Ziarat Balochistan Travel - Ziarat Ka Safar

  Admin      
Karachi ki purani sabzi mandi ke stop par Quetta janay wali gariyan sayahon ki muntazir rehti hain jo sirf 10 se 12 hours ki musafat ke baad quetta shehar main dakhil ho jati hain, apne kisi zaroori kaam ya jal pohanchne ki khatar ye safar behtar hai magar ghoomne phirne wale train ko tarjeh detay hain. Pakistan railway ki karkardgi kisi se dhaki chupi nahin hai is liye aam toor par musafir zehni aur jismani toor par tayar ho kar atay hain. Un ke saman main 2 se 4 din ka rashan bhi hota hai. Kya pata train kitni lait ho, Karachi ki gehma gehmi se nikal kar kotri ke bridge se guzarne ke baad hyderabad se khana mil jata hai. November ki sard shamain hon tou rail ke safar main aik garam chadar zaroor rakhna chahiye.
Rohri sukkur stop par hamesha ronaq lagi rehti hai. mulk bhar ke musafir aik dusre se miltay hain. Thande pakore aur jali mashrubaat baichne wale khoob munafa kamatay hain. Sukkur aur Jacobabad ki raat se guzar kar rail jub kolhapur ke yakh basta station pohanchti hai tou fajar ki azan hone lagti hai. Ye aik haseeb subah ka aghaaz hai. Tourist jub train ki window se bahir jhanka hai tou suraj ki naram naram kirnain ahishta ahishta zameen par utarne lagti hain. Bogi main soye howe log jacket, garam chadar aur kambal main lipte dikhaye detay hain aur un ke darmiyan koi chaye wala guzarta dikhayi deta hai. Chaye pee kar thori dair bahir bhi nikla ja sakta hai yahan 2 engine dikhaye lagte hain, gari hamesha ki tarah late ho jati hai. Village ke masool aur surkh-o-safaid bachay phal farokht karne ke liye aan pohanchte hain.
 Apple Trees Of Ziarat


Ziarat ka safar hartay howe mukhtalif log dikhayi detay hain. Kachla se agey apples ke gardens ka silsila shuru ho jata hai. Hawa main khushbu si ghul jati hai. Phir sanober ki jadoo nagri shuru hoti hai. Yahan khushbudar jungle ke sath sath teez hawayain bhi istaqbal karti hain. Yahan choti choti pahariyan hai par in ke paas darya hain na gehri khaiyan, lihaza raste ki khatarnaki mehsoos nahin hoti. Yahan khuch fasle par aik dam bana howa hai jo winter main snow se dhak jata hai faran tangi dam kehtay hain. Is dam se pipes ke zariye water ko abadiyon tak pohanchaya jata hai. November se february tak yahan mausam bohat sard hota hai is liye logon ki kami ke baes yahan hotel ke rooms ke rent bohat neechay ajatay hain.

Yahan Murree ki tarah ki jadeediat ke saye hain na fashion parade hoti hai, maal road ki tarah yahan tikkon, charghon, coffee, icecream ke stall bhi nahin hain magar sadgi main bhi aik ajeeb husn hai.

"Kya wajah hai ke Murree ki tarah Ziarat woh shohrat hasil na kar saka jabkeh ye bhi Pakistan ka aik haseen tareen gosha hai?"

Mere is sawal ka jawab dete howe Quetta ke aik businessman ne kaha.

"Bhai sahab! ye aik pasmanda elaqa hai yahan tak pohanchne ke liye bari mushkilat hain. Pehle kisi zamane main tou ye ziarat karachi walon ka pasandeedah tareen muqaam tha aur chuttiyon main tou yahan bohat rush hoya hai magar subay ke halaat ne sub ko tashweesh main daal diya hai, Sub preshan hain. Murree tou aap shehar shehar ghoomtay pohanch jatay hain aur darul hakumat se aik ghantay ke faslay par hai magar ziarat aik kabaili alaqa hai yahan log parhe likhe nahin hain, zayadatar zameendari ka kaam kartay hain.
Ziarat ki wajah tasmiya Kharwari Baba ka mazaar hai jo sanober ke junglaat main chupa rehta hai. Ziarat ka naam suntay hi Quaid-e-Azam ki akhri qayam gah dekhne ki khawahish ubharti hai. Ye emarat 1892 main tameer ki gayi thi.

 Ziarat Valley
 Ziarat Balochistan Picture


Ziarat shafaf chashmon ke baes behad dilchasp hai, subah ki thandi hawain gungunanay lagti hain, garam chadron main lipte muqami afrad qehwe ki payali uthaye sayahon ko dekh kar muskurane lagte hain. Yahan log zayada tar baghat ka kaam bhi karte hain, sara elaqa sanober se ghira howa hai. Baraf bari khatam hote hi yahan khushbuwain phutnain lagti hain. Dunya ka dusra bara sanober ka jungle inhi alaqon main hai. In ko dunya main sub se sust barhne wala darakht qarar diya gaya hai. February tak yahan sakht sardi parti hai, barf har cheez ko chupa laiti hai. Ziarat se sirf adhay ghantay ki musafat par Zizri village ki sair ki ja sakti hai. Yahan phool aur phalon ki mahek fizaon main rachi rehti hai. Gungunatay jharnay ain raste main qadam rok laitay hain. Garam maidani alaqon se anay wale tourists unhain dekh kar khushi se jhoom uthtay hain. Isi gaon main khalifat ki pahari sar uthaye khari hai. 
Us taraf janay ke liye zara paidal chalna parta hai. Aaj yahan November ka mahena hai ab baraf girnay main 2 - 4 haftay baqi hain. December ke start main yahan ye pahari jis par khara main ye haseen paharon ka nazaron kar raha hon ye bhi bark se dhak jayain gey aur ye sare sanober ke darakht baraf ke bojh se mazeed jhuk jayain gey. Ye gehre doston ki tarah aik dusre ka hath thamay sadyon se khare hain. Koi taufan, koi zalzala inhain apni jagah se nahin hila saka.
logoblog

No comments:

Post a Comment