Worlds Best Island Greece Santorini Travel Unan Ki Sair

  Admin      
Ye aik qadeem tareen jazeera island hai jo tareekh main sub se bari atish fashani ke natijay main wajod main aya Unan (Greece) ke markazi kitta zameen se 120 miles janoob maghrib main waqaya greece santorini ko dekh kar aisa lagta hai ke ye haseen place dunya ka hisa nahin hai balkeh koi alag hi jagah hai. Yahan har cheez roshan tar hai.
Greece Unan Santorini photo
 Chamakdar safaidi main dhakay makanaat, Aankhon ko khaira kartay chandi jesay rait walay sahil aur puray jazeray ko ajeeb si haseen roshni main dabota howa suraj ka dhalta howa sunehri kirnon wala manzar. Tou yahan woh sub khuch hai jo haseen fitrat ke dildadah aur romantic environment ko pasand karnay walay tourists ko apne areas main nahin milta. Santorini ke north main sabzay se dhakay paharon ki unchi chotiyan aur in ke daman main beautiful hotels aur restaurants available hain jahan aap ka stay aap ki zindagi main anay walay lamhat kabhi bhula nahin payain gey.
logoblog

No comments:

Post a Comment