Hyderabad History in Urdu Hyderabad Historical Places For Tourist Informtion

  Admin      
Hyderabad History in Urdu India ka ganga jamuna river ho ya phir darya-e-sindh. Zamana qabal masih mein isi sindh river ke kinare "Patala" nami basti abad thi. 326 qabal masih mein jub Sikandar Azam ne punjab par hamla kiya us waqt bhi is basti ka wajood qaim tha. Ye wohi basti thi jo taqreeban 216 saal pehle Neron ki pahari par banai gayi. Pahari ke charon taraf nehrain, jheelain aur jungli hayat se bhare hue junglat thay.
Basti Neron mein logon ki dilchaspi mein us waqt mazeed izafa hua jub pahari par qila tameer hua. Us door mein Neron se 2 bari shahrah nikalti thien. Un shahrahon se mutaliq morakh likhte hain ke aik shahrah Agrah, dusri Al-Mansor se hoti hoi Multan tak jati thi.
Hindustan mein East India company ke roop mein jub angreezon ne ahista ahista apna tasalat qaim kiya tou english tourists, officers ki dilchaspi hyderabad mein is qadar barhi ke aksar woh talpur hukmaranon ke khas mehman bantay. Sir Charles ne darya-e-sindh, thar ke sehra aur qila hyderabad ke ird gird ka jaeza lene ke baad un se tajarati muahday kiye.
1842 mein Talpur hukamranon ki janib se ahd shikni ka ilzam laga kar shehar par angreezon ne fauj kushi kar di. 14 february 1843 mein angreezon ne Talpur hukamranon ko apna ghulam bana kar Kolkata rawana kar diya aur khazanon par apna pehra laga diya. Us waqt qilay ke andar 20 houses mojood thay. Mehal mein fauj tehrai gayi aur qila ke andar se angreezon ko 2 carore 30 lakh cash aur 10 lack ki jewelry hasil howe. Ibtida mein British Army qila mein muqeem rahi. 1851 mein Hyderabad ke shumal maghrib mein fauji chaoni ki tameer shuru hoi aur 1856 tak afwaj ke liye bari bari military barracks tayar hoien. 1873 mein Hyderabad Bombay subay ka hisa ban gaya. 1878 mein 10000 nafos ki abadi hone ki wajah se Hyderabad ko municipality bana diya gaya. Bombay act ke teht isay city municipality ka darja diya gaya.
Qayam-e-Pakistan ke baad Hyderabad ne aik aur karwat li. Azadi ka suraj talu hote hi shehar mein nayi ruh agayi. Is shehar ki tarteeb rawayati hai lekin apne akabreen aur apni rawayat ki pasdari yahan ke shehriyon ki asas hai. 1951 mein mahajareen ki abadkari ka silsila shuru hua tou sarkari satah par aik satellite town ka qayam amal mein aya lekin baad mein us ka naam Shah Abdul Latif Bhitai ke naam se Latifabad mosoom kar diya gaya. Isi tarah Sindh ka fateh Muhammad Bin Qasim ke naam par Talpur hukmaranon ki shikargah par Qasimabad bana.
Husn ittefaq ye hai ke urdu bolne walon ki aksariyat Latifabad mein jabkeh Sindhi zuban bolne wale Muhammad Bin Qasim ke naam par abad Qasimabad mein abad hain. Donon alaqon ke wust se aik shahrah thandi sarak hyderabad guzarti hai. Shehar ka darja hararat khuch bhi ho yahan ka mahol hamesha farhat afza rehta hai. Hyderabad mein sair-o-sayahat ke liye kirthar national park sindh aur rani bagh jesi tafrehi places mojod hain.
logoblog

No comments:

Post a Comment