Cotton Information In Urdu Kapas Cotton In Pakistan Cotton Seeds In Urdu

  Admin      
Cotton Diseases in Urdu Cotton Information In Urdu: Kapas sapaid aur naazuk raisha hai jo kapas ke poday yani cotton plant seeds ke ird gird namudar hota hai. Ye jhariyon ke khandan se taluq rakhta hai aur dunya ke kayi alaqon mein paida hota hai. Kapas ke raishay ko roi ya dhagey ki shakal de kar kapra banane mein istemal kiya jata hai. Kapas ki english translation cotton hai.

Kashtkar kapas ki bharpur paidawar hasil karne ke liye jari butiyon ki talfi par khasoosi tawaja dain kyoun ke jari butiyon ki wajah se paidawar mein numayan kami waqaya hoti hai. Jari butiyon ki talfi ke liye in baton par amal kiya ja sakta hai.
Kapas ke kheet mein qataron ke darmiyan hal chala kar aur plants ke darmiyan gudi kar ke jari butiyan talf karain jahan gudi karna mumkin ho wahan buti maar zehar ka spray karain aur ye amal us waqt tak jari rakhain jub tak cotton plants itnay bare na ho jayain ke un mein hal chalane se plants ko nuqsan pohanchne ka khatra ho.

Tags: kapas rate in pakistan today, kapas ka phool,
logoblog

No comments:

Post a Comment