Venice History In Urdu Marco Polo Biography in Hindi - Venice Attractions

  Admin      
Koi 700 saal pehle ki baat hai. Itali ke aik shehar Venice mein aik bara sodagar rehta tha. Is ke haan aik larka paida hua. Jis ka name Marco Polo rakha gya. Ye larka bachpan se hi bara honihar aur zaheen tha jub bara hua tou apne baap ke sath door daraz mulkon mein soda baichne aur maal khareednay janay laga. Shehar Venice samandar ke kinare bohat se chote chote jazeeron par waqia hai is mein bazaron ki jagah nehrain payi jati hain. Ye shehar hai bandargah hai.
Pic by: lpiepiora
Aik dafa Marco Polo apne baap ke sath wast Asia ke Mongol badshah Qablai ke darbar mein gya. Un ka rasta maghribi aur wasti Asia mein se tha. Us ne is alaqay ke mutaliq bohat ki maloomat hasil kien. Wahan pohancha tou Kublai Khan ne us ki qabliyat se mutasir ho kar usay apna aik subaidar bana liya aur usay apni taraf se Hindustan aur Cheen ke deryaon mein bheja. Baad mein Marco Polo janoobi Asia se hota hua wapas apne watan agya. Un tamam safron mein us ne bohat se mulkon ke geography halaat ka mutaliya kiya.

Apne watan mein usay khuch arsa ke liye qaid kar liya gya. Qaid ke doran us ne apne safron ke halaat aik book ki surat mein likhay. Marco Polo baad mein Venice ki bari counsil ka member ban gya aur us ki bohat izzat afzai hoi, woh apne zamane ka mashoor tareen tourist tha.
logoblog

No comments:

Post a Comment