Kawa Aur Loomri urdu kahani for kids fox and crow

  Admin      
Aik dafa ka zikar hai aik kawa paneer ka tukra apne choonch main liye darakht par baitha tha. Udhar se aik loomri ka guzar howa jub lomri ne kaway ki choonch main paneer ka tukra dekha tou is ke munh main pani agaya. Us ne socha kaway se ye paneer kesay hasil kiya ja sakay. Ye soch kar loomri darakht ke neechay gayi aur kaway se salam dua kiya aur kehnay lagi. Miyan kaway aaj tum bohat bhalay lag rahay ho. Tumhare par kitne chamkeelay hain aur tumhari ankhain kitni roshan hainaur chamakdar hain. Mujhe yaqeen hai ke tumhari awaz bhi sub parindon se zayada khubsurat ho gi. Haan zara aik geet tou suna do. Kawa apni tareef sun kar bohat khush howa aur foran hi gardan utha kar kayain kayain karne laga. Lekin jesay hi kaway ne apni chonch kholi paneer ka tukra neechay gir gaya. Jis ko loomri foran hi chat kar gayi aur boli ay kalay kalotay kaway main tou sirf ye paneer hasil karna chahti thi ab tum ko aik nasihat karti hon ke ayenda chaapluson par hargiz bharosa na karna. Is se sabat howa ke khushamad buri bala hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment