Qila Rohtas History In Urdu Sher Shah Suri Raja Ranjit Singh Qila Rohtas Fort Information

  Admin      
Urdu History Qila Rohtas Fort History: Sher Shah Suri jis ka asal naam Fareed Khan tha us ne is qila ki tameer ka hukam 948 hijri bamutabiq 1541 mein Shah Sultai ko diya. Ye qila 1548 mein 7 years ke mukhtasir arsa mein mukamal hua.

Rohtas Fort Architecture: Alaqai toor par Sher Shah Suri ka taluq Afghanistan ke mashoor alaqa "Rawa" se tha. Ye qila dunya ki tareekh mein patharon se banay hue qalon mein saf-e-awal mein shamil hai. Is ki 4 km lambi chori faseel 175 acre par moheet hai. Dina ke nazdeek GT Road se guzartay hue Rohtas Fort ki imarat dikhai deti hai. Is ki deewaron ki unchai 10 se 12 meter hai aur chorai bhi taqreeban 10 se 13 meter hai. Dushman se larai ke doran garam tail aur pani phenknay ke liye deewaron par morchay bhi banaye gye thay.

Interesting Facts About Rohtas Fort: Fun-e-tameer ke lihaz se qila behad khubsoorati ka munh bolta saboot hai. Is qila ke baray mein aik rawayat mashoor hai ke is ki tameer mein jinon aur deviyon ne bhi hisa liya hai magar haqeeqat kya hai ye baat koi nahin janta is liye is baat ko aam admi sirf kahani ke siwa khuch nahin manta hai. Rohtas Fort sirf apni tameer ke hawalay se hi munfarid nazar nahin ata balkeh apne naam ke hawalay se bhi munfarid hai.

Qila Ki Faseel: Is fort ki sub se numayan cheez is ki mazboot faseel hai jis ki unchai 90 se 100 feet ke darmiyan hai.

Doors Of Rohtas Fort: Qilay Ke Darwazay: Is fort ke 12 darwazay hain jo is ki mazbooti aur khubsurati mein mazeed izafa karte hain har darwazay ko dusre darwaze ki nisbat mukhtalif kaam ke liye tameer kiya gaya jo ke jangi hikmat amli ko madnazar karhte hue tameer kiye gye thay.

Secret Paths: Khufiya Rastay: Suna hai ke Rohtas Fort se aik sarung banai gyi thi jo Dehli tak jati thi magar bazahir aisi sarung nazar nahin aati hai magar is mein chand aik khufia raste zaroor hain jo us waqt istimal hote thay magar baad mein un par tawaja na dene ki surat mein ab woh raste band ho chuke hain. In khufia raston mein aik rasta Sheeshi darwaze ke paas hai, dusra Shahi Mahel se Shah Chandi Wali darwaze tak mojood tha. Ye raste Shahi khawateen ya shahzaday wagera use karte thay.

Rohtas Fort Ki Tabahi: Is ki tabahi us din se shuru hoi jub Humayon dobara shahansha ban kar yahan aya. Woh is azeem qilay ko dekh kar heran ho gya. Jub usay maloom hua ke ye qila us ke dushman ne us ke khilaf banwaya tha us ne is ko masmaar karne ka hukam diya magar us ke motmad khaas ke mashware par masmaar na kiya magar hukam ki shan ki khatir khuch hisay gira diye. Qilay ki asal tabahi tab hoi jub Sikhon ki hukumat Punjab mein ayi toy Shahi Mehalat ke andar qeemti pathar ukhar liye gye. Maharaja Ranjit Singh khud bhi yahan bohat arsa muqeem raha magar nuqsan pohanchane mein koi kasar na chori. Aaj is qilay ki kafi tabahi ho chuki hai magar phir bhi ye sabit karta hai ke is ki tameer kis qadar khubsurat hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment