Kashmir Shairana Musawari Aur Manzar Nigari

  Admin      
1: Tou apna saaz-o-saman lay kar kashmir ka rukh kar (aur wahan ke) pahar, teelay aur wadiyan dekh. Jagah jagah sabza (ki bahar) dekh  aur har (aik) bagh mein lala (ke phool khile howe) dekh.

2: (Dekh keh kashmir mein)  bahar ke mausam ki hawa musalsal jhonkon ki surat mein chal rahi hai,
 bahar ke mausam mein naghma sarai karne wale parinde garoh dar garoh  (nazar arahe) hain aur dekh keh anaar ke darakhton par fakhta aur meena (jese parinde) jore jore (ho kar) baithay hain.

3: Dekh keh nastran ke phoolon ke burqay ne zameen ke chehre ko is liye chupa liya hai keh fitne paida karne wale aasman ki nazar kahin us ke husn-o-jamal par na par jaye.

4: Dekh ke lala ke phool khaak se nikle aur nadi mein lehar josh marne lagi. Tou (lala ke phoolon ki surat mein) zameen par bikhri hoi chingrariyan hi chingariyan dekh aur (nadi mein pani ki) mooj dar mood (uthti hoi) lehron ka nazara kar.
5: Tou saaz ke taron ko mazrab se chair aur (sharab peene ke) bare payale mein sharab undail (aur phir) dekh keh bahar ka qafla mehfil mehfil (har jagah mojood) hai.
6: Tou aik nazar (Kashmiri) brahmin ki beti ke chehre ki taraf dekh jo lala ke phool ki tarah surkh hai aur jis ka badan chameli ke phool ki tarah (safaid aur naram-o-nazuk hai). Phir tou (us ke husn ko dekh kar) apne aap ko dekh (keh tere dil ki kya kefiyat hai?)
Explanation: Iqbal ne apni nazam "Kashmir" mein husn ke nazare ki dawat dete howe is shair mein (jo nazam ka akhri shair hai) kashmir jannat nazeer ki sub se bari dilkashi kashmir ki brahmin zadiyon ke husn ki taraf ishara kiya hai jin ke chehre lala ke phool ki tarah surkh aur jin ke badan chameli ke phool ki tarah safaid aur nazuk hote hain. Allama iqbal kehte hain ke gul lala ki tarah surkh chehre aur chameli ke phoolon ki tarah safaid nazuk jism ki malik brahmin zadi ke husn ko aik nazar dekh aur usay aik nazar dekh lene ke baad phir aik nazar apne aap par daal aur apni halat ka andaza kar ke us brahmin zadi ke husn ko makhsoos aik nazar dekh lene se hi tere dil ka kya haal howa hai?
Is shair ke dusre hisay mein jo tarkeeb istmal ki gayi hai woh bari dilkash hai jis ke kayi matlab nikal sakte hain.
  1. Tou aik nazar us brahmin zadi ke chehre par daal aur phir apni halat ka jaeza le ke kya tou usay hasil kar sakta hai?
  2. Kya tou khushnaseeb nahin hai ke taqdeer ne tere liye dunya mein hi hoor  ke nazare ka ahtmaam kar ke tujhe qayamat tak ke intzar ki zehmat se nijat dila di?
  3. Us ka chehra dekh kar apni halat ka jaeza lay ke tera dil tere qabu mein hai ya nahin?
  4. Tou hosh mein hai ya tujh par madhoshi aur masti ki kefiyat utar chuki hai?
logoblog

No comments:

Post a Comment