How To Grow Strawberries In Pakistan Strawberry Cultivation Kasht

  Admin      
Strawberry Ki Kasht: Mausam bahar ka aghaz hote hi deeda zaib, khushbu dar aur zaiqa dar fruit Strawberry bhi pak kar tayar ho jata hai. Bunyadi toor par Strawberry Amercan fruit hai lekin Europe, India aur Pakistan mein Khyber Pakhtunkhwa ke alaqon mein is ki bare paimanay par kasht ki jati hai. Strawberry red ya pink colour ka phal hai isay Toot Zameeni bhi kaha jata hai kyoun ke is ka taste Toot se milta julta hai. Hamare mulk mein Strawberry ke jangli plants, Gilgit, Chitral, Kaghan Kohistan aur shumali alaqa jaat mein paye jatay hain. Is phal ki maang ko dekhte hue farmers ne tijarati paimanay par Swat, aur Lahore mein bhi bare raqbay par is ke bagh laga rakhe hain. 

Strawberries
Strawberry
Strawberry Ki Kasht Ka Tarika At Home: Is ki kasht mukhtalif tareeqon se ki jati hai. Ye house mein bhi ugayi ja sakti hai is ke liye plant pots yani gamlon mein laga ka patriyan banai jati hain jin ki unchai 9 se 12 aur chorai 20 se 28 inch hoti hai. Patriyan aik dusre se 1 foot ke fasle par hoti hain. Strawberry plants aik dusre ke samne lagaye jate hain. Plants na zayada gehre aur na hi zayada uper lagayain. Mausam kasht aur zameen ki tayari Strawberry ki kasht ke liye zameen jis qadar ache tarikay se tayar ki jaye gi fasal ki kamyabi ke imkanat bhi usi qadar zayada hon gey. Is ke liye achi zameen honi chahiye seem zada nahin honi chahiye, pani ka nakas behtar ho. Kasht se 1 month pehle zameen mein khoob gali sari khaad yani Fertilizer dali chahiye aur zameen ki akhri tayari ke waqt pehli khorak ke toor par Urea, Ammonium Sulphate aur Potash Fertilizer istimal karni chahiye. Is ke ilawa flower khilne se pehle in fertilizers ki dusri khoraak bhi Agricultural experts ke mashwaray ke mutabiq dalni chahiye.

Strawberry Ke Plant Par Phal Kab Lagta Hai?

Pahari alaqon mein August se October tak Strawberries ki kasht ki jati hai, December mein is ka plant mukamal ho jata hai, lekin winter season ki wajah se in ki bharhne ki raftar kam rehti hai jabkeh february mein dobara barhna shuru ho jata hai. Lekin sardi wale alakon mein is ki barhutarai march ya april mein shuru hoti hai un areas mein Strawberry plant par phool march se may tak lag jatay hain jabkeh fruit april se june tak pak jata hai. Aab pashi poday lagane ke foran baad pani dain. Is ke baad halaat aur muqa ki munasbat se pani dena chahiye. Garam mausam mein kam waqfay se pani dain jabkeh zayada garam dinon mein dusre din pani lagane se plants jalne se mehfooz rehte hain.

Take Care of a Strawberry Plant:
Sardiyon mein phool toor lain takay plants ki barhotari achi tarah ho sake. Strawberry ke plant par acha fruit dusre saal ata hai. Godi se jari butiyan nikal dain, achi tarah dekh bhaal se poday 4 se 5 years tak qaim rehte hain aur 3 se 4 martaba achi paidawar dete hain, Plants february ke end ka march ke pehle haftay hain phool dena shuru kar dete hain. Ache phoolon ke liye kheet ke nazdeek shehad ki makhi ke dabay rakhna faida mand hai. Phal may, june mein tayar hota hai.

Strawberry Ka Phal Pakne Ke Baad Kab Tora Jaye?
Agar strawberry ko kafi raqbay par kasht hai tou sara phal aik waqt mein hi mat utara jaye is ke liye har 3 din ke baad strawberry tori jaye. Fruits ko subah saweeray ya suraj dhalne ke baad tora jaye. Ye bohat nazuk hota hai aur jald gal sar jata hai. Strawberry ko 9 se 12 din tak cold store mein rakha jaye tou ye zayada waqt tak fresh rehta hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment