Gulistan Sadi
- Is chapter mein shamil nisaab hikayat ka matan is tarah se diya gaya hai ke woh numayan rahe aur isay ba'asani parha ja sake.
- Jo hikayat taweel hain, unhain imtihani taqazon ko zehan mein rakhte howe ajza mein taqseem gaya hai.
- Imtihani taqazon ko malhoz rakhte howe tarjumay ko sirf salees tarjuma tak mehdood rakha gaya hai aur kahin kahin hikayat ka tasheehi tarjuma alag se aur yakja de diya gaya hai.
Marks Distribution
Gulistan Sadi ki shamil nisaab hikayat se 2 iqtebasaat ka salees urdu tarjuma - 45 Marks
Payam-e-Mashriq ki shamil nisab nazmon se 2 iqtebasaat ka urdu mein tarjuma aur tashreeh - 45 Marks
Shaikh Saadi Shirazia / Allama Muhammad Iqbal Ya Gulistan / Payam-e-Mashriq par adbi aur tanqeedi muqalma - 10 Marks
Harf-e-Taqdeem
Zair-e-nazar auraaq B.A Farsi Optional ke students ki nisabi imtihani zarooraton ke paish-e-nazar aur is ehsaas ke teht kiye gaye hain ke B.A Persian Optional ke mukamal mayari mbahis aisi surat mein muyasar aa sakain keh har zehni satah ka talib ilm in se ba asani istifadah kar sake. Is liye in posts mein Punjab University B.A Persian optional course aap ke liye available hai.
Payam-e-Mashriq
Is chapter mein har nazam ka matan is tarah se diya gaya hai ke woh numayan rahe asani se parha ja sake.
Jo nazmain lambi hain unhain imtihan mein achay numberon ko dekhte howe likha gaya hai.
Sadi, Iqbal
Is chapter ke pehle hisay mein Shaikh Sadi Sheerazi ke halaat zindagi, gulistan ka mozu, Gulistan ki adbi khasusiyat aur gulistan ki maqbuliyat ke asbab par tafseel se qalam uthaya gaya hai.
Is chapter ke dusre hisay mein Allama Muhammad Iqbal ke halaat zindagi, Allama Iqbal ki shayari ke mukhtalif adwaar aur tasaneef, Iqbal ki shayari ki khasusiyat aur payam-e-mashriq par aik tanqeedi nazar ke anwanaat ke teht tafseeli isharaat qalam band kiye gaye hain.
Aoa
ReplyDeletePlzzz sir persian ka paper kesy attempt karna hai yeh b bata dein
Tarjmy k sath hamy words meaning b likhny hain ???
Ore kia poems main referance b dena hai???
Wa.... words meaning nahin likhne paper attempt kartay hue bas translation aur explanation persian mein likhni hai jald students ke liye is baray mein main aik mazmoon aur likhon ga
Delete