Children's Bedroom Decorating Ideas In Pakistan Kamre Ki Sajawat

  Admin      
Bachon Ka Kamra Sajane Ka Tariqa: Childrens ke rooms ka zikar atay hi zehan mein dilkash rangon ka tasawar ubhar ata hai. Lehaza bachon ke bed rooms ki sajawat, shokh colour scheme aur aram da furniture ke baghair tu makamal ho hi nahi sakti. Lakin is ke alawa bhi bohat si aisi dilchusp batain hain jinhain paish e nazar rakhne se bachon ke kamre ki araish mein mazeed khubsurti lai ja sakti hai bachon ka kamra un ki duniya hota hai, is liye un ka bed room youn sajain ke aram ke sath sath un ki dilchaspi ki har cheez wahan mojood ho aur woh un ke liye dream room ban jaye. Woh us room mein na sirf neend puri karain balke khalne ke ilawa study bhi kar sakain.
Youn tou bachon ka kamra decorate karne ke liye aap kisi interior decorators ki khidmaat bhi hasil kar sakti han lekin agar yeh kaam khud anjam diya jaye tu ye tajarba aap ke liye intihai khush guwar hi nahin balke yaadgar bhi sabit ho ga. Apne ladle ya ladli ka kamra apne hathon se tarteeb denay ke liye aap apni tamam tar takhleeqi salahitain baroway kar la sakti han aur mehdood budget mein rahte hoye bhi zayada behtar andaz mein yeh kaam sar anjaam de sakti hain.

Bachon ke rooms decorate karte waqt ye baat zehan mein rakhain ke aap isay arzi toor se arasta kar rahi hain. Kyoun ke barhti hui umAr ke sath bachon ki zarooriyat aur pasand na pasand tabdeel hoti rehti hai lehaza aisi sajawat karain ke zaroorat parhne par jisay baasani tabdeel kiya ja sake. Kamre ko tarteeb datay waqt apne bache ki shaksiyat ka bhi khayal rakhain for example agar aap ka bacha kheel kud ka zayada shoqeen aur shararti hai.

Tou us ke kamre mein kam se kam furniture rakhain takay usay kheelne ke liye zayada se zayada jaga mil sakay, bachay ka kamra set karne ka behtareen tareeqa yehi hai ke aap us ke araam aur khushi ko mad-e-nazar rakhain. Is silsilay mein aap ki sahulat aur asani ki khatir chand aham tajaweez paish khidmat hain.

Bache ka kamra decorate karne aur is maqsad ke liye decoration ke liye cheezain purchase karne se pehle chand baton par achi tarhan se ghoor kar lain. Sab se pehle ye dekhain ke aap ke bache ki umar kya hai? Kamre mein sirf aik hi bacha soye ga ya 2/3 bache soyen ge? kya aap yahan sirf bachay ke sonay ka ahtemam karain ge ya us ke kheelne ya study ke liye bhi jaga banain ge? Is ke alawa kamre mein sirf wohi cheez sajain jinhain aap ka bacha pasand karta ho aur wo hi toys rakhain jin mein wo dilchaspi rakhta ho. Is silsale mein is ke pasandeda rangon ka bhi khayal rakhain.


Kamre Ki Theme: Kamre ki sajawat mein agar bache ki pasand ke matabaq kisi khas theme ko maday nazar rakha jaye tou is mahol se bacha behad apnaiyat mehsoos karta hai. For example sitaron bhare asman par gardish karte sayare ya cartoon, barbie doll ki tasweeron par mushtamil theme muntakhib kar lain. Aur phir bed sheets, takiya ghalaf, wall papers, parde bhi bachon ke pasand ke rangon ke matabik rakhain. Dusra simple aur easy tareeqa ye hai ke bache ki pasand ke mutabiq koi 1 rang jaise ke pink ya blue muntakhib karain aur phir kamre ki deewarain isi colour mein paint karwane ke ilawa furniture aur degar
tamam cheezain bhi usi colour scheme ke mutabiq decorate karain.

Acha mattress kids ke bed ke liye jub bhi mattress muntakhib karne ka waqt aye tou hamesha achi quality ka hi mattress khareedain. Childrens kyoun ke nashunuma ke marahil mein hote han is liye kharab quality ke mattress par sonay se un ki naram hadiyoun ki sakht mein kharabi peda ho sakti hai ya un ki neend mein khalal paida ho sakta hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment