Hikmat-o-Shair - Iqbal & Maulana Jalaluddin Rumi Poems in Farsi

  Admin      
1: Urdu Tarjuma: Bu Ali Sina naqah chalne se uthne wale gard-o-ghubar mein kho kar reh gaya jabkeh Roomi ka hath mehmal ke parde tak ja pohancha.
Tashreh: Iqbal ne apni nazam "Hikmat-o-Shair" ke is shair mein hikmat aur shair ka farq bayan kiya hai aur ye farq bayan karne ke liye unhon ne Bu Ali Sina ko hikmat. Maulana Jalaluddin Rumiko shair ki ilamat ke toor par paish kiya hai. Iqbal kehte hain ke Hakeem aur Shayar  dono haqeeqat ki talash mein hain. 
 Hakeen yani Bu Ali Sina aqal ke waswason aur shakook aur shubhat ke gard-o-ghubar mein gum ho kar seedhe raste se bhatak gaya aur apni manzil maqsood yani haqeeqat ki naqah tak na pohanch saka. Is ke bar aks shayar sani Rumi ne ishq ko apna rehnuma banaya aur us ne haqeeqat ki naqah tak pohanch kar us ki mehmal ke parday ko pakar liya yani haqeeqat tak rasai hasil kar ke manzil kamyabi aur kamrani ki murad hasil ki. Goya Hakeem ki aqal shakook-o-shubhat ke ghubar mein kho kar manzil se door hoti jati haijabkeh shayar yaqeen aur ishq ki kaifiyat se sarshar ho kar haqeeqat ki manzil tak ja pohancha hai.

2: Tarjuma: Ye (Roomi samandar ki) mazeed gehrai mein gaya aur (us ne) moti hasil kar liya. Woh (Bu Ali Sina) tinkay ki tarah bhanwar (mein phans gaya aur us ne usi ko apni) manzil samajh liya.

Explanation: Is shair mein hikmat aur shair ka farq bayan kiya gaya hai. Hakeen aur Shayar dono haqeeqat ki talash mein hain. Haqeeqat ki talash mein dono ne samandar mein ghota lagaya. Shayar ishq ke jazbe se sarshar tha us ne samandar ki teh tak pohanch kar gohar maqsood hasil kar liya yani haqeeqat ko paa liya magar hakeem (falsafi) ishq ki bajaye aqal ko apna rehnuma banaye howe tha, chunachay woh shakook-o-shubhat ke bhanwar mein aik tinkay ki tarah phans kar reh gaya aur woh shakook-o-shubhat ke us bhanwar hi ko apni manzil bana baitha kyoun keh is bhanwar se nikalna aur agey jana us ke bas ki baat nahin thi. Is tarah us ki rasai haqeeqat tak nahin ho payi.

3: Tarjuma: Haqeeqat apne andar sooz na rakhti ho tou woh mehz hikmat hai jabkeh us mein dil ka sooz shamil ho jaye tou woh shair ban jati hai.
Tashreh: Hikmat mein sooz nahin hota is liye falsafi dil ki bajaye aqal ko apna rehnuma bana laita hai aur youn haqeeqat ko pane mein nakaam rehta hai. Is ke bar aks shayar dil se hidayat hasil karte howe ishq ko apna rehnuma banata haiaur apne kaam mein sooz paida karta hai aur is tarah haqeeqat ko paa laita hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment