Sahib khawab ko koi shukhs hidayat karne wala paida hone wala hai.
Daant ko ba'asani ukhartay dekhna: Farzand ya bhai paida ho ya maal milay.
Danton main kisi ka nuqsan ya takleef dekhna: Azeezan khaas ke nuqsan ki daleel hai.
Daant ka girna dekhna: Umar darazi ki daleel hai.
Danton koroshan ya khubsurat dekhna: Naiki maal par daleel hai.
Dant Pathar ya moom ya lakri ke dekhna: Sahib khawab ki wafat ki nishani hai ya baes halakat aur musibat hai sadqa dena chahiye. Waziha ho ke danton ka dekhna ghar ke admiyon par daleel hai jesay 2 uper ke aur 2 neechay ke  samne walay un charon ko dekhna baiton aur bhaiyon aur behnon se mansoob hai aur jo in charon ke mutsal hain un danton ka dekhna mamon aur chacha se nisbat hai aur darhain jin se khana khaya jata hai uper ki baap ke azeezon se manboob hain aur neechay ki darhain maan ke azeezon se mansoob hain. Isi tarah danton ka nafa nuqsan jo jis ke taraf mansoob hai, tabeer samajh laina chahiye.
Dant Apna Girta Dekhna: Koi azeez mar jaye ya koi aur ranj ka samna ho.
Dant sayah dekhna: Black teeth: Marnay ki daleel hai.
Daant Chandi Ka Dekhna: Ranj-o-musibat aye.
Dars Dena: Agar alam hai daulat akhrat paye agar dunya ka alam hai tou maal dunya se mala maal ho.
Doshala Dekhna ya Pana: Aurat dekhay mard jawan se aqad ho, mard dekhay haseen larki milay.
Daig Dekhna: Agar larki ne aisa khawab dekha hai tou us ka aqaq jawan mard se ho aur agar larka dekhay tou us ka aqad khubsurat larki se ho.
Dastar Khawan Khali Dekhna: Preshani hai.
Dastar Khawan Khane se bhara dekhna: Taraqi naimat ho.
Dawaat Dekhna: Aurat maaldar se ayesh naseeb ho ya zan ke hamla hone ki daleel hai.
Dawa Khana Ya Dekhna: Musibat ya pashemani uthaye.
Dahi Khana: Ghum-o-alam ho.
Darakht Ke Pattay Dekhna: Tree Leaves: Rupaya milnay ya hakam se izzat ho.
Darakht Par Charhtay Dekhna: Rutba Buland ho behad nafa ho aur utartay dekhna, zillat khawari ki daleel hai.
Darakht Alu Ka Dekhna: Potato Tree Dream: Bimari uthaye ya kisi bala main mubtala ho.
Darwaze Ka Jal Jana: Door: Ghar weran ho ya marz main mubtla ho khawari-o-zillat ho.
Darwaze Ke Patton Ka Gir Jana: Agar do larkiyan hain dono mar jayain gi, shohar ke ghar se nikal jayain gi.
Deewar se gir jana: Wall: Jis haal main hai us se gir jaye ga. Zaleel-o-khawar ho kar mar jaye.
Darwaza Ka Khud Jana: Aurat sahib khana ke mar jane ki daleel hai.
Darwaza Dusra Banana: Apne makan ke baichnay ki daleel hai ya sahib khawab ki zauja dusre se nikah kare.
Darzi Dekhna: Tailor: Apne deen ko baichta hai aur dunya ko khareedta hai.
Darya se pani peena: Drinking water from river: Izzat bhar jaye aur hakam waqt se paisa paye.
Darya Ke Paar Hona: Moot ki waseel hai.
Darya Khawa Nehar Main Ghusal Karna: Bimar hai tou sehat ho, gunahon se paak ho koi khushi ki baat sunnay ki daleel hai.
Daant Pathar ya Lohe ya Lakri ke dekhna: Khawab dekhnay wale ki moot ki nishani hai.
Darya ya Nehar ki daldal main phansna: Preshani ho.
Darya Dekhna: To see river in dream: Daulat aur taraqi jah hasil ho.
Darya Ki Moj Dekhna: Mushaqat uthaye.
Darya ko tareek dekhna: Sakhti ki nishani hai.
Dupatta Dekhna: Aurat ko shohar naik milay, izzat se basar ho.
Darhi Nochi Dekhna: Aurat se jang ho nahayat tang ho.
Dool Dekhna: Agar khali hai tou preshani hai aur bhara dekhay tou shadmani hai.
Darhi Ghani Dekhna: Agar muflis hai tou preshan haal ho aur tawangar  hai tou aur khush haal ho.
Darhi Safaid Dekhna: White Beard: Izzat o waqar ki daleel hai.
Darhi Siyah Dekhna: Black Beard: Hamesha daulat iqbal ghar ka ghulam rahe.
Darhi Nikli Hoi Aurat Dekhe: Agar bewah hai shadi ho gi, agar shohar safar main hai wapas aye ga aur agar mojood hai safar kare ga aur jo hamla hai tou larka paida ho ga aur woh larka qoom ka sardar ho ga.
Darhi ka daraz hona: Izzat, martaba zayada ho janay ki nishani hai.
Darhi Choti Dekhna: Izzat o abru kam ho.
Darhi Larke Ko Apni Nikli Hoi Dekhna: Qabal baloghat inteqal ho jaye ga.
Darhi aur Sar ko munda dekhna: Ranj aur musibat shadeed uthaye.
Dumba Dumbi ka dekhna: Agar dumbi ka malik howa hai yani us ke hath ayi hai tou us ko naik aurat milay, maal milay.
Dumbi ka ghar se nikal jana ya chori ho jana: Sahib khawab ke liye us ki biwi se koi aisi baat darmyan main ho gi, jis se behad nakhushu darmyan main paida ho gi.
Dulha Apne Aap Ko Dekhna: Groom: Agar dulhan sahib khawab ko pehchanti hai tou goya usi se aqad ho ga aur agar aroos sahib khawab ke naamzad hoi badoon pehchan-o-marfat ke tou sahib khawab ki moot aye gi. Daleel hai shaheed ho ga.
Deewana Khud Ko Dekhna: Maal milay lekin beja sarf ho.
Dahi ChaachWagera Dekhna: Fikar aur ghum paida ho.
Dastaar Yani Pagri: Daulat aur izzat milay.
Dhobi Dekhna: Bughaz, adawat aur ma'asi ki daleel hai.
Zaal Se Shuru Honay Wale Khawab

Zikar Khuda Karte Dekhna: Murshad ya abid khawah mohad honay se daleel hai.
Zikar Yani Aza e tanasul ka daraz dekhna: Kaseer al aulad ho ga. Agar aurat nahin tou zan jameela se nikah kare ga aur aurat dekhay larka paida ho ga.
Zikar Ka Kata Howa Dekhna: Aulad mar jaye gi ya khud sahib khawab ki moot ki daleel hai.
logoblog

41 comments:

  1. halak me pin attack jana khawab ka kia matlab hai

    ReplyDelete
  2. bakra zibah hotay dekhny ki kia tabeer hogi...

    ReplyDelete
  3. left baazo mai goli lagte hue dekhna is ki tabeer kia ho gi

    ReplyDelete
  4. Gilehri ko jaan se marna ki kya tabeer ho sakti hai?

    ReplyDelete
  5. main nay aj rat 3 ya 4 baje kahwab dhka kay muje par kise nay tawiz karwya ha or or wo tawiz jin ban gaya ha or jab wo muje marny laga to usko pata chala kay mery pechy bazorgo ka hat ha

    ReplyDelete
    Replies
    1. ap Quran e pak ko tarjma se prha kro jb ap k dil se khof khatam hogaey to apko esy khwab ni aeyn gy aur ap ko Nabi Pak S.A.W.W or ALLAH PAK k ilawa kisi buzurg ki zrurt bhi ni pry gi. or ap koshish kia kren k buzurgon k pas beth k wohi kch sekhen jo Quran, hadees aur sunnat k hisab se thek hai

      Delete
  6. do group jinke sat sat aadami dono taraf khade the or unhone black color ke pathani type kapde pehne the or sir par pathani type pagdi bandi hui thi or unme se ek group ka ek aadami dusre group ke ek aadami se ladne ja raha tha or vah usase baat kar raha tha to usko usi ke group me se ek aadami samjha raha tha to usne apni talwar se apne hi group ke aadami jo use samjha raha tha uski gardan kat di to uska sir hi alag ho gaya......me khwab me sara manzar dekh raha tha or me ghabra kar waha se bhaga or ek building ke niche ja kar khada ho gaya to mene dekha ki building ki chat se khoon tapak raha hai esa lag raha tha mano bahut zor dar khoon khraba hua hai waha ........iska matlab mujhe samajh nahi aaya ki es khwab ki tabeer kya hai iska mujhse kya talluk hai .....please mujhe bataye

    ReplyDelete
  7. khawaab main apnay aap ko qaber main dafan hota deakhna is ki kia tabeer hai?

    ReplyDelete
  8. assalam walakum mere naam md.Aman siddiqui hai mai 19 saal ka hu mujhe her baar khawab me pani ya jaise samander aate hai. 2 din pehle... mai ne khawab me dhekha ke mai pani me kise kaste ya kuch the pata nahe... mai vuspe bhait ker pani me jaa raha hu... jab mai ne dhekha 'kabe sharif" ko charo taraf pani hai bass kabe sharif pani ke bech me matlab pani ke vupar hai.... and mai kabe sharif ko peche chod kar aage bad gaya...pani me... so plz baTAye ye iss khawb ke tabir kya hosakte hai...

    ReplyDelete
  9. Sorha yaseen ki dream main perhna

    ReplyDelete
  10. may nay khawab may choha apnay gr mara hua dacha hay.

    ReplyDelete
  11. Maine daikha k meri marhooma nani mere baal bana rahi hain or baad main thore thore kaat b deti hain.or osi din meri shadi b ho rahi hai.iska kya matlab hua

    ReplyDelete
  12. Main ne khwab main dekha k main khoon ki voniting kr rahi hon. Please muje iski tabeer bataye. ..???

    ReplyDelete
  13. khawab main Quran Pak ko khredna is ka kia matlab ha

    ReplyDelete
  14. Aoa.. Moon bhai.. me khwab mein daikha k me sabun sy apna srr dho rhi hoti hon.. sabun ko gellay balon mein rggr rhi hoti hon.. jaisy hi me sabun daikhti hon.. 1,2 inch k baal toot k guchy mein sabun k sath hoty hain or kuch me hath sy b daikhti hon pkr k.. baal toot gae hoty hain 1,2 inch k tukron mein .. or me apni behn sy khti hon ye daikho mery baalon ko kya ho gya..
    plz moon bhai tabeer btayen is ki....

    ReplyDelete
  15. Mainy khuab main dekha main ak drkht k nichy khari hun or ak dm hawa chlti hai or us drkht sy kachnar k phol mery dupaty k daman main gir jaty hain jin ki tadad boht zyad ho ti hai mujy tabeer bta den is khuab ki pliz

    ReplyDelete
  16. Maine khwb ma dekha ki building ma se colour colour k faware nikal rahe h jaise k laal, nila, pila, hara...kya ap iski tabeer bata sakte h?

    ReplyDelete
  17. khwab me halal ya qurbani ka kacha gosht dekhne ki tabeer kya he????

    ReplyDelete
  18. Dream main Dog ya bearay ko apni body se out hoty dekhna kaisa hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. mery husbnd ny khwab me dekha hy k unho ny apny 6 dant asani sy moo sy nikal ky hatheli me rakh liye hy. is ki kya tabeer hy plz zara jaldi bta dain mjy

      Delete
  19. khawab me apne ap ki hamla dekhna yani k pregnancy result positive dekhnay ki kia tabeer ha

    ReplyDelete
  20. meri ami ne khwaab me apne mehrrom papa yani mere nana ji ko dkeha h k unki shave bri hui h or wo unki shave kati h iska kia mtlb h ?

    ReplyDelete
  21. main hemaisha khawab jab bhi bhaag reha hota hun toh mujh se bhaaga nai jata aur meray paon boht bhari hojatain hain aur main boht slow hojata hun iskay kia meaning hain please answer.

    ReplyDelete
  22. Khowab men ghulabi rang ka meetha doodh (Milk) peena. Plz mujy is ki tabeer bta dein. Thanks

    ReplyDelete
  23. Khwab me jahaz tabah hona kya matlab hai

    ReplyDelete
  24. Mene khwaab mein dekha hy k aik aurat se mein milti hun jo boht takleef mein hoti hy to mein usse pochti hun k kya koi aisa gunah kiya hy past mein apne jis ki waja se ap takleef mein hen to wo kehtihen han to me unse kehti hun k tobah kr len (yani tableegh ) deti hun n wo tobah krne k liye maan jati hen ??iska mtlb plzz bta den its really important!!

    ReplyDelete
  25. Plz mujhy jaldi mery khawab ki tabeer bta dain k esi kya chez hy jo esay khawab a rhy hain ... Meri behan nay dekha hy k wo kisi darbar pay hy or wahan bht log hain or main b aik konay main bethi hun or buhyt bhoki hun or apni bazu ka gosht kha ri hun or aik bazu gali hoi hy meri ... Meri anti nay b acha nai dekha mery leay khawab plz jaldi bta dain apki anayat ho gi ...

    ReplyDelete
    Replies
    1. app ka khwab kahta hai kay app apna sadqa karain cow ka goshat lay kar apny opar sar righte side say 7 dafa chakar lagwa kar apnay ghar ki chat par ya nehar jo chalti mein phaink dain or peechay murr kar nahi daikhna, baqi apnay app par goor karain kay wrong side tu nahi ja rahi app, or astagfar bhi karain,

      Delete
  26. Replies
    1. ye khialli khwab hai soottay waqat righte side soya karain or takia naram istmall karain

      Delete
  27. Khuwab mein saffaid khubsoorat ghora gussay mein dekhna jis se Bach k bhag re ho r kuch admi us ghoray ko rok rahen mjhe Marne se. Plz tabeer bata dain

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar tou us ghoray ne aap ko mara nahin phir koi dushwari nahin

      Delete
  28. Khawab mian dekha ha k hath ki Lakerian dekhai haan ak doctor ny our us ny kaha ha k 13 tarekh ki rukhsati ha us sa pocha b ha k kiss cheez ki r ukhsati ha per us ny bataya hi ni please ap bata sakty haan is ka kia matlib ha our hamary ghar mian hospital bana howa ha loog ikaty hoy howy haan wahaan doctor ny dekh kar kaha ta our khawab jiss ny dekha ha w/o choti api ha our hospital ka upper ghar bana ha jiss mian Merri badi api rah rai ha hallan k un ka ghar ham sa door ha

    ReplyDelete
  29. Khwaab me sar ke balo ko colour karana kuchh hisso m rang aur baki kale

    ReplyDelete
  30. Dulhan ko green jorry mai barat k sath jaty daikhna

    ReplyDelete
  31. Khwaab mein baat karne waale khoobsurat bachchi KO dekhne ka kya tabeer hai??.. Kindly guide me

    ReplyDelete
  32. mai n apni shadi dkhi h fajr k tym plz daber bta dy

    ReplyDelete