Sacha Khawab Nama Paighambri, Ibn Sereen, Khawab Ki Tabeer

  Admin      
Hazrat Adam (a.s.)
Agar koi shukhs Hazrat Adam A.S Ko Khawab main dekhay tou bazurgi aur wlayat paye.
Hazrat Hawa (a.s.)
Hazrat Hawa (a.s) ko khawab main dekhe tou daulat aur iqbal paye. Ayesh aur khushi aurwafar nemat aur daraz umar paye.
Prophet Hazrat Idris (a.s.)
ko dekhay tou us ka kaam naik ho aqbat mehmood ho.
Hazrat Hood (a.s.)
ko dekhay tou Dushman us par afsos karay aur akhir kar fatah paye.
Hazrat Loot (a.s)
Kaam darust ho aur dil ki murad paye.
Hazrat Saleh (a.s)
Jagah ba jagah taweel karay aur us par khair ka darwaza khola jaye.
Hazrat Ibrahim (a.s)
Hajj Islam karay baaz tabeer bayan karnay walay kehtay hain ke badshah zalim us par zulam kare aur woh shukhs maan baap ke sath badkhoi se paish aye ga.
Hazrat Ismail (a.s)
Basharat fatah aur ghanimat ki paye.
Hazrat Yaqoob (A.S)
Farzandon ka ghum uthaye aur akhir kaar ghum khushi main badal jaye.
Hazrat Yousaf (A.S.)
Log us ke uper bohtaan lagayain aur anjam kaar bazurgi paye.
Hazrat Shoaib (A.S)
Dushman us par ghalba paye phir woh khud us ke uper fatah paye.
Hazrat Musa (A.S)
Ahl-o-ayal main giraftar ho aur phir khushhal ho jaye aur dushman par fatah paye.
Hazrat Daud (A.S)
Bazurgi, badshahi, naimat, maal, izzat barhay.
Hazrat Zakariya (A.S)
Taufeeq ta'at ki daleel hai.
Hazrat Yahya (A.S)
Sahib khawab ko Allah Ta'ala karay khair ki taufeeq ata kare ga.
Hazrat Khizar (A.S)
Darazi safar, aman rizq aur darazi umar ho.
Hazrat Younus (A.S)
Ghamon se nijat paye aur tareeki se Insha'Allah roshni main aye.
Hazrat Ayub (A.S)
Na umeedi umeed main badal jaye aur taufeeq ta'at-o-khairat ho.
Hazrat Muhammad (PBUH)
Agar koi shukhs Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ko khawab main dekhay tou sub ghamon se rahat paye. Qarz se surkharu ho, qaidi ho tou nijat paye, dehshat ho tou aman pay, qeht-o-tangi door ho, baaz kehtay hain ke agar maldar ho tou darwesh ho jaye ga.
Khawab main Paighambar ki ziarat is wajah par hai.
  • Rehmat
  • Naimat
  • Izzat 
  • Bazurgi
  • Zafar
  • Saadat
  • Jamiat
  • Quwwat
  • Dono jahanon ki khair aur logon ki behtari hai jis jagah ye khawab dekha gaya hai.
Khulfa-e-Rashideen Ko Khawab Main Dekhna 
Hazrat Abu Bakr Siddique (Radhi Allahu Anhu)
Awwal Khalifa Hazrat Ameer al-Momineen Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) hain aur agar Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ko khawab main dekhay tou tabeer ye hai ke khushi aur karamat ho. Agar aap ko koi kisi shehar main zinda dekhay tou ye is amar ki daleel hai ke mulk aur shehar ke log bakasrat zakat aur sadqa detay hain aur ye amar tab hai ke jub aap ko kushada aur khush dekhain.
Dusre Khalifa Hazrat Umar bin khattab (R.A)
Agar koi aap ko khawab main dekhe tou woh insan adil aur munsib hai.
Hazrat Usman Bin Affan (R.A)
Imam ibn-e-sereen ne farmaya hai ke agar koi shukhs aap ko khawab main khush tabiyat dekhay tou us shehar ke log Quran majeed aur ilm seekhnay main raghbat karain gey.
Hazrat Ali-al-Murtaza (ra)
Agar koi aap ko khush tabiyat aur hanstay howe dekhay tou is amar ki daleel hai ke woh karamat aur shujaat aur sardari paye ga. Jis shehar main dekhay ga woh shehar adal aur insaf se mutsil ho ga.
Hazrat Imam Hassan (r.a) aur Hazrat Imam Hussain (RA) ko khawab main dekhna:
Khawab ki tabeer ye hai ke khair aur rahat paye ga aur akhar kar shaheed ka darja paye ga.
logoblog

No comments:

Post a Comment