Muslim Khawab Nama Khawab Ki Tabeer Seen Wale Dreams

  Admin      
Surah Fatiha Ka Parhna Khawab Main: Surah Al-Hamd dua qabool honay ki aur shad-o-masroor honay ki deen aur dunya main daleel hai ya aqad ki sabeel hai.
Surah Al Baqarah ka parhna ya sun'na khawab main: Tamaam umar rizq se asooda rahay.
Surah Al-Hashr parhna: Is ki tilawat karnay wale se baroz hashr Allah Ta'ala razi ho ga.
Surah Al-Kausar: Donon Jahanon main khair kaseer ho.
Surah Al-Lahab: Tauheed par qawi honay aur paak zindagi guzaarnay ki daleel hai.
Surah Alam Nashrah: Tamaam amoor asaan honay ki aur kashaesh honay ki aur Islam ki farmanbardari ki daleel hai.
Surah Feel: Deen Islam us ke hath par fatah ho.
Surah Al-Ikhlas: Zindagi main taraqi ho yahan tak ke us ke samne sub azeez ghar wale mar jayain. Aur sahib khawab tanha reh jaye mohid ho.
Surah Falaq ka parhna: Jumla balaon se mehfoz rehnay ki daleel hai.
Suraj Dekhna Khawab Main: Agar aqad nahin howa hai aqad aurat zardar se ho aur rizq rozi main afzoni ki nishani hai.

Suraj Par Andhera Dekhna: Marz ya kisi musibat main mubtala ho.
Suraj Ki Roshni Dekhna: Taraqi rizq aur rutba bulandi ho.
Suraj Grehan Dekhna: Maa Baap ke marnay ki daleel hai.
Sitaron Ko Roshan Dekhna: Khana abadi ho ya hakam waqt se khaas fayeda pohanchay.
Sitaron Ko Toottay Dekhna: Shahadat ka darja naseeb ho ya ghani maaldar ho.
Saag Dekhna: Fitna aur fasaad barpa honay ki daleel hai.
Safaid Libas Pehenna: Ghani maldar ho ya jannati ho.
Sonay Ki Anguthi Pehenna: Maal muft hath aye.
Sona Patay Dekhna: Sardari milay tangi door ho jaye, maal se malamaal ho jaye.
Sona Galana: Acha nahin hai, behtar nahin hai.
Sui Main Dhaga Dalna: Tangi muash ho.
Sar Apna Juda Dekhna: Hakim ke ataab main mubtala ho aur apne aqarab se juda ho.
Sar Apne Hath Main Mundtay Dekhna: Khalq ki nazron se giray aur beizzati ho.
Sar Ke Baal Khulay Dekhna: Agar musafir hai tou watan ko aye, aurat agar kanwari hai tou shadi ho.
Sarson Dekhna: Tijarat main fayeda, nafa bohat ho.
Sar Dekhna (head): Naqsan ki daleel hai.
Saanp Goud Main Laina: (to see snake in dream): Larka shareer paida ho jis se hamesha takleef ka samna ho.
Saanp Se Baat Khush Sunna: Dushman se nafa ho aur ranj-o-ghum door ho.
Soor Dekhna: Nokri, naukri kafar, kafir ki karay, fasq-o-fajoor main mubtala ho.
Saanp Ka Gosht Khana: Dushman se maal milay lekin beja sarf ho jaye.
Sar Nanga Dekhna: Nuqsan maal hai.
Surma Lagana: Masdah ghaibi ki basharat hai ya maal paney ki nishani hey.
Saanp Ka Bacha Dekhna: Zarar hai lekin kam zarar honay ki daleel hai aur kunba se dushmani barhney ki daleel hai.
Sitara Dekhna Sitaron Ka: Farzand ho.
Sar buland apna dekhna: sar auncha dekhay tou martaba, daulat milay aur agar sar chuka howa yani sar chota dekhna is ke baraks hai.
Sar Ke Baal Tarashay Dekhna: Agar faqeer hai tou farqeeri ghurbat door ho jaye.
Sar Ke Baal Apni Aurat Ko Mondna: Aulad na hone ki daleel hai.
Sirhi dekhna ya us par khawa zeenah par charhna: Taraqi deen aur Islam ho.
Sar Ke Baal Jhartay Dekhna: Khushi hasil ho aur qarz ada ho.
Sabza Dekhna: Agar woh namaloom jagah hai ya aisi jagah uga hai jahan jamnay ki adat nahin hai jesay rehnay ka ghar ya masjid wagera tou mard khawa bator masharkat wagera ke ya batareeq damadi ke dakhil hone ki nishani hai.
Sair Aur Tafreeh Karna Bagh Ya Phalwari Main Dekhna: Haq Ta'ala ki taraf se hadayat Islam main taraqi ho.
Sui Dekhna: Kisi mufsad fitna angeez ki taraf se badi ho.
Saanp Dekhna: Saanp ka dekhna dushman se daleel hai, chunanchay jis qadar sanp qawi ho ga dushman bhi wesa hi qawi ho ga aur jo saanp ko farmabardar dekhay tou daulat kamaye. ( baqiya saanp ki tabeer radeef meem main dekhain)
Saanp ko Apne uper girtay dekhna: Hakam ya badshah se takleef pohanchay.
Sanpon ko apne ird gird jama dekhna: Agar un se koi nuqsan pohanchnay ka andesha nahin hai tou sardari milay.
Sona Dekhna jabaja para howa: to see gold in dream: Afat aur halaki ho.
Sirka Dekha: Maal main khair aur barkat ho.
logoblog

1 comment:

  1. Agr neend ma ap ya dakho ka ankhan bnd kr ka ap suraj ki garmi ko mahsos kr ra ho r usa sakon mil ra ha acha lg ra ha pir ap apni ami ka pas aka let jata ho r kahta ho ka neend ari ha sakon mila iska mtlb kya ha r kwb ma meri behoshi ki kafiyat ti

    ReplyDelete