Hazara History in Urdu Haripur Province Hazara Tourism Hazara Travel Guide Information

  Admin      
Hazara History in Urdu Haripur: Aap chahain Abbottabad se dakhil hon ya agey Gilgit ke darron se, Hazara kisi jannat se kam nahin hai. Hazara city main raat ke waqt thandak kafi bharh jati hai aur jamesha ki tarah faisla karnay main mushkil rehti hai ke in khubsurat dinon ke liye kis jagah jaya jaye, November main Raiwind ke tablighi ijtima main shirkat ke liye mulk bhar se lakhon log safar ke liye tayar ho jatay hain. Ye aisa maqsad hai ke woh log bhi jo zindagi main Karachi ke sehrab goth se agey nahin gaye, kamar kas laitay hain aur apne apne mohallay ki masjidon se nikal kar buses aur trucks ke zariye Raiwind ki ijtima gah pohanch jatay hain. Jahan ikhtitami dua ke baad wapsi ka rasta ikhtiyar kiya jata hai magar pehli baar ghar se nikalne wala Lahore ke Shahi Qila, Badshahi Masjid aur Wahga Border ki khawahish dil main rakhtay hain aur khuch Murree ki sardi ka maza chakhna chahte hain. Agar jana ho tou is se bhi agey Abbottabad aur Balakot se guzartay Pakistan ki un jannat nazeer wadiyon ka rukh ki jiye jo hazara division main hain jin ke rastay asaan bhi hain aur distance bhi kam hai.

Abbottabad se agey sarak 2 hison main taqseen hoti hai. Aik buland rasta azeem karakoram highway se guzarta nothern areas ko jata hai tou dusri taraf Hazara Division ke sar sabz junglaat se guzarti bal khati rah Balakot ke bridge se guzarti baraf posh paharon aur darya-e-kunhar ke neelay pani ke qareeb se chalti kawai village tak pohanch kae saans laiti hai. Yahan aik aur pagdandi nama rasta Shogran ki taraf nikalta hai, tourists apni jeep wagera ke zariye is kachay rastay par dikhayi detay hain jahan se Siri Paye Shogran ki bey panah haseen charagahain nazar ati hain.
Darya-e-Kunhar between hazara and azad kashmir
Markazi sarak Kewai se agey Paras valley qadam rok laiti hai, Yahan jungle se kati hoi giliyon ko pani main baha kar aik jagah se dusri jagah muntaqil kiya jata hai. Aik aur kacha rasta Balakot ke famous mountain Musa Ka Musalla tak bhi jata dikhai deta hai.

Paras se agey Jared, Mahandri ki abadiyan shuru hoti hain. In places se bhi kayi aisay beautiful tracks nikaltay hain jin ke ikhtitam par yaqeen nahin ata ke ye Pakistan hai ya Switzerland. Mahandri se agey Kaghan ka qasba phaila hai jis ke naam se sara area jana jata hai, is ke agey Naran kisi taaj ki tarah jhilmilata dikhayi deta hai.
Hazara Wallpapers
Hazara Division ke darmiyan hone aur phaili hoi wadi ke baes Naran ko markazi haisiyat hasil hai. Naran se aik haseen sarak Bata Kundi  tak pohanchti hai jahan kisi zamane main Gilgit ke musafir khanay ka waqfa kartay thay. Bata Kundi se Geeti Das aur Babusar tak asan raston ka ikhtitam ho jata hai.
tags: 2015 hazara university jobs 2016-2017
logoblog

No comments:

Post a Comment