Hikayat 3 Salees Urdu B.A Persian Tarjuma

  Admin      
1: Maine aik shehzade ke mutaliq suna ke chota qad aur bad surat tha aur us ke dusre bhai buland qamat aur khubsurat thay. Aik baar baap (badshah) usay nafrat aur haqarat se dekh raha tha. Beta apni danai aur baseerat se sari baat samajh gaya aur kehne laga: Aay baap chota qad aqal mand acha hai ya daraz qad bewaqoof? kyoun ke jo cheez qad mein choti hoti hai qeemat mein bari hoti hai. (dekh lijiye) bakri halal hai magar hathi murdar (haraam) hai.
Tarjuma Ashaar:
  1. Koh-e-Toor dunya ke paharon mein sub se chota pahar hai lekin woh Allah Ta'ala ke nazdeek qadar-o-manzilat mein sub se bara hai.
  2. Kya tou ne woh baat suni hai ke aik baar aik duble patle aqal mand ne aik motay tazay bewaqoof se kaha:
  3. Arbi ghora agarcheh kamzor ho magar us halat mein bhi woh gadhon ke istabal se behtar hai.
2: Baap hans para aur saltanat ke dusre ohday daron ko bhi larke ki ye baat pasand ayi magar us ke bhai (is baat se) dili toor par ranjeeda howe.
  1. Jub tak aadmi koi baat nahin kehta us ke aib aur hunar chupe rehte hain.
  2. Tou har jungle ke bare mein ye guman na kar ke woh khali hai. Ho sakta hai us mein koi cheeta soya para ho.
3: Maine suna ke usi zamane mein aik badshah par aik sakht dushman hamla awar howa. Jub dono taraf se faujain aamne samne hoyien tou sub se pehle jo shakhs maidan-e-jang mein aya, yehi larka tha aur woh keh raha tha:
  1. Main woh nahin hon ke larai ke din tou meri peeth dekhay ga balkeh main woh hon ke tou mere sar ko khaak aur khoon mein luthra howa dekhe ga.
  2. Woh shakhs jo ke larai ke din (dat kar) jang karta hai woh apne khoon se kheelta hai aur woh shakhs jo ke maidan-e-jang se bhaag uthta hai apne lashkar ke khoon se kheelta hai.
4: Us ne ye kaha aur dushman ki fauj par toot para aur us ke chand bahadaron ko maar garaya. Jub baap ke samne aaya tou inihai adab se zameen tak jhuk kar adab baja laya aur kehne laga.

  1.  Aay baap tujhe meri shakhsiyat haqeer nazar aati thi lekin ab motapay ko hargiz khoobi na samajhna.
  2. Larai ke din patli kamar wala ghora hi kaam aata hai na ke pala howa mota taza bayl.

5: Kehte hain ke dushman ki fauj bohat zayada thi aur ye log thore thay. Fauj ke aik dastay ne bhagne ka irada kiya tou larke ne nara mara aur kaha: Aay jawan mardo! himmat se kaam lo ta keh tumhain auraton ka libas na pehanna pare. Us ke kehne se sawaron ka hosla barh gaya aur unhon ne aik dam (dushman par) hamla kar diya. Main ne suna hai ke unhon ne usi roz dushman par fatah payi badshah ne us ke sar aur ankhon ko chuma aur usay apne seenay se lagaya aur har roz us ki taraf zayada tawaja dene laga yahan tak ke usay apna wali ehd muqarar kar diya. Us ke bhai hasad karne lage aur us ke khane mein zehar mila diya us ki behan khirki se dekh rahi thi. Us ne usay (khabardar karne ke liye) khirki ka (aik) pat khatkhataya. Larka (shehzadah) us ka (ishara) samajh gaya aur us ne khane se hath khench liya aur kaha: "Ye namumkin hai ke hunar mand mar jayain aur bay hunar un ki jagah lay lain.
Tarjama Shair: Koi shakhs ulu ke saye talay nahin aata khawah huma ka wajood is dunya se mit kar reh jaye.

6: Baap ko is waqaya se agah kiya gaya tou us ne bhaiyon ko apne hazor talab kiya aur unhain munasib saza di phir us ne har aik ke liye apni saltanat ki mukhtalif itraf mein hisa muqarar kar diya ta keh fitna dab jaye aur jhagra khatam ho jaye, (kyoun keh dana) kehte hain ke 10 darwaish 1 gadri mein so sakte hain magar 2 badshah aik saltanat mein nahin sama sakte.

  1. Allah ka naik banda agar aadhi roti khud khata hai tou baqiya aadhi roti darwaishon ko aata kar deta hai.
  2. Badshah agar 7 mulk bhi fatah kar lay (tab bhi) dusre mulk ko fatah karne ki fikar main laga rehta hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment