Ay Allah tera naam Allah hai jo tere siwa kisi aur ke liye nahin aur ye sirf tere liye hi hai kyoun keh tere siwa aur koi Allah nahin ho sakti. Tera naam hi Ism-e-Azam hai aur lafz Allah ka aik aik lafz kamil hai. Allah woh hai jisay roz-e-azal main har ruh ne mana ke tou hamara Allah hai. Aey Allah tou is liye Allah hai ke har koi tera talab hai aur tou us ka matloob hai aur koi yujhe kisi na kisi rang main apna mehbob banaye baitha hai. Ya Allah tou is liye bhi Allah hai ke har banday ki manzil tou hi hai. Hum tere hain aur tou hamara hai. Darmyan main khuch bhi nahin. Aay Allah tou is liye Allah hai keh tujhe yaad karnay se dil sakon ke samandar main doob jata hai aur aisa sakon pata hai jo tere siwa aur kahin se nahin mil sakta.
Ya Allahu Ke Benefits aur Fazilat:
Lafz ALLAH ka taweez
shifa-e-amraaz ke liye bohat mo'sar hai. Agar kisi shukhs ko kisi marz se shifa hasil na hoti ho tou us ke wirsa is Ism ko sawa lakh baar mil kar parhain aur water par dam kar ke pilayain usay Insha'Allah shafa kisi ka kisi zariye se mil jaye gi. Agar umar khatam honay par ho tou khatma bil imaan par ho ga. Bazurgon ne kaha hai ke agar aap ism Ya Allah ka naqsh dusron ko dena chahian tou pehle 40 din main 3125 martaba rozana parh lain is ke baad is ism ka naqsh dusron ko kar kisam ki bimari se shafa de ga. Allah ke khubsurat namon ke taweezat ko aap kisi bhi jaez kaam ke liye hi use kar saktay hain.

No comments:
Post a Comment