1973 Ka Ain 1973 Constitution Of Pakistan Ka Ain in Urdu

  Admin      
Pakistan Peoples Party ne 1971 ke elections mein kamyabi hasil ki. Us ke natijay mein Zulfikar Ali Bhutto iqtidar mein aye. Qaumi assembly ne ain ki tashkeel ke liye aik kameeti qaim ki jis ne ain ka khaka qaleel mudat mein tayar kar liya. Us khakay ko National Assembly ne 10 april 1973 ko manzoor kiya. August 1973 ko usay mulk mein nafiz kar diya gaya. Us ke mutabiq Zulfikar Ali Bhuttone batoor Prime Minister aur Fazal Ilahi Chaudhry ne batoor sadar-e-Pakistan half uthaya.

1973 ka ain 12 hison aur 280 difaat par mushtamil tha. Us mein parlimani aur wafaqi tarz hukumat thi. Markaz mein 2 aiwanon par mushtamil aik maqannah thi. Ain mein Pakistan ke shehriyon ko bunyadi huqooq ki zamanat faraham ki gayi thi. Un tahafuzat ke elawa ain mein darj zail Islami difaat shamil thien.

  1. Allah Ta'ala Ki Hakmiyat: 1973 ke ain mein ibtidaiya Qarardad e Maqasid ki difat par mushtamil tha us ke mutabiq tamam qainat par Allah Ta'ala ki hakmiyat hai.
  2. Islam Bator Sarkari Mazhab: 1973 ke ain mein pehli martaba Islam ko mulk ka sarkari mazhab qarar diya gaya tha.
  3. Islami Jamhooria Pakistan: Mulk ka naam Islami Jamhooria Pakistan rakha gaya tha.
  4. Islami Tarz Zindagi: 1973 ke ain ki dafa 31 ke mutabiq aisay iqdamat kiye jayain jin se Pakistan ke Musalman Islami asoolon ke mutabiq apni infaradi aur ijtimai zindagi basar karain gey.
  5. Mumlikat Aur Hukumat Ke Sarbarahon Ka Musalman Hona: Is ain ke mutabiq mulk ke sadar aur wazir-e-azam ka Musalman hona zaroori tha.
  6. Sadar Aur Wazir-e-Azam Ka Hazrat Muhammad S.A.W.W Ki Akhrat Par Yaqeen Rakhna: Ain ki ru se Pakistan ke sadar aur wazir-e-azam ka Hazrat Muhammad PBUH ke akhri Nabi hone par aitqad ka hona zaroori hai. Sadar aur wazir-e-azam donon ko apne ohdon ka half uthatay waqt us ka ilan karna ho ga.
  7. Sadar Aur Wazir-e-Azam Ka Tauheed Aur Quran Par Iman: Ain ke mutabiq half uthatay waqt sadar aur wazir-e-azam ko Allah Ta'ala ke aik hone aur Quran Pak par yaqeen rakhne ka ilan karna zaroori qarar diya gaya hai.
  8. Musalman Ki Tareef: 1973 ke ain mein qarar diya gaya ke Musalman woh hai jo tauheed, Risalat, Asmani kitabon aur Hazrat Muhammad PBUH ki akhrat par yaqeen rakhta ho.
  9. Majlis Shoora: 1973 ke ain mein Islami tarz hukumat ke mutabiq mulk mein aik majlis shoora (parliament) qaim kar di gayi jo ke aik qaumi assembly aur senate par mushtamil thi.
  10. Bunyadi Huqooq Ka Tahafuz: Mazhab Islam insani huqooq ka alambardar hai. 1973 ke ain ke dusre hisay ke baab awwal (difaat 8 ta 28) mein Pakistan ke shehriyon ko bunyadi huqooq ka tahafuz faraham kiya gaya hai.
  11. Islami Iqdar Ka Tahafuz: 1073 ke ain mein Islami talimaat ke mutabiq zindagi guzarne ki targheebat shamil hain. Us mein ghair Islami afaal maslan sharab nooshi, juwa bazi, aur fehsh literature ki ishaat par pabandi laga di gayi.
  12. Alam Islam Se Taluqat: 1973 ke ain ki dafa 40 ki ru se riyasat Muslim mumalik ke sath taluqat ko mustehkam karne ki koshish kare gi.
  13. Muasharti Aur Muashi Inqilab: Ain ki dafa 37 mein kaha gaya hai ke riyasat muasharti buraiyon ko khatam kar ke muasharti insaf ko farogh de gi.
  14. Quran Aur Sunnat Ke Mutabiq Qawaneen: Ain ki dafa 227 mein mulk ke tamam mojooda qawaneen ko Quran aur Sunnat ke mutabiq dhalne ke liye kaha gaya hai.
  15. Islami Nazaryati Council: Ain ki dafa 228 ki ru se mulk mein aik Islami Nazaryati Council tashkeel di gayi hai jo Musalmanon ko infaradi aur ijtimai toor par apni zindagiyon ko Islami Asoolon ke mutabiq dhalne ke liye majlis shoora ko sifarishat kare gi.
logoblog

2 comments: