Roman Urdu Khawab Nama Khawab Ki Tabeer Dreams

  Admin      
Khawateen, bachay, burhay, jawan, aurat aur mard sub khawab dekhtay hainnaik aur achay log jo pichli shab main dekhain woh khawabain aksar sahi aur sachi hoti hain. Apna khawab naik mard momin se din main bayan karain ya khud naik tabeer se lay lain. Dil se ghar kar hargiz hargiz khawab bayan na karain. Agar kisi kisam ka khoofnaak dream dekhnay main aye tou pehle ye dekhain ke kisi badi cheez ke khanay se pait main garani tou na thi ke aisi khawbain mehez pait main gas ban kar dimagh main ghutne se nazar ati hain hamla aurat ko ya jin ko haiz theek waqt par nahin hota un ki aksar sari sari raat drona khawab rehta hai, Aisay khawabon ka koi aitbar nahin karna chahiye. Ayat ul Kursi 7 baar aur Charon Qul 2 ya 3 baar meethay oil par dam kar ke rakh lain aur sotay waqt aik do qatray kaan main daal liya karain. Agar baaz khawab preshankun hon tou ghabrana nahin chahiye. Khawab ke baray main aik hadees hai keh
"Khawab mard momin ki nabuwat ka chayaliswan hisa hai."
Allah Ta'ala apne naik bandon ko israr-e-ghaibi se agah farmata hai. Khawabon ke mutaliq agar wazahat ki jaye tou daftar ke daftar nakafi hain.

 Prophet Yusuf Dream Interpretations


 Khawab Nama Hazrat Yousaf A.S In Urdu Roman Online Book

Alif Se Shuru Honay Walay Khawabon Ki Tabeer Collection

Anwaar Elahi Dekhna: Jannat naseeb ho qaid se azadi ho. Amaal naik ho, farakhi naimat har do jahan de.
Anbiya Ko Khush Dekhna: Deen aur dunya main izzat ho, zayarat Paighambar
Aulia Ko Dekhna: Basharat naik afaal aur zayadti iqbal ki daleel hai.
Abdaal Ko Dekhna: Mojab zayadti, naik taraki darain ki daleel hai.
Israfeal Ko Dekhna: Sahib khawab ko bohat mubarak ho deen aur dunya main.
Asman Nazar Ana: Sky: Maal milnay ki daleel hai ya rutba buland ho aur agar asmaan par charh gaya hai tou Khuda ke yahan izzat paye ga aur sirat se jald utar jaye ga ya badshah khawa hakam meharban ho ga.
Abar Asman Par: Hakim ya badshah maharban ho ya rizq main taraqi ho.
Abr Ka Har Jagah Par Barasna Muheet: Waba anay ki fitnay ki daleel hai aur aik jagah barasna rehmat ki daleel hai aur abar ka barish ke sath barasna agar koi dekhay tou is ka matlab hai ke us ka qarz ada ho, bimar shafa paye.
Aftab Ko Roshan Dekhna: Shinning Sun: Unchay darjay ki daleel hai mulk azeem ko pohanchay ga.Rizq zayada milnay ka ishara hai aur agar kisi ne dekha ke aftaab us ke ghar main talu howa hai
Aftaab Ko Gehan Ya Gard o Gubaar Main Dhala Dekhna: Marz ya kisi musibat ke asaar hain ya sahib khawab ke waldain ka intiqal ho ga. Asman ke qareeb urh ke pohanchna hasol-e-deen-o-naimat hai.
Aap Ko Urhtay Dekhna: Fly in the Sky:  Gunahon se bari ho ya safar ko jaye aur salamat ghar wapas aye.
Azan Kehna: Salat: Agar hajj ka month hai tou kabhi hajj naseeb ho ga aur agar tab dekhay jub hajj ka maheena nahin hai tou qurbat zamana hajj hai tou naik baton ka charcha karay ga aur agar ye dekhay ke woh kalma azaan main kehta hai jin ko khud nahin janta tou woh chor ho ga.
Anda Dekhna Ya Anday Ka Malik Hona: Egg: Agar kisi ne anda paya aur ye nahin pata ke kis chirya ka hai tou aurat panay ki daleel hai.
Anday Khana: Eating Eggs: Agar khageena ya kisi aur surat se paka kar khaya hai tou maal saleh se tabeer hai aur agar khaam ya khacha tanawal kiya hai aur kisi anday ka chilka ya safaidi badoon zardi ke khai hai tou maal murday ya maqtool ka paye ga.
Aunth Ka Gosht Khana: Camel Meat Dream: Bimari uthaye ga lekin rozi halal hath aye.
Aunth Dekhna: Agar qabza main hai tou dunya tabay ho gi yani dunya se benayaz ho ga aur aunton ki qataar dekhnay se bhi wohi tabeer hai.
Aunth Ko Dasta Kanaan Dekhna: Koibala asmani nazal honay wali hai.
Aunth Par Khud Ko Sawar Dekhna: Safar ki ya hajj ki naimat hath aye.
Anjeer Dekhna: Maaldaar ho
Anjeer Ka Pata Dekhna: Fig Leaf: Acha khawab nahin hai
Anjeer Khana: Paisa tou milay ga magar hasrat o yaas se khali nahin.
Asarfi Ka Dekhna: Larka boy paida ho ya nafa business tajarat ho aur rutba buland ho.
Anguthi Pehenna: Wearing Ring: Kisi ohday par sarfaraz ho ya kisi haseena se aqad Nikah ho.
Anguthi Ka Baich Dalna: (Ring Sale Karna): Aurat ki judai ka sadma uthaye.
Anguthi Kho Jana (Lost Ring): Hakumat government jati rahay, qadar o manzilat khatam ho jaye.
Anguthi Sonay Ki Nageena Ke Bina Dekhna/ Gold Ring Without Pearls: Auraton, larkiyon ko bohat khoob hai aur mardon ke liye nazaib hai balkeh burai ki alamat hai.
Ulo Dekhna: Maal janay se tabeer hai:

Aam Khana: Eating Mango: Tawangri ki daleel hai ya sahib e ulad ho.
Ahan Dekhna: Khushi (happiness) paida ho ya darjah buland ho.
Asman Se Shehad (Honey) Ya Sirkah Khawa Roghan Ya Masal Us Ke Dekhna: Agar woh sabz rang ho aman aur amaan hai aur agar yello zard peela rung hai tou marz bimari ki daleel hai aur agar surkh red hai tou khoon reezi kiilamat aur baazon ne surkh Nikah se tabeer kiya hai.
Azan Bewaqt kehna: Zalim ke zulm main mubtala honay ki daleel hai ya koi tohmat lagey ke sahib khawab mehz begunah ho ga.
Azaan Rastay Main Kehtay Jana: Hajj karnay ka ishara hai.
Anaar Sheereen Meetha Khana: Eating Sweet Pomegranate:  Is ka matlab dolat maal se hai balkeh har mevay se daleel hai ke world dunya main khushi ho gi.
Anaar Tarsh Khata: Eating Sour Pomegranate: Ranj aur ghum ki daleel hai balkeh har khatay meway se tabeer yehi hai.
Angoor Safaid Siyah Kalay Dekhna: White Green Grapes Dream: Agar mausam ya fasal main dekhay tou khair aur barkat ki nishani hai aur be'fasal dekhna ranj aur gham ki nishani hai.
Angor Ka Sheera Nikalna: Angoor Ka shira nikaltay dekhan khushi ki elamat hai.
Anar Meetha Dekha Sweet Pomegranate: Naik nami aur shadmani ki ilamat hai.
Aankh Dekhna: Eye Dream: Agar dekha hai ke ankh ki roshni zayada hai tou tou goya us ke deen main taraqi hai aur agar aankh ki roshni main kami nazar ayi hai tou matlab is ka deen main kami se hai.
Aungliyon Ka Dekhna: Fingers: Aungli'yan nazar anay ka matlab hai ke maqsad se door rahay ga.
Angliyon Ka Alag Alag Dekhna: Azeez o aqarab rishtay daar juda hon aur zindagi takleef main basar hol.
Aag Baghar Dhunwain Ke Roshan Dekhna: Fire Without Smoke: Badshah ya hakim ki zayarat ho rutba muqaam auncha ho aur saray fikron se nijat ho.
Aag Khana: Eating Fire: Maal haram khaye ga preshani uthaye ga aur yehi tabeer aag uthanay ki bhi hai.
Aag Jala Ke Pakana: Fazol Kharchi se nijat ho aur faida behisab ho.
Aag Se Kapra (Cloth) Jalna: Aankh ke nuqsan ki daleel hai.
Aaina Dekhna Sheesha Mirror Khawab: Deen aur dunya ki muradain, khawahishain wishes hasil honay ki daleel haiagar aurat haamla ho tou pasar paida honay ki aur agar aurat ne dekha tou larki baby girl paida honay ki daleel hai.
Olay Ka Maidan Dekhna: Dushman (Enemy) badkhawa bohat hon.
Ola Khana: Baes e preshani aur hairani hai aur kabhi khushi aur shadmani se bhi tabeer hai.
Oley Ko Girtay Dekhna: Agar us mausam (weather) main dekhay jis main olay nahin partay tou nuqsan uthaye aur agar us mausam main dekhay jub olay girtay hain tou fayeda uthaye.
Aandhi: Wind: Storm: Dust Storm Ka Dekhna: Ranj-o-ghum ki nishani hai.
Aandhi Ka Ana Aur Bijli (Lightning) Ka Girni: Koi bala anay wali ho ya waba phailay.
Amrood Ka Dekhna Ya Khana: Guava Agar amrod sheereen yani meetha hai tou dunya main naimat hasil ho, agar tirsh yani khata hai tou marz honay ki daleel hai.
Akhroot Khana: Walnuts Dream: Akhrot dream main khanay se murad tijarat main nafa hai.
Elaichi (Cardamom) Dekhna Khawah Khana: Sahib-e-Khawab ki tareef o sana  aur naik kaam hone ki daleel hai aur maal panay ya hasil honay aur zuban parsa aur naik khasalton ki nishani hai.
Eent Ka Dekhna: Brick In Dream: Agar kori khushk tapraya se nikli hai tou khazana milnay ki nishani hai.
Eent Ka Diwar Se Nikal Jana: Brick Wall: Koi mard wahan se chala jaye ga ya koi aurat khaas ghar chorr jaye gi ya mar jaye gi.
Aab e Zam Zam Peena Khawab Main: ilm ashraf hasil honay ki daleel hai.
logoblog

