Pathar Zabarjad Stone Beryl stone Benefits urdu Beryl effects properties

  Admin      
Zabarjad pathar ko english language main Beryl name se jana jata hai. Arastu philosopher likhta hai ke zamurd aur zabarjad aik hi kaan se nikaltay hain ye us waqt paida hota hai jabkeh shams aur qamar aur zohal star aik hi burj main hon.

Types of Beryl Stone In Urdu:

Ye green aur blue colors main hotay hain. Green colour ka nagina nihayat umdah samjha jata hai. Zabarjad ke degar names Paari Bhadar, Paari, Amrina, Aquamarine stone hain. Is jawahir ki iqsam ye hain.

1: Zabarjad Misri: Ye red colours ke hotay haion.
2: Zabarjad Kabrasi: Ye zardi mael green color ke hotay hain.
3: Zabarjad Hindi: Ye yellow aur red colors main available hotay hain.

Aam toor par zabarjad aur zamurd dono tanbay ki kaan se nikale jate hain.

Angreez is ki 2 kismain batatay hain.
(i): Beryl yani Zabarjad
(ii): Aquamarine jisay sanskrit mein Paari Bhadar kehte hain. In dono mein difference ye hota hai ke Beryl ka rang peela aur Paari Bhadar ka sabz neelgon hota hai.

Asrat, Khasusiyat: Effects:

Ye masana ke  liye mufeed hai.
Is ka manjan danton ko mehfoz aur chamakdar banata hai.
Is ka surma ankhon ke liye bohat acha hai.
Ye halke neele aur sabz rangat main zayada behtar hai.
Ye masaib aur mushkilat se mehfoz rakhta hai.
Zabarjad ke samne agar koi snake yani saanp ajaye tou woh basarat se mehroom ho jata hai.
Is ka locket neck main dalne se quwwat bharti hai.
Is ki mojodgi mein damaghi uljhanain door ho jati hain.
Ye Scotland, Pakistan, Misar, America aur Brazil mein paya jata hai.

Information about Beryl stone History Of Zabarjad:

Is pathar ki different philosophers  ulma-e-deen, akabreen aur experts ne bohat tareef ki hai ye aik motbar aur mutbarak pathar mana jata hai jis ki apni aik tareekh hai. Shahenshah Humayun ne apni taweel jalawatni zabarjad ring use ki thi. Famous tourist Ibn-e-Batuta bhi apne travel ke doran hamesha beryl ring pehna karta tha us us ne apne safarnama mein zabarjad gemstone ka khasuri tazkara kiya hai. Kyoun keh during travel ye bohat helpful sabat hota hai. Aik rawayat hai ke jannat ke mehal, makan isi gemstone beryl ke bane howe hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment