Benefits Ya Jamiu Wazifa Meaning Ya Jamiu Fazilat Amal Taweez

  Admin      
Ya Jamiu meaning - Ay Jama Karne Wale

Allah ki aik sifat ye hai ke Allah har cheez ko jama karne wala hai Ya Jamiu jalali hai aur is ke adaad 114 hain. Ya Jamiu ki fazeelat ye hai keh isay parhne wale ke paas Allah Ta'ala un cheezon ko jama kar ke wapas lay ata hai jo us se juda ho gayi hon. Amleen ka is ke mutaliq ye nazariya hai ke Ya Jamiu ka wird karne wala naik amaal ko jama karne wala ban jata hai jis ki bina par ba waqar aur sahib-e-taskeen ho jatay hain.
 picture Ya Jamiu wallpaper
Ya Jamiu ke benefits ye hain:

Muntashir Ahl-o-Ayaal Ka Jama Hona:

Baaz auqat youn hota hai ke koi shukhs kisi wajah se apne ahl-o-ayaal se juda ho jata hai. Ya khandan, azeez o aqarab juda ho gaye hon tou us shakhs ko chahiye keh subah ke waqt masjid main baith kar Ya Jamiu ko 1100 martaba parhe aur 7 din tak is amal ko jari rakhe. Insha'Allah woh afrad jin se woh juda hai us ke paas Allah unhain jama kar de ga. Agar woh khud ahl-o-ayal se juda hai tou woh un ke paas pohanch jaye ga.

Naraz Biwi Ko Wapas Lanay Ka Amal:

Agar kisi ki aulad naraz ho kar ghar se chali gayi ho ya koi acha mulazim naraz ho kar mulazmat chorr gaya magar us ka mulazmat main rakhna behtar ho tou is surat main is wazifa ko saat din tak rozana 1140 baar parhain. Aulad ya mulazim khud ba khud wapas ajaye ga.

Kisi Ke Qabze Se Jayedad (Property) Wapas Lenay Ka Wazifa:

Agar kisi ki jaedad par kisi dusre ne qabza kar liya ho ya kisi karayadar se najaez toor par makan ya dukan ko apne qabza main lay rakha ho aur khali na karta ho tou is surat main us ke qabzay se apni cheez wapas lanay ke liye Ya Jamiu ko 40 din tak rozana 3125 martaba baad namaz-e-isha parhain.

Gum Shuda Cheez Ko Hasil Karna:

Agar kisi shakhs ki koi cheez gum ho gayi ho tou usay chahiye keh 3000 baar ye Ism parhe aur us ke baad 21 martaba ye dua parhe aur ye amal 21 din tak jari rakhe. Agar woh cheez na mili tou phir us ka behtar surat main naimal badal mil jaye ga. Dua ye hai.
taweez Ya Jamiu Ka Amal aur Naqsh:

Isha ki namaz k baad 40 din tak alehda jagah par baith kar 6250 martaba Ya Jamiu parhain. Is tarah 40 din tak parhne se aap Ya Jamiu ka amil ban jayain gey aur phir is naqsh ko aap jaez kamon main sitemal kar saktay hain jis se kisi ka nuqsan na ho.
logoblog

No comments:

Post a Comment