Nariyal Pani Benefits in Urdu Coconut Oil Ke Faide Milk Coconut Water Recipes Khopra

  Admin      
Fawaid Coconut Oil Benefits Urdu Coconut: Nariyal ka tail yani coconut oil tamam iqsaam ki skin ke logon ke liye yaksan mufeed hai. Ye best moisturizer hone ke sath sath aap ki jild mein numayan chamak lanay ka zariya bhi hai. Chehre Ki Jhaiya Ke Khatme Ke Liye: Coconut milk ke sath sath coconut oil na sirf chehre ki khushki ko door kar ke jild ko naram aur mulaim ehsaas bakhshta hai balkeh ye chehre ki jhuryan khatam karne ke liye bhi nihayat behtar hai. Neem garam narial ke tail ke sath chehre ki jild ki satah par narmi se massage karain aur jild ko ragarne se parhez karain. Apni jild ki tazgi aur nikhar ko barqarar rakhne ke liye ye amal haftay mein 2 se 3 baar dohrayain.


Chehre Ki Jild Mein Nikhar: Aik bara khane ka chamach nariyal ka tail mein pisay howe 3 lehsun ke juve mila kar skin par malain. Matloba nataez hasil karne ke liye is amal ko rozana dohrayain.

Kohni aur Ghutnon Ke Dagh Aur Dhabay Door Karne Ke Liye: Apni kohniyon aur ghutnon ke sayah dagh door karne ke liye lemon ke rus mein 1/2 chaye ka chamach nariyal ka tail mix kar ke apni sayah kohniyon aur ghutnon par ragrain. Is se aap ki jild na sirf saaf aur khubsurat ho jaye gi balkeh jild mein munasib nami bhi barqarar rahe gi.

Khawateen Ki Ankhon Ke Make-up Ko Saaf Karne Ke Liye: Khawateen ki aankhon ka make-up sensitive skin hone ki wajah se ba asani saaf nahin hota. Is ke liye agar aap kapas ke tukre ko coconut oil mein dip kar ke us se eyes saaf kar lain tou make-up mukamal toor par saaf ho jata hai aur aap ki aankhain roshan aur pur ronaq tasar deti hain.

Nariyal Ke Tail Ka Istmal Batoor Sun Screen: Jild par coconut ke tail ke istmal se aap ki jild suraj ki barah-e-rast rays se bhi mehfooz rehti hai aur aap din bhar jawan aur bay dagh jild ke sath pur aitmad rehte hain. Nahane ke baad nariyal ke oil ko jism ke jildi hison par lagayain.

Khushk Jild Aur Honton Mein Narmahat: Winter mein skin dry aur lips par dararain parne lagti hain tou is oil ka istmal na sirf aap ki jild ko nami muhaiya karta haibalkeh aap ki skin ki bafton mein dakhil ho kar aap ki rangat ko saaf karne ki wajah bhi banta hai.

Pairon Ka Massage: Aik tub mein neem garam pani mein 3 baray khane ke chamach nariyal ke tail ke mix kar ke apne pairon ko us tub mein thori dair ke liye bheega rehne dain aur us ke baad saban se dho kar khushk kar lain. Is amal se aap ke paon na sirf naram balkeh jaraseem bhi khatam ho jayain gey.

Jild Ki Khushki Ko Door Karne Ke Liye: Samandari namak (sea salt) mein coconut oil shamil kar ke usay batoor (Body Scrub) apne jism par istmal karain. Is nuskhay par amal karne se aap ki jild minton mein naram aur chamkeela tasar de gi.

Khopre Ka Tail Batoor Cleanser: Coconut oil ko cleanser ke toor par bhi istmal kiya ja sakta hai is se aap ke chehre ki safai ho jaye gi.

Jild Ko Din Bhar Taza Rakhne Ke Liye: Skin ki freshness ke liye aloe vera gel mein khopray ke oil ke chand qatre shamil kar ke chehre, hathon aur pairon par lagayain. Is se aap ki skin din bhar fresh rahe gi.

Coconut For Hair Problems: Sar ki jild par khopray ke tail ka istmal aap ke balon mein ronaq lane ke sath sath balon mein mojood khushki ko khatam karta hai, sar mein khopre ke tail ka massage aap ke sar ki jild ka doran-e-khoon teez karta hai, balon ko ghana aur lamba karne ka baes banta hai, rukhe aur bay jaan balon ke liye nariyal ke tail ka istmal nihayat azmuda nuskha hai.
Sar ki jild mein neem garam khopre ka tail  se massage karain us ke baad balon par garam toliya (towel)  lapait lain aur 1 hour ke baad sar dho lain. Balon ka girna khatam karne ke liye aik cup sarson ka tail lain aur us mein 1 cup khopre ka oil mix kar lain. Phir us ko neem garam kar ke us mein kafoor ki goliyan bhi shamil kar lain. Is amal ke baad tail ko thanda hone ke liye rakh dain. Tail ke thanday hone par usay chaan lain aur balon ki jaron mein achi tarah lagayain. Is tail ko hairs mein puri raat ke liye rehne dain aur subah uth kar shampoo kar lain. Ye amal haftay mein 2 baar dohrayain.

Nariyal ke tail mein lemon juice aur zaitoon oil ko mix kar ke neem garam karain aur balon mein lagayain. Is ke baad bhaap dene ke liye garam toliye se lapait lain aur 15 minute ke baad shampoo kar lain.

1 Cup coconut oil mein 1 chota tea spoon chawal ke dane aur 1 chota chaye ka chamach kali mirch ke danon ko mix kar lain aur garam karne ke liye rakh dain. Jub chawal ke danaybhuray rang ke ho jayain tou usay utaar lain aur thanda hone ke liye rakh dain. Lekin har baar balon par use se pehle oil ke amaizay ko neem garam karna na bhulain.

Nariyal Pani Coconut Water: Mahireen ka kehna hai ke kheel aur warzish ke baad nariyal ka pani peena kisi bhi energy drink peenay se behtar hai. Ye qudarti cheez hai is mein potassium wafar quantity mein paya jata hai. Ye kheelon ki sargarmiyon aur warzish ke baad peenay ke liye behtareen energy drink hai. Ye tamaam energy drinks jo bazaaron main dastyab hotay hain un mein se mayari aur qudarti drink hai. Narial ke pani mein tamaam tar sehat mand ghazai ajza paye jate hain, ye jism ki khoyi hoi tawanai ko bahal karta hai is se woh log bhi faida hasil kar sakte hain jo koi warzish nahin karte.

coconut biscuits recipe in urdu
Incoming search terms:
  • coconut benefits in urdu
  • coconut oil for hair in urdu
  • coconut water benefits in urdu
  • coconut tree information in hindi
  • nariyal ka halwa
  • nariyal ki chatni
  • coconut recipes in urdu
logoblog

No comments:

Post a Comment