"Huddi" Naghma-e-Sarban-e-Hijaz Persian pu BA course outline

  Admin      
1: Aey meri teez raftar oontni tou mere liye Tataar ke hiran ki manind hai. Mere dirham aur dinar (meri dolat) tou hai, (khawah) ye daulat thori hai (aur khawah) zayada (magar) tou hi hai. Tou meri jeeti jaagti daulat (aur sarmaya) hai. Zara aur teez qadam utha, hamari manzil (zayada) door nahin hai.

2: (Sanaar Baan apni oontni se kehta hai ke aey meri oontni!) tou dilkash aur intihai khubsurat hai. Tou khubsurat mehboob hai. Tou (apne husn ki wajah se) hooron ko sharminda karne wali hai. Tou laila ke liye rashk ka baes hai. Tou sehra ki beti hai. Zara aur teez qadam utha, hamari manzil (zayada) door nahin hai.

3: Tou suraj ki teez dhoop mein bhi jabkeh sehra mein door se rait par pani ka gumaan guzarta hai, teezi se safar karti hai. Isi tarah tou chandni raat mein bhi tootne wale sitare ki si teezi se safar karti hai aur (is safar ke bawajod) teri aankhon mein neend nahin aati tou apne qadmon ko aur teezi se barha ke manzil hamari door nahin.

4: Tou chalte howe badal ka aik tukra hai. Tou aisi kashti hai jo baadban ke baghair chalti hai. Tou Hazrat Khizar A.S ki tarah har raste se waqif hai. Tere liye har mushkil asaan (ho jati) hai. Tou (apne) sarban ke dil ka tukra hai. Tou aur teezi se barha qadam apne hamari manzil door nahin.
5: Tera soz teri mahaar mein aur tera saaz teri chaal mein hai. Tou bhooki aur pyasi subah aur sham safar karti rehti hai. Kisi jagah theherne se tou thak jati hai. Apne qadmon tou zara jaldi barha hamaari manzil door nahin.

6: Tou agar sham ke waqt Yaman mein ho tou subah ke waqt Qern mein hoti hai. Watan ki sakht rait tujhe apne pairon talay chameli ke phool ki tarah (naram) mehsoos hoti hai. Aay (meri oontni) Khatan (Khatan = Turkistan kaaik alaqa haijahan ke hiran apne kastoori ke liye mashoor hain) ke hiran ki tarah hai. Zara qadam aur teez barha manzil ab door nahin hamari.
7: Chand ne safar se paon khench liye aur (chalte chalte thehr gaya hai aur ab) teelay ke peechay araam karne laga hai. Mashriq se subah namudar hoi (hai) aur us ne raat ka (tareeki ka) libaas taar taar kar dala hai. Ab sehra ki hawa chalne lagi hai. Zara aur teez qadam utha, hamari manzil (zayada) door nahin hai.

8: Translation: Mera ye geet bohat dilkash hai. Is ka utaar charhao ruk ko tazgee deta hai aur qaflay walon ke liye kooch ki ghanti hai. Mera ye geet fitne ko khatam bhi kar sakta hai aur (ishq ki) aag ko bharka bhi sakta hai. Aay meri oontni ke tera munh Khana Kaba ki taraf hai, zara aur teez qadam utha humari manzil door nahin hai.
 
Explanation: Allama Iqbal ki nazam "Hudi" ke is band mein Arab ka sarban apni oontni ki sakht jani aur hosla mandi ki tareef karte howe us se mukhatib ho kar kehta hai ke aay meri oontni! mera ye geet bohat dilkash aur asar angeez hai. Mere is geet ka utaar charhao ruh ko tazgee bakhshta hai. Isay sunn kar murda se murda ruh zindagi ke walwale se sarshar ho jati hai aur mere is geet ki wohi haisiyat hai jo qafle walon ke liye ghainti ki awaz hoti hai. Aay meri oontni tou sard bhi ho sakti hai aur is se dilon mein ishq ki aag ke sholay bharak bhi sakte hain. Aay meri oontni tou bari khush bakht hai keh tera rukh Khana Kaba ki taraf hai. Tou bari naik naseeb hai ke tou Allah ke ghar ki ziyarat ke liye ja rahi hai. Mere sath tujhe bhi us muqadas aur pak sar zameen par paishani rakhne ki sa'adat hasil ho gi.
logoblog

No comments:

Post a Comment