Fazilat Ya Barru Benefits Ya Barro Wazifa Al-Barr Allah Name Meaning Taweez

  Admin      
Ya Barru meaning : Aay Naiki Wale

Allah Ta'ala bazat-e-khud sarasar naiki wala hai us ki zaat, sifat, afaal aur ikhtiyaraat se hikmat aur naiki ayan hoti hai. Is liye usay Barr kaha jata hai is ke elawa Allah Ta'la apni makhlooq par har qisam ki naiki karta hai aur apne bandon ko naikiyan karne ki taufeeq ata farmata hai kyoun keh koi naik amal is ki ata karda taufeeq ke baghair sar anjam nahin paa sakta. Is lihaz se bhi woh Barr hai jin bandon ko Allah apni is sifat ki bina par naiki ka mazhar banata hai.  Al-Barr jalali hai aur is ke adaad 202 hain, is Ism ki sub se bari khasiat ye hai keh jo shakhs usay is Ism se pukarta hai Allah usay zindagi ke har shobay main naik amaal karne ki taufeeq ata farma deta hai.

 Ya Barru Wallpaper Ya Barro Picture

Ya Barru ke benefits hasb-e-zail hain.

Naimaton Ki Barish:

Jo insan "Ya Barru ka kasrat se zikar karta hai. Allah us par apni naimaton ki barish kar deta hai. Us ki zindagi main farhat paida kar deta hai. Us ki tabiyat main naiki kot kot kar bhar deta hai. Woh har aik se acha salook karta hai. Aik Allah ke bande ka qol hai ke jo Ya Barro ka wird kasrat se karne ke baad jo dua mange woh qabool ho gi.

Safar Se Ba Hifazat Aana:


Jo shakhs kisi safar par jaye aur safar ke aghaz main is Ism ko 100 baar parhe agar ho sakay tou safar ke doran bhi usay kasrat se parhe. Insha'Allah woh safar ki har qisam ki musibaton se bilkul mehfooz rahe gi. Aur apni manzil par bahifazat pohanchay ga aur aman se wapas aye ga aur safar main asani bhi paida ho jati hai. Jahaz ya kashti kisi taufan main phans jaye tou sawariyon ko chahiye keh Ya Barru ka wird karain, Insha'Allah kashti ya jahaz gharq hone se bach jaye ga.

Buri Aadaton Ka ilaj:


Jo insan buri adaton main phans gaya ho, sharab, juwa aur badkari jesi buri adaton main mulawas ho gaya ho, aisay shakhs ke liye 1100 martaba Ya Barro ko parh kar pani dam karain khuch pani usay pilayain aur khuch us ke kapron par chirakain. Chalis din ye amal karain us ki har buri adat khatam ho jaye gi.

Afaton Se Bachne Ka Amal:


Jo aafaton se darta ho, Agarwoh is Ism ko parhta rahe tou aman main rahe ga. Jo shakhs 7 martaba parh ke bachay par dam kar ke Allah ke spurd kar de tou woh bacha baloghat tak aman main rahe ga aur jo shakhs sharab aur zana main mubtala ho woh har rooz 7 martaba parh kar apne aupar dam kare tou shitani kamon se aman main rahe ga.

Nazar Bad Se Hifazat Ka Wazifa:


Agar kisi bande ya bachay ko nazar lag jati ho tou 111 baar Ya Barru parh kar pani dam kar ke pilayain aur Ya Barru Ka Taweez us ke galay main daal dain. Insha'Allah bachay ko kabhi nazar nahin lage gi aur woh hamesha Allah ki panah main rahe ga. Is ke elawa agar kisi cheez par bhi dam kar ke dain tou usay nazar nahin lagay gi.

Ya Barru Ka Amal Aur Naqsh:

Jo shakhs Ya Barro ka amil banna chahay tou usay chahiye keh is Ism ko chalis din tak tanhai main baith kar rozana 3125 martaba parhe. Wird mukamal hone par woh Ya Barru ka amil ban jaye ga.
logoblog

No comments:

Post a Comment