Lion Information In Urdu Tiger Sher Lion And Mouse Story In Urdu

  Admin      
Lion Information In Urdu: Zamana qadeem se hi sheer yani lion insanon ka ajooba janwar raha hai. Sher ko english mein lion kaha jata hai. Sher ka bacha Lionet ke naam se jana jata hai. Ye bara pur waqar janwar hai. Jis ki chal bari shahana hoti hai isi liye isay tamam jangli janwaron ka badshah kaha jata hai. Is ka dusra laqab jungle ka raja ya jungle ka badshah bhi hai.

Sher billi ke khandan se taluq rakhta hai. Female lion ki gardan par lambe lambe baal hote hain jo sar se shana ke neechay lataktay rehte hain. Lion ka sara jism naram aur chote chote peelay rang ke nishanon se dhaka hota hai. Ankhain is ki gol aur safaid hoti hain. Raat mein billi ki tarah is ki ankhain bhi chamakti hain. Is ki kamar patli aur seena chora hota hai. Dant bohat tez hote hain. Munh ke uper donon taraf lambi lambi monchain hoti hain isi liye sher jub chalta hai tou awaz sunai nahin deti.

Sher ki lambai naak se lay kar dum tak taqreeban 275 cm hoti hai. Sheer aisay jungle mein rehna pasand karta hai jahan ke darakht zayada ghanay na hon. Ye gosht khor janwar hai. Chote bare har tarah ke janwar ka shikar kar laita hai lekin sabzi khor janwar isay bohat hi pasand hain. Aap apne ilm mein achi tarah rakh lain ke aam tor par sher insanon par hamla nahin karta jub tak usay chaira na jaye. Agar koi sher burha ho jaye ya bimar ho jaye tou aisi halat mein ye insanon par hamla kar ke pait bharta aur aisa shair adam khir (eaterman) kehlata hai.
Sherni apne bachon ki khoob nagrani karti hai aur us waqt tak karti hai jub tak ke wo gosht khana achi tarah seekh nahin laitay hain. Ye baat bhi jannay ki hai ke jub tak sher aik saal ka nahin ho jata us waqt tak shikar nahin karta. Yehi wajah hai ke aik saal tak bachon ko ghaza male lion aur female lion donon muhaiya karte hain.

lion and mouse story in urdu with moral sach hai ehsan ka badla ehsan hai
Sher ki zindagi taqreeban 35 saal tak hoti hai lekin chidiya ghar mein jahan usay achi ghaza aur dusri medical sahulatain faraham hoti hain tou phir ye khuch din aur je laita hai.
logoblog

No comments:

Post a Comment