Birds Information In Urdu Essay Birds Hijrat Karne Wale Parindey

  Admin      
Dunya bhar se mausam ki wajah se hijrat kar ke Pakistan anay wale birds ki tadad har saal taqreeban 700,000 se 1,200,000 tak hoti hai jo ke sardiyon ka mausam guzarne Pakistan ka rukh kar laitay hain. Yahan anay wale parindon mein Siberian birds jo ke Siberia se fly karte hue Pakistan ke northern areas ki taraf se is mulk mein dakhil hotay hain. In birds mein bohat sari khubsurat butterflies, bunting blue birds aur dusre bohat sare khubsurat parindey shamil hote hain jo ke yahan ke chidiya ghar mein bhi nazar nahin atay.
Why Birds Migrate To Pakistan: Sardiyon ke mausam mein kyoun ke Russia mein mausam aur bhi sard hona shuru ho jata hai jis ke natijay mein lakhon ki tadad mein naye naye beautiful birds Afghanistan ka rasta istimal karte hue Pakistan ki khubsurat lakes, rivers par nazar atay hain jinhain dekh kar khizan ke mausam mein bhi zindagi ka ehsas milta hai. Parindon ka in raston ko istimal kar ke yahan pohanchne ke amal ko international migration routes kaha jata hai. In birds mein spoon bills aur teals bhi numayan hain jo Satpara lake aur Swat ki khubsurat lakes par nazar atay hain. Bohat say parindey India ke alaqon ki taraf bhi hijrat kar jatay hain.

Acha mahool behtar zindagi aur khorak ki talash mein insan hi nahin janwar aur charind, parind bhi aik jagah se dusri jagah hijrat karne par majbor hote hain. Sard aur barfani alaqon se parindey hazaron mile ka safar karte garam mausam wale alaqon mein abastay hain magar jese hi un ke apne alaqay ka mausam motdal hota hai ye phir apne alaqon ki taraf parwaz kar jate hain aur hairan kun baat ye hai ke safar ke doran unhain simt ka taeen karne ke liye kisi aalay kisi paimanay ki zaroorat nahin hoti jabkeh insanon ko samandar ho ya asman ki khuli fiza simt ke taeen ke liye alaat ka sahara laina parta hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment