Beautiful Hunza Valley: Gilgit se thoray faslay par hunza valley shuru hoti hai. Nothern Areas ki ye beautiful valley jisay dekhne dunya bhar se tourists garmiyon mein khas kar bari tadad main atay hain. Hunza khubsurat aur historical place hai yahan tourists ke liye bunyadi zarooriyat ki taqreeban har cheez mojood hai. Gilgit se taqreeban 24 hours ke distance par us khubsurat wadi ka sadar muqam Kareem Abad hai aur sub se pehle Rakaposhi ka haseen manzar nazron ko apni taraf kheench laita hai. Baraf posh pahar jis ke daman mein har qisam ke lazeez khanon aur raat guzarne ke liye hotels mojood hain. Agar room na milay tou apne tent laga kar bhi qayam kiya ja sakta hai. 14th ka chand ho ya din ko asman saaf ho tou Rakaposhi ka manzar bohat pyara lagta hai.
Jub bhi Hunza jana ho Rakaposhi ke daman mein thori dair ke liye ruk kar aur khubsurat manzar ko apne camera, dil aur dimagh mein mehfooz kiya jaye tou ye nazara pure safar ki thakan door kar sakta hai. Rakaposhi ka nazara aap kayi jagahon se kar sakte hain magar us ke daman mein kefiyat hi khuch aur hai. Hunza Valley mein jagah jagah tourists ke liye hotel aur cafe mojood hain. Hunza ke fruits aur khas kar saib (apple) bohat famous hain. Yahan ke people bhi bohat khubsurat hain, surkh gulab jese chehre, parhay likhay, jagah jagah schools aur hospitals hain. Yahan par log alaqay ki taraqi aur khushali ke liye sciency bunyadon par hukumat aur NGO's ka sath dete hain. Yahan aap community participation ke aisay aisay kaam dekhain gey jo aap ko shayed kahin aur na milain.
Hunza ke qareeb aik chotay se village mein logon ne apne liye pul (bridge), school, bijli aur degar bunyadi zarooriyat ki cheezain apni madad aap ke teht bana rakhi hain aur woh kisi cheez ke liye kisi ke mohtaj nahin. Hunza jatay howe saib ke baghat safar ko aur bhi haseeb bana dete hain. Karakoram highway ki construction se alaqay ki development mein izafa hota raha. Hunza Kareem Abad se agey chalte hain tou rastay mein beshumar khubsurat village atay hain. Hunza kareem abad ke samne Nagar ka area hai Kareem Abad ki nisbat yahan log parhe likhay kam hain magar log bare mehman nawaz hain.
Hunza Nagar se agey shumal ki wadi ati hai. Yahan se hote howe aap Susat ke muqam par pohanch jate hain. Jahan China se anay wale saman par custom lagta hai aur custom clearance ke baad ye Gilgit ata hai. Hunza mein mewa jat aur qudarti husn beshumar hai, isi wajah se Hunza ne Pakistan ki sahayat mein numayan muqam hasil kar rakha hai.
Copyright ©
Urdu Meaning Pictures Hindi Tips Information. All rights reserved. Project by Moonincloud & Urdu Hindi
No comments:
Post a Comment