Abbottabad History In Urdu Abbottabad Tourism Places Newspaper

  Admin      
City Abbottabad History In Urdu: Aay Abbottabad hum ab tujhe chor kar ja rahe hain.... Teri fitri khubsurati ke paas jis ka main sheedai hon.... Shayed teri hawaon ki awaz phir kabhi mere kanon tak na pohanche.... Lekin mere chand aansuon ko tohfa samajh ke qabool kar.... Tujhe alwida kehte dil bhari ho raha hai.... Aur main kabhi teri yadon ko bhula na paon ga....

150 saal pehle Major James Abbott apne watan England wapas jatay Abbottabad ki yaad mein ye nazam keh gye thay jis mein watan wapsi ki khushi se zayada is haseen wadi ko chorne ka dukh numayan hai. Major Abbott ke ye ehsasaat samajh mein bhi atay hain. Aaj bhi is shehar ka fitri husn aisa hai jo aap ka dil moh lay. Isi ke Pakistan bhar se log apni family ke sath summer season mein is shehar ke khunk alood aur bheege mausam ka lutf lainay yahan ka rukh karte hain.
Abbottabad city ka naam James Abbott ke name par rakha gya woh aik Bartanwi fauji officer thay jo ke samraji door mein Hindustan mein tainaat rahe. James Abbott, Englistan mein paida hue aur un ke walid ka naam Henry Abbott tha jo ke Kolkata mein tainaat Merchant Navy ke bairay se retire officer thay. James Abbott zila Hazara ke pehle deputy commissioner bhi thay jis ka doraniya 1849 se 1853 tak hai.

Abbottabad, Zila Abbottabad ka sadar muqam aur Khyber Pakhtunkhwa ka aik aham shehar hai. Sea level se is ki unchai 4120 foot hai. Rawalpindi se 101 km door hai ye Pakistan ka purfiza muqam hai. Yahan ke 94% afrad ki madri zuban Hindko Language hai.

Yahan par kayi mashoor school aur taleemi adaray hain. Ye shehar hamesha se taleemi sargarmiyon mein paish paish raha hai isay "City of Schools" bhi kaha jata hai. Abbottabad apne pur fiza muqamat ki wajah se pure Pakistan mein mashoor hai. Famous Karakoram Highway yahan se guzarti hai. sar sabz places se bhari hoi is haseen wadi mein garmiyon mein bhi mausam khushgawar hota hai.

Abbottabad Tourist Places: Yahan famous tourist places mein Nathia Gali aur Ayubia shamil hain. Ye alaqa 4 choti pahariyon par mushtamil hai aur sabiq sadar Ayub Khan ke naam par is jagah ka naam Ayubia rakha gya. Ye alaqa 26 km par phaila hua hai aur Ayubia ki sair ke liye chair lift hai jis se alaqay ka nazara kiya ja sakta hai. Is ke ilawa Thandiani ka famous tourist point bhi hai, jis ka matlab muqami zuban mein sard hai ye bhi aik aham tafreehi muqam hai. Yahan par aap ko har taraf Pine Trees nazar ayain gey. Is jagah ki unchai satarah samandar se 2700 meter hai.

Abbottabad city se is ka distance 31 km hai aur Abbottabad se asani ke sath yahan pohancha ja sakta hai. Sham ke waqt Abbottabad shehar ki roshniyan yahan se saaf dikhai deti hain. Abbottabad ki sub se beautiful place yani sayahat ka muqam Nathia Gali hai jo Islamabad se 80 km par shumak ki janib aik pahari qasba hai. Ye 8200 feet ki height par Murree ko Abbottabad se milanay wali road par waqaya hai. Abbottabad weather garmiyon mein nahayat khushgawar hota hai. July aur August ke months mein yahan taqreeban roz barish hoti hai. Winter mein yahan shadeed sardi aur December mein yahan shadeed baraf bari hoti hai.

Yahan Governor House, tourists ke liye qayam gahain aur aram gahain waqaya hain. Qasba mein khuch shops aur thori bohat abadi bhi hai. Summer mein yahan tourists ka rash hota hai is wajah se yahan par hotels ke rates bohat zayada barh jate hain. Mukshpuri Top aur Miran Jani Peak qareeb ki waqaya hain. Abbottabad mein sayahat ko farogh dene ke liye iqdamat kiye jayain tou har saal bari tadad mein dunya bhar se log yahan ki khoobsurati se lutf andoz ho sakte hain, aur ke ilawa yahan Shimla Pahari bhi hai jis ka sabza aur husn insan ko khud apni taraf matwaja kar laita hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment