Saffron Benefits In Urdu Zafran Ke Faide Saffron Fawaid Kesar

  Admin      
Saffron Benefits In Urdu Zafran Ke Fawaid Saffron Ki Tarikh: Zafran ko bila khauf tardeed dunya ka sub se expensive masala qarar diya jata hai. Isay zafran ke phool (crocus sativus) se hasil kiya jata hai jo darasal is flower ka zerah geer hota hai. Tareekhi rawayat ke mutabiq Zafran ki kasht sub se pehle asia e kochak mein shuru hoi jahan se ye Unan aur Spain tak pohancha. Taqreeban 3000 years se isay mukhtalif khanon ko rangeen aur khushbudar banane ke ilawa dawaon mein bhi istimal kiya jata hai. Shakespeare ki takhleeqat mein bhi zafran ka tazkara mojod hai. Jahan tak is ke qeemti hone ka sawal hai, aik door mein ye sonay se bhi zayada qeemat par farokht hota tha.

Zafran ka dusra naam Kesar hai. Kesar kashmir se aya hai jahan Kesar ki kasht aam aur karobari paimanay par hoti hai aur is ki wajah se wadi kashmir iskay rangon mein kho jati hai. Kesar plant ke ilawa insani name ke toor par bhi istimal hota hai. Kesar hamare geeton aur muhawaron mein racha hua hai.

Zafran plant piyaz se milti julta 45cm lamba hota hai. Tijarati zafran phoolon ke khushk hison par mushtamil hota hai. Ye dunya ki qeemti tareen jadi buti mein se aik hai. Is mein aik lazmi nabatati oil hota hai. Is ke ilawa ajza mein kerosene shamil hain.

Zafran ki baish qadri ki wajah ye hai ke ye makhsoos alaqon mein bohat mehdood muddat ke liye paida hota hai aur Saffron cultivation yani kasht ke liye jaan tor mehnat karni parti hai. Aik kg zafran hasil karne ke liye taqreeban 1 lack 50 thousand se zayada flowers se baqcha gul chunay jate hain aur taqreeban agar 1 acer ke raqbay par zafran lagaya jaye tou aik andazay ke mutabiq 12 lack ki zafran hasil ki ja sakti hai.

Saffron health ke nuqta nazar se mutadad baish qeemat aur bohat asar rakhne wala hai. Ye mutadad diseases aur arzon mein akseer aur benazir hai. Tib unani mein zafran ka istimal bakasrat hai.
  1. Saffron For Skin And Health: Roghan zafranpathon ko naram karta hai.
  2. Shehad mein mila kar khanay se gurda aur masana ki pathri kharij hoti hai.
  3. Surma istimal karne se binai teez ho jati hai.
  4. Is ka natool sakht qisam ke dard ko khatam karta hai.
  5. Is ka lap aankh se pani behne ko khatam karta hai.
  6. Is ki taza pati ko pees par zakhmon par lap karne se zakham jald bhar jatay hain.
  7. Aankh ke jalay, dhundh aur kharish ke liye bhi mufeed hai.
  8. Zafran tili, jigar, dimagh ko saaf karta gai.
  9. Ye skin aur face ke liye aik zabardast cheez hai is se chehre ki rangat ko nikhar milta hai.
  10. Is ke khanay se tabiyat mein farhat paida hoti hai.
  11. Is ka mazaj darja daum mein garam aur darja awal mein khushk hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment