Waqt Ki Pabandi Mazmoon Urdu Essay

  Admin      
Pabandi waqt ke muraad har kaam us ke muqarrah waqt peh karna aur baqaedgi se karna nai. Waqt ki pabandi insan ki zindagi main bohat ahmiyat rakhti hai. Aaj wohi qoomain taraqi ke intiha par hain jinhon ne waqt ki qadr. Waqt ki qadar na karnay wali qomain nakam aur namuraad rehti hain. Jo log waqt ki ahmiyat se waqif hain woh apni zindagi ka aik lamha bhi zaya nahin honay detay aur aaj ka kaam kal par nahin chortay.
Agar hum apne ird gird nazar dorayain tou maloom ho ga ye sari ki sari kainaat pabandi waqt ki zanjeer main jakri hoi hai. Din raat ka apne waqt par namudar hona chand aur suraj ka apne waqt par talu aur gharoob hona muqarar hai. Mausamon ka tasalsal isitarah faslon wagera ka pakna sub ke muqarrah auqat hain. Fitrat ke in tamam anasar main kabhi koi beqaedgi nahin hoi. Ye sara nazam qainaat hamain waqy ki pabandi ka hi dars deta hai.
Jo insan bachpan se hi pabandi waqt ke sunehri asoolon ko apnata hai woh zindagi ke har maidan main kamyab hota hai. Agar aik talib ilm pabandi waqt ki qadar karta hai, subah waqt par uthta hai, parhai mehnat aur dil laga kar karta hai, waqt par khailta hai, waqt par sota hai tou is main koi shaq nahin keh woh anay wale waqt main dusron ke liye misal banay. Us ki sehat bhi achi rahay gi aur talib ilm taleem main bhi taraqi karay ga.
Pabandi waqt zindagi ke har shobay main bohat aham hain agar kasam waqt par beej na dalay aur pani na de tou woh us se khuch hasil na kar sakay ga. Musafir muqarrah waqt ka khayal na karay tou woh manzil maqsod par na pohanch sakay ga. Mulazim muqarrah waqt par apne daftar main hazir na ho ga tou us ke nateejay main usay naukri se hath dhona paray ga. Agar yehi afraad waqt ki pabandi ko malhoz khatir rakhain tou unhain kisi qisam ki sharmindgi na uthani paray aur na hi kisi qisam ki dikat ka samna karna paray.
Islam ke tamam arkan bhi hamain pabandi waqt ka dars detay hain. Panchon waqt ke auqat muqarar hain. Isi tarah Ramzan ul mubarak ke rozon ki iftari aur sehri ke auqat bhi muqarar hain aur hajj bhi muqarrah waqt par hi hota hai. Goya waqt ki pabandi Allah Ta'ala ko bhi pasand hai.
Dar haqeeqat ye taraqi ka zeena aur kamyabi ka raaz hai. Ye aik anmol khazana hai. Khoi hoi daulat ka hasol mumkil hai magar waqt aik aisi daulat hai jo guzar jaye tou kisi bhi qeemat pe bhi wapas nahin asakta. Jesay munh se nikli hoi baat, kamaan se nikla howa teer, hawa ka guzra howa jhonka wapas nahin asakta. Isi tarah wapas nahin asakta. Isi tarah guzra howa waqt bhi wapas nahin asakta.
Maghrabi aqwaam aaj zindagi ke har maidan main paish paish hain. Kyoun keh har fard waqt ka paband hai. Woh apni zindagi ka aik lamha bhi fazol zaya nahin kartay. Waqt ki qadr-o-qeemat jaan kar hi is muqam par pohanchay hain lekin jin qaumon ne waqt ki qadar na ki wo zawal ka shikar ho gayien. Mashor fateh napoleon maidan jang main sirf chand minute takheer se pohancha jis ka nateeja us ko shikast ki surat main hasil howa aur isi chand minute ki takheer ki saza tamam umar bhugatni pari. Agar hamain kamyabi hasil karni hai tou hamain waqt ki pabandi ko apna sha'ar banana ho ga kyoun keh waqt teezi se guzar jata hai aur thehr kar kisi ka intzar nahin karta.
logoblog

No comments:

Post a Comment