9 comments:

  1. @ Naushin Khan aap ka khawab maine parha hai jo aap ne bataya hai us ke liye ye hai ke aap zayada se zayada apna sadqa dain aur Ayatul Kursi parhain aap ka dream acha nahin hai.

    ReplyDelete
  2. Mere Khawab mein Char ya paanch billli Thi aur mera Raasta Ruk rahi thi Mujhe agey jaane se Rook rahi thi Mein ek khadam bhi agey bada deta ho toh mujhe kaatne atti hai aur mein khadam wapis leta ho toh mere Atraaf Ghomti hai billiya Is khawab ki tabeer mujhe bataye ap mein janna chahata hoon iski liye kya pardhe aur kaise hall nikalta hai iska mujhe bataye ap In sha Allah usse pura karoga..

    ReplyDelete
  3. maine khawab mein khud ko pahar pr charte dekha hai or mein kisi ziarat ki taraf ja raha hoon laken mujhe meri ami rok leti hain or mene pahar pr 2camels ko dekha un mese ik black or doosra brown tha or wo logo ke drmian kitar mein kharay the
    (plz ap mujhe is ki tabeer mere acount pr sent kr dyn)
    mohsin7518@gmail.com

    ReplyDelete
  4. Mne khawab me mithi cheez kahi hy kisi k hatoon k es ki tabeer bta skty haen

    ReplyDelete
  5. Salam meine istakhara kiya us mein meine safaid eggs dekhe aur pink color bhi dekha plz iska matlb bata dein

    ReplyDelete
  6. asalam-o-alikom
    my name is sumbal. i am 19 year old.
    main ny khwab deka hai k jinat mujy dara rahy hai main un k dar sy chekh uti tto achnak main ny ayat-ul-kursi shuru ki or jab main ny shuru ki 2 bar para jab tesri bar par rahi to apni hi awaz se uth gai or ank kul gai or meri awz meri behn ny be suni muj se kaha k tum khwab main ayat-ul-kursi par rhi te.

    ReplyDelete
  7. mene khwab mai apnay ap ko aik namaloom ghar mai dekha hai jis mai aik burra saya hai.woh hum pe war kernay k liye active hai lekin hum sab ghar walay ghar se bhaag rahay hain,hum sab ghar se bhagnay mai kamyab ho gye hain jab k meri aik behan peechay reh gai aur uss ko saya sath urra lay gya.mai ayat-ul-kursi perhti ja rai hu..yeh khwab mujhe guzashta 4 dinno se arai hai ..iski tabeer jan'na chahu gi .

    ReplyDelete
  8. Main do din sai khawab mai neela pani dekh rae hu nd bht khubsurat jaga jesy kay koi jannat ho.. Log us pani mai naha rae hote hai aur mai b nahne lagti hu kay ankh khul jati hai

    ReplyDelete
  9. mein ne khawab mein dekha shadeed zalzala ho raha hai aur mein zor zor se muslsal kalma parh raha hoon

    younas_mengal@yahoo.com

    ReplyDelete