Wonderful Overhead Pedestrian Bridges In World wallpapers

  Admin      
Jub se kainaat wajood main hai tab se lay kar aaj tak science ne jitni taraqi pichlay 60 salon main ki hai itni taraqi pichle hazaron salon main nahin ho saki, aur jesay jesay waqt guzarta jaye ga ye taraqi ki raftar ab din ba din bharti hi chali jaye gi. Modern zamanay main jadeed tarah ki buildings, roads, underpass, parks, houses, motorways, aur bridges jesay mehnge projects aaj is jadeed door ki maizbani kar rahay hain aisay hi khuch khubsurat overhead aur pederstian brides sari ki aik amazing collection aap ke liye yahan mojood hai.
Ye hain Sari dunya se chand beautiful overhead pedestrian bridges pictures:

 Ye hai River Legacy Park Trinity River Ka bridge, is place ko America main aik picnic point ki si hasiyat hasil hai log yahan holidays guzarnay ke liye subah ke waqt atay hain aur shaam ke waqt is jagah se chalay jatay hain. USA ki rayasat texas ka ye muqaam is liye bhi zayada pasand kiya jata hai ke yahan dusri states ki manisbat garma bihat zayada hoti hai.
Texas pedestrian bridge image
pedestrian bridge omaha NE
Singapore bridge
05 pedestrian bridges in singapore
Singapore ke infrastructure par nazar dali jaye tou hamain pata chalta hai ke is mulk ne kitni tezi se apne shehron ki roads ke sath sath villages main bhi shehri mayaar ki sarkon ka jaal bichana shuru kar raha hai. Yahan beautiful buildings tou banayi hi gayi hain balkeh parks wagera bhi is mulk main zindagi ha acha ehsas dilatay hain jahan qudarti jheelon ke ird gird rang barangi bailain aur plants laga kar mahol dosti ka sabot diya gaya hai.
Switzerland bhi in mumalik main shumar hota hai jahan dunya ke door daraz ke aresa se log tourism ke liye travel karnay ke shooqeen hain aur is country main bhi khubsurat bridges banay howe hain.
overhead bridge design
Pichle 5 salon main jitne overhead bridges aur underpasses aur roads jitnay Pakistan main banay hain khaas toor par punjab main itnay Pakistan ki sari tareekh main kabhi nahin banay hain aur ye baat khush ayend hai ke awaam ki bhalayi ke liye bhi ab kaam kiya ja raha hai.
pedestrian bridge in pakistan
France aur Australia bhi aisay mulk hain jahan intihai behtareen styles main pedestrain bridges banaye gaye hain aur un main colourful flowers ka istimaal bhi kiya gaya hai jis se fizaon main phoolon ki khushbu ke sath sath manzar main haseen phoolon ka nazara ird gird ke alaqon ko bhi khubsurat bana raha hai,
 pedestrian bridge india chennai
 Kintai Bridge Japan
Kintaikyo, Iwakuni, Japan bridge pics
 Yodogawa river bhi Japan ke mulk main beh raha hai, is darya ke ird gird jungle hai aur is darya ke uper banay howe pul ne is jagah ki haryali ko aur haseen bana diya hai.
Yodogawa River Bridge
Kiyosu Bridge in Asia Japan
Aaj se 90 saal pehle banaya gaya ye pul lohay se banaya gaya tha jo ke aaj tak qreeban 100 saal guzarnay ke bawajood bhi jadeed lagta hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment