Fazilat Ya Baseeru Benefits Wazifa Ya Basiru Meaning Ya Baseer Taweez

  Admin      
Allah Ta'ala Baseer hai aur woh apne is sifat ki bina par har shay ko hat waqt dekh raha hai khawa woh door hai ya nazdeek, chooti hai ya bari yani is kainaat ki koi cheez aisi nahin jo us ki quwat-e-baseer ke daire se bahir hi. Insanon ki quwat e basarat Allah ki ata karda hai aur aankhaon ki mohtaj hai aur jub ankhain fana hoti hain tou ye quwat bhi khatam ho jati hai. Allah ki basarat kisi zariye ki mohtaj nahin balkeh us ki zaat ke sath hamesha se hai aur hamesha rahe gi aur us ki basarat ki had la mehdood hai is bina par agar koi seenkron char deewariyon ke andar bhi chup kar amal karne ki koshish karta hai tou woh phir bhi Allah Ta'ala ki sifat basarat ke daire se bahir nahin. Allah usay wahan bhi dekh raha hai kyoun keh woh aisa Baseer hai keh kon-o-makan ki koi cheez us se posheedah nahin. Ya Baseeru jamali hai aur is ke adad 302 hain. Is ke faide hasb-e-zail hain.


Sahib-e-Basirat Banne Ka Amal:

Ya Baseeru ka wird sahib-e-baseerat banne ke liye bohat mujarab hai jo shaks is Ism ko rozana 302 martaba parhne ka mamol bana le tou Allah usay zahiri aur batini baseerat ata farmaye ga. Jis ki bina par us main amar bil maroof ki salahiyat paida ho gi. Khilaf-e-shara kamon ko nafrat se dekhe ga. Naik amaal ko khud kar ke aur dusron ko karte howe dekh kar khush ho ga.

wazifa Nagahani Afat Se Mehfoz Rehna:


Jo shakhs Ya Baseeru ko rozana asar ki namaz ke baad 33 martaba hamesha parhta rahe. Allah us par apni rehmat ki nazar rakhe ga. Aur woh har tarah ki afaton se mehfooz rahe ga.
Aik amil ka qol hai ke jo insan 7 baar hamesha asar ke baad is naam ko parhta rahe ga Insha'Allah sari umar afat se naghani afat se bach jaye ga.

Mukashafat Se Musharaf Hona:


Is name ko kasrat se parhna qarb-e-Elahi ka baes banta hai. Lihaza jo shakhs Ya Baseeru ko fajar ki sunnaton ke baad magar farzon se pehle 100 martaba daily parhe tou us par Allah ki anayaat aur mukashafaat zahir hon gey aur Allah ke poshesda raaz us ki ruh ki nazar ke samne khul jayain gey is ke elawa deen aur dunya ki muradain puri hon gi.

Safed Motia Se Bachna:


Jo shakhs ankhon main safaid motiya utarne se bachna chahe tou usay chahiye keh is Ism ko rozana 1100 baar sotay waqt parhne ka mamol bana lay. Insha'Allah motiye ki bimari se hifazat main rahe ga. Agar sufaid motia ankhon mein mojod ho tou operation karwane se pehle is Ism ko kasrat se parhta rahe Insha'Allah operation kamyab ho ga aur us ki eyes ka noor zaya nahin ho ga.

Aankhon Ki Binai Qaim Rehna:


Is Ism ki sub se bari khasusiat ye hai ke isay parhne wala ankhon ki binai se mehroom nahin hota. Balkeh us ki benai marte dam tak qaim rahe gi. Beenayi Allah Ta'ala ki bohat bari naimaton main se hai is liye isay qaim rakhne ke liye is Ism ko rozana aik sau baar parhte rahain.

Amal Ya Baseeru Taweez:

Ya Baseeru ko 40 din tak daily 3125 bar parh ke 7 baar shuru aur khatam karnay par Durood parh lain. Ye amal complete karne ke baad aap Ya Baseeru ke amil ban jayain gey. Phir aap Ya Baseeru ka naqsh jisay chahain de sakte hain in maqasid ke liye.
logoblog

1 comment:

  1. Assalamualaikum,

    Naqsh ko kaise istemaal karna hai,,,or isse kya faide hai. Batni ankh roshan karne ke liye ye naqsh ko kaise istemaal karna hai pls bataiye. Shukriya.

    ReplyDelete