Ya Jabbar Meaning Ya Jabbaro Ka Amal Zikr Wird

  Admin      
Ya Jabbaru - Aey Jabroot wale
Allah Jabbar hai yani apni marzi se jo chahay kar de aur us ke samne koi dusra dum na maray aur har koi us ka hukam mannay par majbor ho kyoun keh qainaat ki koi cheez bhi us ke qabza qudrat aur ikhtyar se bahir nahin aur us ki bargah main har cheez mehkoom aur majbor hai is liye Allah ko Jabbar kaha jata hai kyoun keh har kisi ke liye us ki itba zaroori hai aur us ka hukam har aik par zabardasti se jari hai. Amleen ke nazdeek is Ism ke zariye Allah Ta'ala apni shan-e-jabar ya izhar karta hai. Ya Jabbaro jalali hai aur is ke adad 206 hain. Isay parhnay se tabiyat main jalal paida hota hai aur dusron par zabardast iqtidar paida hota hai. Mateht log us ki marzi ke khilaf koi qadam nahin utha saktay. Us ki itba karnay par majbor hotay hain.

Ya Jabbaru Ka Amal Ya Jabbaro:
Dushmanon Se Bachnay Ka Amal: 
Shitan Insan ka azli dushman hai is liye woh bughz, hasad, lalach aur burai ki bina par unhain aik dusre ka dushman bana deta hai. Baaz auqat mamuli se mamoli dushmani baray se baray nuqsanaat ka paish khaima banti hai. Aisay halaat main dushmanon ki burai aur intiqami karwaiyon se bachnay ke liye is Ism ka zirk wird bohat mufeed hai agar koi dushman ko zair karna chahay tou woh is ko chalis dinon main 1236 baar rozana parhay aur aisa karnay se Insha'Allah woh Allah ke pyare namon ki barkat ki wajah se tamaam dushmanon se mehfoz rahay ga aur isay parhnay se zalim se zalim tar bhi naram ho jata hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment