Joint Family System In Islam Separate Family System In Pakistan

  Admin      
Society ki badalti hoi iqdar ke sath joint family system ya mushtarka khandani nazam ka tasawar ab taqreeban khatam ho kar reh gaya hai. Muashi taraqi ki door aur behtar rozgar ki talash ne afrad ko aik dusre se door kar diya hai. Is ke ilawa mohabbat aur ahtram ke na honay ki wajah se mil jul kar rehne mein aur apas mein samjhotay ki rah khatam kar di hai. Shadi ke baad larka, larki amooman alehda rehne ki tarjeh dete hain takay ghar wale un ki zindagi mein mudakhlat na kar payain. Khasoosan larkiyan tou susral walon ka saya bhi bardasht karne ki rawadar nahin hotien. Taham aimandari se agar surat haal ka tajziya kiya jaye tou aik sath rehne mein thori bohat khat pat ka makan mojod rehta hai ke jahan char bartan hon gey woh kharkain gey zaroor. Lekin mil jul kar rehne ke faide is qadar hain ke jinhain nazar andaz karna kisi toor munasib nahin.
Family join ho ya na ho is ki tashkeel mein aurat ka kardar behad aham hai kyoun ke ye faisla amooman usi ka hota hai. Is zaman mein mukhtalif khwateen ke mukhtalif tajarbat hain lekin joint family ki ahmiyat se kisi ko inkar nahin. Aik khatoon jo writer hain, kafi saal susral mein guzarne ke baad jub Dubai shift hoyien tou unhain ye tabdeeli achi mehsoos hoi kyoun ke ab woh likhne likhane ka kaam zayada sakoon ke sath anjam de sakti thien lekin joint family mein rehte hue jo aram aur tahafuz unhain hasil tha, usay yaad kar ke woh abdeedah ho jati hain.

Mahir nafsiyat ka kehna hai ke joint family mein rehne wale joron mein alehdagi ka rujhan nisbatan kam paya jata hai. Is ki wajah ye hai ke un ke gharon mein bare burhay mojood hote hain jo zindagi ke har marhalay par un ki darust rehnumai karne ki salahiyat rakhte hain. Taham ye koi formula nahin, kyoun ke zindagi ke bare mein har fard ka tajarba mukhtalif hota hai. Khuch khawateen ki raye mein ye apne apnehalat par depend karta hai ke kis andaz ka life style aap ke liye behtar rehta hai. Mohabbat aur ahtram ka taluq dil se hota hai, paas ya door rehne se nahin. Beshumar dost aisay hain jo aik hi chat talay rehtay hue ajnabiyon ki tarah rehte hain. Ye haqeeqat hai ke tabdeeliyan zindagi ka naguzeer hisa hain lekin aap paas rahain ya door family ke sath apniayat ka ehsas aur taluq hamesha qaim rehna chahiye.
logoblog

No comments:

Post a Comment